RSS

Jan 30, 2010

Rog Aise Bhi..!!


Rog..!!

Rog aise b ghum-e-yar se lag jatey hain,

dar se uth'te hain to deewar se lag jatey hain,

ishq Aaghaz main halki se khalish rakhta hai,

baad main senkron aazar se lag jatey hain,

pehle pehal hawas ik aadh dukan kholti hai,

phir to bazar k bazar lag jatey hain...

........................

Aarzoein fazol hoti hain...!!

Aarzoein fazol hoti hain,

goya kaghaz k phol hoti hain,

har kisi k naam par nahi rukti,

darknein ba usool hoti hain,

patharon k khudaon k aagey,

iltijaen fazol hoti hain,

koi meray labon ko b la dey,

jo duaen kabol hoti hain,

khawab tootein ya bik jaen,

qemten kab wasool hoti hain....

...........

Kitaab Sada Rahe gi Kab tak..!!

Kitaab Sada Rahe gi Kab tak,

kabi to aaghaz-e-baab ho ga,

jinhon ne basti ujaar dali,

kabi to unka hisaab hoga,

sehar ki khushiyan manane walo,

sehar k tewar baata rahe hain,

abhi to itni gothan bari ge,

k sans lena azaab ho ga,

wo din gaye jab k har sitam ko,

ada-e-mehbob keh k chup they,

uthe gi hum par jo eent koi,

to pathar uska jawab ho ga...

sakoon-e-sehra main basne walo,

zara ruton ka mizaaj samjo,

jo aaj ka din sakoon se guzra,

to kal ka mausam kharab ho ga....

No comments:

Post a Comment

Related Posts with Thumbnails