Sabz Madham Roshni me.
Sabz Madham Roshni me.
Surkh Aanchal Ki Dhanak.
Sard Kamre me Machalti Garm Sanson Ki Mahek..
Bazuon K Sakht Halqe me Koi Nazuk Badan..
Salvaten Malboos Per..
AanchaL bhi Kuch Dhalka hua!Garm¡-e-Rukhsar se Dahek¡ hu¡ Thand¡ Hawa..
Narm Zulfon se mula¡m Ungl¡on K¡ Cher Chaar..
Surkh honton Ki Lamas Se Dharkanon me Goonjt¡ th¡ ek Sada..
Kanpte Honton Per th¡ Sr¡f ek DUA..
Kash Ye Lamhe Thehr Jaen...
Zara Thehr Jaen!!!¤¤
............
Tum ko ik talkh haqeqat bhi
Tum ko ik talkh haqeqat bhi bata dety hain,
Jisko aksar ye log chupa dety hain,
Tum ne girty huay patton ko to Dekha ho ga,
Apni har saans wo tehni pe ganwa dety hain,
Kia khob sajaty hain baharon mein shajr ko,
Kari dhoop mein apna ap jala dety hain,
Kitny be-reham shajr hain naey patton ki khushi mein,
Puranay Patton ko Khizaon mein gira dety hain,
Aur jo girtey hain qadmon mein shajr k.
Log unhi wafa daron ko pairon mein daba dety hain!
Wa§¡
.........
Suno..!
Suno..!
kismat se larne
ki
kabi koshish nahi
karte
muqadir jab mukhalif ho
duaen be asar nahi jaen
sabhi manzir bikhar jaen
to aise main bagawat ki
kabi koshish nahi
karte
sabhi se door ho jana
mohabbat he mohabbat yeh nahi hoti
mohabbat aks hai Rab ka
kabi yeh mar nahi sakti
hamesha sath rehti hai
miley jo humsafar tum ko
usei k sath chalna tum
usey dil main basana tum
usey darkan bana lena
or kismat se larne ki
kabi koshish nahi karte..
...........
Saaf keh do na
Nahi koi mudham ishara saaf keh do na,
kahan tak sath do ge tum hamara saaf keh do na,
judai ki tarah darya b apne sath chalta hai,
nahi milta kinare se kinara saaf ke do na,
bahaney apni majboori k kyun aa kar sunatey hain,
kasoor us main nahi koi tumhara saaf keh do na,
humein tanhai k taane to na do ghair k samne,
dhond lain koi sahara saaf keh do na,
hamare hath ki lakeeren aksar milti julti hain,
magar milta nahi apna sitara saaf keh do na...
.........
Tere kis kaam ka hon
Shehr-e-fana hon tere kis kaam ka hon,
ik bhuja sa diya hun tere kis kaam ka hon,
tu rafaqat k liye or kisi ko chun ley,
main to khud aabla pe hon tere kis kaam ka hun,
tuj ko darkar hain pholon k mehakte saey,
main to sehra pe khara hun tere kis kaam ka hun,
Aey parstary gul-e-tar tera rasta taktay taktay.
shaakh pe sookh gya hun tere kis kaam ka hun,
tu b oron ki tarah muj se kinara kar ley,
sari dunia se bura hun tere kis kam ka hun...
..........
No comments:
Post a Comment