RSS

Sep 8, 2010

Dil Akela Hai Bahot ..!!

dil akelaa hai bahut laalaa-e-saharaa kii tarah


dil akelaa hai bahut laalaa-e-saharaa kii tarah
tum ne bhii chho.D diyaa hai mujhe duniyaa kii tarah

[laalaa-e-saharaa=desert flower]

chho.D ke jaao na yuu.N ahad-e-guzishtaa kii tarah
ban ke ummiid raho vaadaa-e-fardaa kii tarah

[ahad-e-guzishtaa=bygone days; vaadaa-e-fardaa=promises of yesterday (past)]

tum havaa ho bikhero mujhe saahil saahil
mauj-e-mai ho to bahaa do mujhe dariyaa kii tarah

[saahil=shore; mauj=wave; mai=wine]

paas rahate ho to aataa hai judaa_ii kaa Khayaal
tum mere dil me.n ho andeshaa-e-fardaa kii tarah

[andeshaa-e-fardaa=remnants of the past]

biich me.n kuchh to rah-o-rasm-e-ta'alluq rakkho
ajanabii yuu.N nahii.n milate hai.n shanaasaa kii tarah

[rah-o-rasm-e-ta'alluq=social etiquettes/code/customs]
[shanaasaa=acquaintance]

...........

inkaar me.n iqaraar kii baat aa hii ga_ii hai


inkaar me.n iqaraar kii baat aa hii ga_ii hai
baato.n me.n Gam-e-yaar kii baat aa hii ga_ii hai

aayaa hai kabhii zikr agar daar-o-rasan kaa
gesuu-va-qad-e-yaar kii baat aa hii ga_ii hai

[daar-o-rasan=scaffolding and a hangman's noose]
[gesuu-va-qad-e-yaar=the height and hair of one's beloved]

jab surKhiI-e-gul_shan kaa kabhii zikr huaa hai
tere lab-o-ruKhsaar kii baat aa hii ga_ii hai

[surKhi-e-gulashan=(red) colour of the garden]
[lab-o-ruKhsaar=lips and cheeks]

Dhuu.NDaa hai agar zaKhm-e-tamannaa ne mudaavaa
ik nargis-e-biimaar kii baat aa hii ga_ii hai

[zaKhm-e-tamannaa=wound caused by desire; mudaavaa=cure]
[nargis-e-biimaar=beloved's eyes (not a direct translation)]

mil baiThe hai.n zindaa.N me.n agar shaam ko ahabaab
tere dar-o-diivaar kii baat aa hii ga_ii hai

[zindaa.N=prison; ahabaah=friends (plural of habiib)]
[dar=door; diivaar=walls]

chhe.Daa hai ko_ii talKh fasaanaa jo kisii ne
shiiriini-e-guftaar kii baat aa hii ga_ii hai

[talKh=bitter; fasaanaa=tale]
[shiiriini-e-guftaar=sweetness of (someone's) conversation]

...........

teraa hii bahr safiinaa ravaa.N bhii teraa hai


teraa hii bahr safiinaa ravaa.N bhii teraa hai
bha.Nvar bhii tere hai.n aur baad_baa.N bhii teraa hai

[bahr=ocean; safiinaa=boat; ravaa.N=moving]
[bha.Nvar=whirlpool; baad_baa.N=sail]

hai terii bazm me.n aaKhir kahaa.N jagah merii
charaaG bhii hai.n tere aur dhuaa.N bhii teraa hai

[bazm=gathering]

mujhe to nazr bhii karane ko kuchh nahii.n apanaa
jabii.n kii Khaak terii aastaa.N bhii teraa hai

[nazr=offering; jabii.n=firehead; Khaak=dust/ashes; aastaa.N=threshold]

naquush-e-paa ko uThaaye kahaa.N khaa.N jaa_uu.N
ki gard-e-rah bhii terii kaaravaa.N bhii teraa hai

[naquush-e-paa=footprints; gard=dust; rah=way; kaaravaa.N=caravan]

diyaa hai kyo.n mujhe lauh-o-qalam kaa baar-e-giraa.N
ki gardishe.n bhii terii aasmaa.N bhii teraa hai

lauh-o-qalam=slate and pen; baar=burden; giraa.N=heavy]
[gardish=revolution]

bas ek kashaakash-e-benaam aur mai.n bebas
natiijaa bhii hai teraa imtahaa.N bhii teraa hai

[kashaakash=struggle; benaam=without a name; bebas=helpless]
[natiijaa=result; imtahaa.N=test]

mai.n thak ke baiTh rahuu.N yaa qadam ba.Dhaaye chaluu.N
fanaa bhii terii hai naam-o-nishaa.N bhii teraa hai

[fanaa=mortality/destruction]

..............

tuu hai gar mujh se Khafaa Khud se Khafaa huu.N mai.n bhii


tuu hai gar mujh se Khafaa Khud se Khafaa huu.N mai.n bhii
mujh ko pahachaan ki terii hii adaa huu.N mai.n bhii

ek tujh se hii nahii.n fasl-e-tamannaa shaadaab
vahii mausam huu.N vahii aab-o-havaa huu.N mai.n bhii

sabt huu.N dast-e-Khaamoshii pe hinaa kii suurat
naashunidaa hii sahii teraa kahaa huu.N mai.n bhii

chaa.Nd ban kar tere aa.Ngan me.n utar hii jaa_uu.N
raat ke pichhale pahar maa.Ngii duaa huu.N mai.n bhii

yuu.N na murjhaa ki mujhe Khud pe bharosaa na rahe
pichhale mausam me.n tere saath khilaa huu.N mai.n bhii

jaane kis raah chaluu.N kaun se ruKh mu.D jaa_uu.N
mujh se mat mil ki zamaane kii havaa huu.N mai.n bhii.

...........

ye tajarubaa bhii karuu.N ye bhii kar dikhalaa_uu.N mai.n


ye tajarubaa bhii karuu.N ye bhii kar dikhalaa_uu.N mai.n
ki Khud ko yaad rakhuu.N us ko bhuul jaa_uu.N mai.n

[tajarubaa=experiment]

fareb-e-kaar me.n kuchh to hai ko_ii baat to hai
ki jaan buujh ke itane fareb khaa_uu.N mai.n

[fareb-e-kaar=one who betrays]

vo pal kahaa.N hai.n jo duniyaa se jo.Dataa thaa mujhe
jo paa_uu.N tujh ko to sab ke qariib aa_uu.N mai.n

kabhii to ho mere ehasaas-e-kam_tarii me.n kamii
kabhii to ho ki use khul ke aa_uu.N mai.n

vo shaKhs hai ki nasiim-e-sahar kaa jho.Nkaa hai
bikhar hii jaa_uu.N jo us ko gale lagaa_uu.N mai.n

[nasiim-e-sahar=morning wind]

azaa.N ke baad duaa ko jo haath uThaaye vo
'Imam' apanii namaaze.n bhii bhuul jaa_uu.N mai.n

[azaa.N=call for prayer]
......

No comments:

Post a Comment

Related Posts with Thumbnails