RSS

Feb 13, 2010

Poems Of The Month

Suno!
Jab dil ke aangan me,
Khizayain muntzir pao,
Suno!
Jab behti aankh0n se,
kisi ko dhondhna chaho,
Suno!
Jab dhair logon mei,
kisi ko pas na pao,
Suno!
Jab yad hum ayain,
humain aap bholna chaho,
To bas ek baar apney dil pe,
apna hath rakh lena,
Faqat awaaz de dena,
Faqat ehsaas kar lena,
Suno!
Hum loat aaein gay
tumhain apna banaein gey...
,,,,,,..,,,,,

Taqseem e Muhabat Me B Kuch Ghum Hi Milay
Phir B Shikayat Hy K Silay Kum Hi Milay
Ae Zindagi Ik Bat Bata Zara Hum Ko
Kya Dil Dukhany K Lye Tuje Hum Hi Milay?
.........

Tarap rahi hai har Ek tamanna,
Na Us se milte,Na aisa hota.
Bujhi bujhi si hai dil ki duniya,
Na Us se milteNa aisa hota.
Hum aisi mehfil mein kaise jain,
Jahan k manzar hamein jalain.
Agar hai jalna Jalein gein tanha.
Na Us se milte,Na aisa hota.
Na chain aaye, Na mout aaye,
Na jee rahe hain,Na mar rahe hain.
Kahan tha pehle ye haal Apna.
Na Us se milte,Na aisa hota...!
........

tera har rang hamne dekha hi
tera har dhang hamne dekha hi
hathe khele hian teri zolfon se
aankh waqif hi tere jalwon se
ankharion ka bayan jante hian
dharkano ki zoban jante hian
chorion ki chanak se waqif hian
chagalon ki dhanak se waqif hian
olji olji laten sanwar ke aa
dolhan ki tarha sharma ke aa
andaze beyan jante hian
tera har raaz jante hian
to nahi to raat soni hi
ishq ki kaaenat soni hi
kher howe tari zindagani ki
bhik de de hamin jawani ki
so jaan se fida hian ham
ik modat ke ashina hian ham
ajj kion hamse parda hi
---

Tere qareb aa kay bari uljhano main hon,
Main dushmanon main hon k tere doston main hon,
Badla na mere baad bhi mouzu-e-guftago,
Main ja chuka hon phir bhi teri mehfilon main hon,
Mujh se bichar k tu bhi to roeyga umer bhar,
Yeh soch lay k main bhi teri khuwahishon main hon,
Tu hans raha hai mujh pey mera haal daikh ker,
Or phir bhi main shareek tere qehqahon main ho0n.
.......

Tere Sapne Dekhta Hoon Tu Ye Meri Mohabat Hai,
Main Motti Rol Deta Hoon Tu Ye Meri Mohabat Hai,
Tumhari Yaad Ki Kirnon Ko Aksar Ankh Mai Rakh Kar,
Main Apni Neend Khota Hoon Tu Ye Meri Mohabat Hai,
Hoowa Aehsaase Kushboo Chandni Ko Dekh Kar,
Tere Dhokey Main Rehta Hoon Tu Ye Meri Mohabat Hai,
Falak Pe Chaand Taaron K Haseen Jhurmat K Manzar Mai,
Tere Chehrey Ko Taqtta Hoon Tu Ye Meri Mohabat Hai,
Main Apni Zindagi K Saarey Jazbon Ko Meri Jaan,
Tumhare Naam Karta Hoon Tu Ye Meri Mohabat Hai,
Kabhi Tu Dekh Lo Aa Kar Tum Rahey Mohabat Main,
K Main Khud Hi Khud Se Larrta Hoon Tu Ye Meri Mohabat He.
........

Tery ikhtyar main kya nahimujhe iss trha se nawaz de..
Meri yon Duaein qabool krmery lab par koi dua na ho . . .
..

Tha Mir jinko shair ka azaar mar gaye
Ghalib tumharay saray tarafdar mar gaye
Jazbon ki woh sadaqatein marhom ho gayi
Ahsas k naye naye izhaar mar gaye
Ahbaar ho rahi hy ghazal ki zuban ab
Paikar tarash shair k fankar mar gaye
Saaqi teri sharab bhara kaam kr gayi
Kuch raastay mein kuch pas-e-deewar mar gaye
Taqdees dil ki asiyaan nigaari kahan gayi
Shayad ghazal k sitaray gunahgaar mar gaye
Shairon mein ab Jihaad hy , Roza ,
Namaz hy Urdu ghazal k jitne thay kafaar mar gaye
Misriyon ko humne Naraa-e-Takbeer kr dia
Gheeton k pukhtadar gulukaar mar gaye
Asloob takht itna garajdaar ho gaya
Mehdi Hassan k hasshiya bardaar mar gaye
Naz-o-adaa se machliyan ab hn ghazal sirra
Tehmad pakar k shahab-e-dastaar mar gaye
Ya Rab talism hosh raha hy mushaira
Jinko nahi bhulaya woh gham khawar mar gaye..

...........

Tmhein shayad ye lgta he..
M0habbt khubsurat ha..
Tmhara ghar sanwary gi..
Tmhain yunhi naikharay gi..
Tmhain apna bana lay gi..
Tmhain shayd ye lgta ha..
Tmhein dukh se nikalay gi..
Tmhary dard smjhegi..
Tmhare gham sambhaly gi..
Mjhe maloom ha itna..
Mohabbat shab ki surat ha..
Ujalon ko ye kha lay gi..
Tmhe tm se chura le gi..
Tmhe pagal bna de gi..
Mohabbt maar deti ha..
Mohabbat maar dale gi.
.........

To jo us k shoq-e-deed mai awara phrta hai sahiL
nazar uthana bhi teri khatir us ko gawara nhn.

........

tra husn ho mra ishq ho,
to phir husn o ishq ki bat ho,
Kbi mae milon, kbi tu mily,
Kbi hm milen mulaqat ho,
Kbi tu ho chup,Kbi mae hon chup,
Kbi donon hm chup chap hon,
Kbi guftagu, kbi tazkray,
Koi zikr ho, koi baat ho,
Kbi wisal ho to din ko ho,
Kbi hijr ho to wo raat ho,
Kbi mae tra, kbi tu meri,
Kbi ik dujey k hum rahen,
Kbi sath mae, kbi sath tu,
Kbi ek dujey ka sath ho,
Kbi sohbatien, kbi ranjishen,
Kbi doriyan, kbi qurbatin phir bhi SAQI.,
hum dono sath hon.
.......

Tu hosh mein thä phir bhe hamain pehchaan na paaya ...
Ek hum hain ke pee k bhi terä Nääm lete hein...
......

Tu kisi shayer ka QaLam Nhi mere khyaLo ki Justuju hai
. Tujhe Na Sochon to khayaL kisi ka Aata Nahi mujhe..!..
........

Tu wafa kar wafa ka sila Jaanay >KHUDA Janay,>
Tum diya Jalatay raihna >hawa Jaanay KHUDA Jaanay,>
Khizaan ka khoaf maali ko Buzdil nahi kar sakta,>
Chaman aabad rakh Baad-e-Saba Jaanay KHUDA Jaanay,>
Mareez-e-Ishq dawa-e-Dil samjh dilbar ko,>>
Marz Jaanay dawa Jaanay >shifa Jaanay KHUDA Jaanay..

.........

Tujh ko Maloom hi Nhi Meri Tanhai Ka Dukh-
Meri Sochain Mere Khayalat Sirf Tum se hain-
To Sath hy to Muqadar pay Hakoomat Apni-
Mere Her Rishtay ki Soghaat Sirf Tum se hy-
Gar Kbi Bikhar Jaon to Samaitna Mujh ko-
Hy Mukammal Jo Meri Zaat Sirf Tum se he.
......

No comments:

Post a Comment

Related Posts with Thumbnails