RSS

Jan 23, 2010

Yeh zärä zärä si bäät pe..

Yeh thi meri zindgi ...!!


enaYeh thi meri zindgi.jb me chota sa larka tha
Mujhko raah me 1 joogi ne roka tha
phle to kuch dair mujhe wo takta raha
phr usne ek Aah brhi or kehne laga
Ke Baligh yeh jo tere hath ki Rekha he es me
Mene tera jevan dekha hetera Dil ek sundar narri tore gi
Ek bi sapna tere pas na chore gi
Dhonde ga to galli daware aas liye
Mar jaey ga naddi kinare piyas liye
tujhpe ek eysa waqt bi Aana he
log tujhe kahain ge k pagal he dewana he
Ro Ro kr to hath aagy brhaey ga
chanda tere hath phir bi na aaey ga
dukh ka itna lamba sath nahi dekha
mene ab tak eysa hath nhi dekha..

..............

Jab pyaar ki baat adhoori ho ..!!


Jab pyaar ki baat adhoori ho
Jab beech main thori doori ho
Jab milna bohat zaroori ho
Per milne main majboori ho
Tum dil main yaad jaga lena
Kuch pyaar k deep jala lena
jab mujhsay milny aa na sako
aur yaad say bahir ja na sako
Thora dil ko samjha lena
BUS YAAD SAY DIL BEHLA LENA.

..............

Usey ye kon samjae?


Usey ye kon samjae?
Wo dasht-e-khamoshi me unglion me sipian phne,
Kisi sookhe samandar kiadhoori pyas ki bateyn,
Buhut chup chap sunta he,Boht khamosh rehta he,
¤Usey ye kon samjae?
Khushi ke ek ansu se samandar brh bi jate hain,
"Boht khamosh rehne se taalluq mar bi jate hain,
Usey ye kon samjae?

/.............

Fasila itna barhanay

Fasila itna barhanay ki zarorat kia thi,
Tujhay mujh say roth kr janay ki zrorat kia thi,
Ab jo mujh say routh kr udas rehtay ho,
Apna hath mairay hath say churany ki zaroorat kia thi,
Duniya kab kisi k ghum ko apna ghum smajhti hai,
Tujhay apna ghum duniya ko dekhanay ki zarorat kia thi,
Main aj tak is bat ko nehi samajh paya,
Jab sath tumharay MAIN tha to tum ko zamanay ki zarorat kia thi ?


...............

Apne dard ki ...

Apne dard ki dawa kr leta hun!
Azo A dard ko juda kr leta hun.!
Doston se milta bi naih main,
Dushmno k liye dua kr leta hun.!
Dukh jab had se barh jayn to,
Kisi be wafa se wafa kr leta hun!
Agar pashemani ho gunah pe.,
Khod tajveez apni saza kr leta hun.!
Aankhon ko sumndar hone nai deta.,
Bas dil ko daria kar leta hun..!

...........

Janey kis tarha pal main ....


Janey kis tarha pal main"
log bhool jatey hn"
zindagi ki yaadon ko"
"be-shumar waadon ko"
"khush-gawaar baaton ko"
"Sath guzri Shamon ko"
"An-ginat iradonko"
"Janey kis tarah pal mn...Δ"
log bhool jatey hain...!!!
"pyaar ki haqiqat ko"
"umr-bhar ki chahat ko"
"rishton ki nazakat ko"
"Jazbon ki sadaqat ko"
"lams ki haraarat ko"
"dil se dil ki chahat ko"...Δ
"Janey kis tarha pal mein..
."log bhool jatey hn..

..............

Dua Nahi To Badua Deta Koi

Dua Nahi To Badua Deta Koi,
Wafaon Ka Sila Deta Koi,
Jab Muqaddar Hi Nahi Tha ,
Deta B To Kiya Deta Koi,
Hasil-e-ishq Faqat Dard Hai
Ai Kash Pahle Hi Bata Deta Koi
Taqdeer Main Nahi Tha Agar AaQaash Choona
Khaak Main Hi Mila Deta Koi
Guman Hi Ho Jata Kisi Apne ka
Daman Hi Pakar K Hila Deta Koi
Ek Arse Se Atka Hai Hichkiyon Pe Dam,
Acha Hota Jo Bhula Deta Koi,
Yeh Zindagi To Ro Ro K Kat Gai
Kya Hota Agar SAGAR Ko Hansa Deta Koi
.
.............

Meri Rooh Nikalne Wali Ho Gi...


Meri Rooh Nikalne Wali Ho Gi,
Meri Saans Bikharne Wali Hogi,
Phir Daman Zindagi Ka Choote Ga,
Dhaaga Saans Ka B Toote Ga,
Phir Wapis Hum Na Aayen Ge,
Phir Hum Se Koi Na Roothe Ga,
Phir Aankhon Main Noor Na Ho Ga,
Phir Dil Gham Se Choor Na Ho Ga,
Uss Pal Tum Hum Ko Thaamo Gay,
Hum Se Piyar Apna Mango Gay,
Par Hum Na Kuch B Bolain Gay,
Aankhain B Na Kholain Gay,
Uss Pal Tum Ro 2 Gay,
Hum Ko Tum Kho 2 Gay...!!!

..........

Ab¡ jugnu nah¡ ro0the ..


Ab¡ jugnu nah¡ ro0the,
Ab¡ aansu nah¡ to0te,
Ab¡ so0raj na¡ jaga,
Ab¡ taare nah¡ do0be,
Ab¡ mahtab baq¡ ha¡,
Ab¡ ek khaab baq¡ ha¡,
Ab¡ manz¡l na¡ aa¡,
Ab¡ rasta nah¡ thehra,
Abi darya nah¡ utra,
Ab¡ gardaab baq¡ ha¡,
Ab¡ ek khaab baq¡ ha¡,
Muje tumse m0habbat ha¡,
Ab¡ ye baat baq¡ ha¡,"
.
..........

Usy Jab yad Aayega ..


Usy Jab yad Aayega
Wo Pehli Bar Ka Milna
To Pal Pal Yaad Rakhega
Ya Sub Kuch Bhool Jayega!
Usy Jab yad Ayega
Gaye Mosam Ka Har Lamha
To Khud Hi Ro Parega
Ya Khud Hi Muskrayega!
Usy Yaad Jab Ayega
K Sawan Lot Aya Hai
Bulawa Bheje Ga Mujhko
Ya Khud Hi Lot Ayega!
Usy Yaad Jab Ayega
K Main Kese Muskrata Tha
To Ankhen Muskrayengi
Ya Daman Bheeg Jayega!
Usy Yaad Jab Ayega
K MEin Kese Naam Leta Tha
To MERA Naam Likhega
Ya APNA BHOOL JAYEGA!.
..........

ye zärä zärä si bäät pe..


ye zärä zärä si bäät pe, tärhä tärhä k äzäb kyun?
jo kisi se bhi khäfä nä ho mujhe us KHUDA ki täläsh hay
Mujhy läghzäshon pe här ghäri koi toktä häy bär bär?
jisäy kär k dil ko dukh nä ho mujhäy us GUNAH ki täläsh häy
binä humsäfär k käb täläk koi musäfton men lägä rähäy?
jähän koi kisi se judä nä ho mujhäy us RAHH ki täläsh häy
Mujhäy dekh kär jo äik näzär meräy säräy därd sämäjh säkäy !
jo is qädär ho chärä-garmujhäy us NIGAH ki täläsh hä.

.........

Ye Jo be rukhi hai baja nhi.


Ye Jo be rukhi hai baja nhi, ye adayen kyu,
ye ghurur kya ye guraiz kis liye is qadar,
ye khafa khafa se huzoor kya
tujhe yad krna mazaaq tha,
tujhe bhool Jana azab haiye saza hai Jurm-e-firaaq ki,
mere haafzey ka qasoor kya
tere saath hai jo teri ana,
mere saath mera naseeb hai
mujhe tujh se kesi shikayatein,
tujhe khud pe Itna ghurur kya
Ye tumhara chehra kitaab hai,
isay parh raha hun mai warq warq
zara baat saada likha karo,
ye muhaawaron Ki satoor kya
sabhi phool tere naseeb mai
sabhi khaar mere hisaab maiye
Jaza saza ka talism hai,
mera tera is mai qasoor kya...!

...........

Usay kahna.....
Usay kahna.....
makamal kuch nahi hota...
Milan b na mukamal hai ...
Judai b adhoori hai...
Yahaan ik mote puri hai...
usay kahna judai jab ragu main...
khoon ki manind utarti hai...
bohat nuqsan karti hai...
Usay kahna
basat ishaq pay jab mat hoti hai....
dukhu k samar main jab raat hoti hai....
Mukamamal bus KHUDA ki zaat hoti hai..

..........

QARIB MOUT khari hy ......

QARIB MOUT khari hy ZARA THE'HER JAO,
QA'ZA se AA'NKH larihy ZARA THE'HER JAO,
THA'KEE THA'KEE si FIZAA'YEN bujhe bujhe TAA'RE,
bari UDAAS ghari hy ZARA THE'HER JAO,
ABHI Na jao k TAA'RON ka "DIL"DHARAKTA hy,
TAMAM RAAT pari hy ZARA THE'HER JAO,
PHIR Us k bad KABHIHUM na TUM ko ROKEN Gay,
LA'BON pe SAAN'S Aari hy ZARA THE'HERJAO,
Nahi "UMEED" k HUMAAJ ki SE'HER dekhen,
Ye RAAT hum pe Kari hy ZARA THE'HER JAO

........

Kisi bhi moj mely men..

Kisi bhi moj mely men..
Ya duniya k jhamely men..
Har ik shy chor kar bilkul..
Men jab bethun akely men..
Tum hi tum yad rehty ho..
Zamana bhool jata hun,
kushi ki bat ho koi..
Ghamon ki raat ho koi..
Kisi se jeet jaaun main..
Ya meri maat ho koi..
Tum hi tum yad rehty ho..
Main jab b sony lagta hun..
To aksar rony lagta hun..
Phir us men khony lagta hun..
Mery tan men, mery man men..
meri rag rag men behty ho..
Tum hi tum yad rehty ho..
............


W@$I

+92-333-8523373

No comments:

Post a Comment

Related Posts with Thumbnails