ek juu-e-dard dil se jigar tak ravaa.N hai aaj
ek juu-e-dard dil se jigar tak ravaa.N hai aaj
pighalaa huaa rago.n me.n ik aatish-fishaa.N hai aaj
[juu-e-dard=river of pain; ravaa.N=flowing/moving]
[rag=vein; aatish-fishaa.N=volcano]
lab sii diye hai.n taa na shikaayat kare ko_ii
lekin har ek zaKhm ke muu.Nh me.n zabaa.N hai aaj
[sii denaa=to sew up; taa=so that; shikaayat=complaint]
[zaKhm=wound]
taariikiyo.n ne gher liyaa hai hayaat ko
lekin kisii kaa ruu-e-hasii.n darmiyaa.N hai aaj
[taariikii=darkness; hayaat=life; ruu=face; darmiyaa.N=in between]
jiine kaa vaqt hai yahii marane kaa vaqt hai
dil apanii zindagii se bahut shaadamaa.N hai aaj
[shaadamaa.N=happy]
ho jaataa huu.N shahiid har ahal-e-vafaa ke saath
har daastaan-e-shauq merii daastaa.N hai aaj
[shahiid=martyr; ahal-e-vafaa=those who are faithful]
[daastaa.N-e-shauq=story of love]
aaye hai.n kis nishaat se ham qatl-gaah me.n
zaKhmo.n se dil hai chuur nazar gul-fishaa.N hai aaj
[nishaat=happiness; qatl-gaah=place of killing/slaughter]
[chuur=broken; gul-fishaa.N=spreading flowers]
zindaaniyo.n ne to.D diyaa zulm kaa Guruur
vo dab-dabaa vo raub-e-hukuumat kahaa.N hai aaj
[zindaanii=prisoners; Guruur=pride/arrogance]
[dab-dabaa=pomp and show; raub=awe/terror; hukuumat=reign].
...........
Gam kaa sitaaraa
merii vaadii me.n vo ik din yuu.N hii aa nikalii thii
rang aur nuur kaa bahataa huaa dhaaraa ban kar
[vaadii=valley; nuur=light]
mahafil-e-shauq me.n ik dhuum machaa dii us ne
Khalvat-e-dil me.n rahii anjuman-aaraa ban kar
[mahafil-e-shauq=gathering of love]
[Khalvat-e-dil=solitude/loneliness of the heart]
[anjuman-aaraa=one who adorns a meeting]
sholaa-e-ishq sar-e-arsh ko jab chhune lagaa
u.D ga_ii vo mere siine se sharaaraa ban kar
[sar-e-arsh=seventh heaven; sharaaraa=spark]
aur ab mere tasavvur kaa ufaq roshan hai
vo chamakatii hai jahaa.N Gam kaa sitaaraa ban kar
[tasavvur=imagination; ufaq=horizon]
.............
kaam ab ko_ii na aayegaa bas ik dil ke sivaa
kaam ab ko_ii na aayegaa bas ik dil ke sivaa
raaste band hai.n sab kuuchaa-e-qaatil ke sivaa
baa_is-e-rashq hai tanhaaravii-e-rah_rau-e-shauq
ham_safar ko_ii nahii.n duurii-e-manzil ke sivaa
[baa_is-e-rashq = cause for envy]
[tanhaaravii-e-rah_rau-e-shauq = the solitude of the path leading to one's desires]
ham ne duniyaa kii har ik shai se uThaayaa dil ko
lekin ik shoKh ke hangaamaa-e-mahafil ke sivaa
teG munsif ho jahaa.N daar-o-rasan ho.n shaahid
begunaah kaun hai us shahar me.n qaatil ke sivaa
[munsif = judge; darr-o-rasan = gallows and noose; shaahid = witness]
jaane kis rang se aa_ii hai gul_shan me.n bahaar
ko_ii naGmaa hii nahii.n shor-e-silaasil ke sivaa
[shor-e-silaasil = loud noise of leg irons]
No comments:
Post a Comment