RSS

Sep 1, 2010

Aaraa__ish-e-Khayaal bhi ho...!!

aaraa_ish-e-Khayaal bhii ho dil_kushaa bhii ho


aaraa_ish-e-Khayaal bhii ho dil_kushaa bhii ho
vo dard ab kahaa.N jise jii chaahataa bhii ho

ye kyaa ke roz ek saa Gam ek sii ummiid
is ranj-e-beKhumaar kii ab intehaa bhii ho

ye kyaa ke ek taur se guzare tamaam umr
jii chaahataa hai ab ko_ii tere sivaa bhii ho

Tuute kabhii to Khvaab-e-shab-o-roz kaa tilism
itane hujuum me.n ko_ii cheharaa nayaa bhii ho

diivaangii-e-shauq ko ye dhun hai in dino.n
ghar bhii ho aur be-dar-o-diivaar saa bhii ho

juz dil ko_ii makaan nahii.n dahar me.n jahaa.N
rah_zan kaa Khauf bhii na rahe dar khulaa bhii ho

har zarraa ek mahamiil-e-ibrat hai dasht kaa
lekin kise dikhaa_uu.N ko_ii dekhataa bhii ho

har shay pukaaratii hai pas-e-pardaa-e-sukuut
lekin kise sunaa_uu.N ko_ii ham_navaa bhii ho

fursat me.n sun shaguftagii-e-Gunchaa kii sadaa
ye vo suKhan nahii.n jo kisii ne kahaa bhii ho

baiThaa hai ek shaKhs mere paas der se
ko_ii bhalaa-saa ho to hame.n dekhataa bhii ho

bazm-e-suKhan bhii ho suKhan-e-garm ke liye
taa_uus bolataa ho to jangal haraa bhii ho..

No comments:

Post a Comment

Related Posts with Thumbnails