RSS

Feb 9, 2010

Tum pocho or main na bataon aise to halat nahi

Tum pocho or main na bataon aise to halat nahi,
1 zara sa dil toota hai or to koi baat nahi,
kis ko khabar thi sanwlay badal bin barse urr jatey hain,
sawan aya lakin apni qismat main barsaat nahi,
tot gya jab yeh dil to phir yeh sans ka naghma kia mani,
gonj rahi hai kyu shehnai jab koi baraat nahi,
ghum k andhyaray main tuj ko apna sathi kyu samjo,
tu phir tu hai, mera to saya b mery sath nahi,
mana jeevan main oarat 1 bar mohabbat karti hai,
lakin muj ko ye to bata day kia tu orat zaat nahi,
khaatam howa mera afsana ab yeh anso ponch b lo,
jis main koi tara chamke aj ki raat wo raat nahi,
meray gamgeen honay par ahbaab hain q hairaan kateel,
jaise main pathar hon meray seenay main jazbaat nahi..............

No comments:

Post a Comment

Related Posts with Thumbnails