ye dil ye paagal dil meraa kyo.n bujha gayaa aavaaragii
ye dil ye paagal dil meraa kyo.n bujha gayaa aavaaragii
is dasht me.n ik shahar thaa vo kyaa huaa aavaaragii
kal shab mujhe be-shakl sii aavaaz ne chau.Nkaa diyaa
mai.n ne kahaa tuu kaun hai us ne kahaa aavaaragii
ik tuu ki sadiyo.n se mere ham_raah bhiii ham_raaz bhii
ik mai.n ki tere naam se naa_aashnaa aavaaragii
ye dard kii tanhaa_iyaa.N ye dasht kaa viiraa.N safar
ham log to uktaa gaye apanii sunaa aavaaragii
ik ajanabii jho.nke ne jab puuchhaa mere Gam kaa sabab
saharaa kii bhiiigii ret par mai.n ne likhaa aavaaragii
le ab to dasht-e-shab kii saariii vusate.n sone lagii.n
ab jaaganaa hogaa hame.n kab tak bataa aavaaragii
kal raat tanhaa chaa.Nd ko dekhaa thaa mai.n ne Khvaab me.n
'Mohsin' mujhe raas aayegii shaayad sadaa aavaaragii
[Mohsin=beneficient/generous; raas aanaa - to like]
..............
Thahar jaao ke hairaanii to jaaye
Thahar jaao ke hairaanii to jaaye
tumhaarii shakl pahachaanii to jaaye
shab-e-Gam tuu hii mahamaa.N ban ke aajaa
hamaare ghar kii viraanii to jaaye
zaraa khul kar bhii ro lene do ham ko
ke dil kii aag tak paanii ho jaaye
balaa se to.D Daalo aa_iino.n ko
kisii suurat ye hairaanii to jaaye ..
............
No comments:
Post a Comment