RSS

Feb 9, 2010

Muje Acha Lagta Hai

Muje Acha Lagta Hai,

tumhare sung sung chalna
wafa ki aag main jalna
tumhe naraz kar dena
kabhi khud rooth b jana
tumhari berukhi par b
tumari aarzu karna
khud apne dil ki dharkan se
tumhari guftugu karna

Muje acha lagta hai

bohat acha lagta hai
tumhi ko daikhte rehna
tumhi ko sochte rehna
bohat gehre khayalon main
jawabon main
sawalon main
dosti k hawalon main
tumhara naam aa jana

Muje Acha Lagta Hai..!!

No comments:

Post a Comment

Related Posts with Thumbnails