RSS

Aug 15, 2010

Aavaa hain galiyon mein main aur meri tanhaai

aavaara hai.n galiyo.n me.n mai.n aur merii tanhaa_ii


aavaara hai.n galiyo.n me.n mai.n aur merii tanhaa_ii
jaaye.n to kahaa.N jaaye.n har mo.D pe rusavaa_ii

ye phuul se chehare hai.n ha.Nste hue gul_daste
ko_ii bhii nahii.n apanaa begaane hai.n sab raste
raahe.n hai.n tamaashaa_ii rahii bhii tamashaa_ii

mai.n aur merii tanhaa_ii

armaan sulagate hai.n siine me.n chitaa jaise
qaatil nazar aatii hai duniyaa kii havaa jaise
rotii hai mere dil par bajatii hu_ii shahanaa_ii

mai.n aur merii tanhaa_ii

aakash ke maathe par taaro.n kaa charaaGaa.N hai
pahaluu me.n magar mere zaKhmo.n kaa gulistaa.N hai
aa.Nkho.n se lahuu Tapakaa daaman me.n bahaar aa_ii

mai.n aur merii tanhaa_ii

har rang me.n ye duniyaa sau rang dikhaatii hai
rokar kabhii ha.Nsatii hai ha.Ns kar kabhii gaatii hai
ye pyaar kii baahe.n hai.n yaa maut kii anga.Daa_ii

mai.n aur merii tanhaa_ii

............

abhii aur tez kar le sar-e-Khanjar-e-adaa ko


abhii aur tez kar le sar-e-Khanjar-e-adaa ko
mere Khuu.n kii hai zaruurat terii shoKhii-e-hinaa ko

tujhe kis nazar se dekhe ye nigaah-e-dard_aagii.n
jo duaaye.n de rahii hai terii chashm-e-bevafaa ko

kahii.n rah ga_ii.n shaayad tere dil kii dha.Dakano.n me.n
kabhii sun sake to sun le merii Khuu.Nshidaa navaa ko

ko_ii bolataa nahii.n hai mai.n pukaarataa rahaa huu.N
kabhii but_kade me.n but ko kabhii kaabe me.n Khudaa ko..

No comments:

Post a Comment

Related Posts with Thumbnails