shaayad abhii hai raakh mein koi sharaar bhii
shaayad abhii hai raakh me.n ko_ii sharaar bhii
kyo.n varnaa intazaar bhii hai iztiraar bhii
[sharaar = spark; iztiraar = restlessness]
dhyaan aa gayaa hai marg-e-dil-e-naamuraad kaa
milane ko mil gayaa hai sukuu.N bhii qaraar bhii
[marg-e-dil-e-naamuraad = death of an unsuccessful/unlucky heart]
ab Dhuu.NDhane chale ho musaafir ko dosto
hadd-e-nigaah tak na rahaa jab Gubaar bhii
[hadd-e-nigaah = (to the) limits of one's vision]
har aastaa.N pe naasiyaa_farsaa hai.n aaj vo
jo kal na kar sake the teraa intazaar bhii
[aastaa.N = threshold; naasiyaa_farsaa = one who rubs his forehead]
[ik raah ruk ga_ii to ThiThak kyo.n ga_ii 'Ada'
aabaad bastiyaa.N hai.n pahaa.Do.n ke paar bhii
No comments:
Post a Comment