Jan 30, 2010
''ASASA""
Bol Hawa..!!
Bol hawa us paar zamaney kaise hain,
ujrey shehar main yaar purane kaise hain..??
chand utar'ta hai ab kis kis k aangan main,
kirnon se mehroom gharaanay kaise hain...??
jin kay jurmat main shamein dum tor gayi,
woh pyaaray,paagal,parwaney kaise hain..?
bol hawa,
yaar puranay,
kaisay hain...??
................
Thakay-haaray parinday ..!!
Thakay-haaray parinday jab baserey k liye loten...!
saleeqa mand shaakhon ka latak jana zaruri hai..?
bohat be-baak ankhon main taulaq tik nahi pata,
mohabbat main kashish rakhne ko sharmana zaruri hai..
saleeqa he nahi shayad usey mehsoos karne ka,
jo kehta hai khuda hai to nazar ana zaruri hai...
meray honton pe apni pyaas rakh do or phir socho,
k is k baad b dunya main kia kuch pana zaruri hai...
...............
''ASASA''
Kuch Vaaday Kasmien yaadien thi,
kuch kehkay they, faryadain thi,
kuch ansu they jo behte they,
kuch dhokey they jo khae they,
ab paas hamare kuch b nahi,
bas,
yaadon ki zanjirain hain,
kuch rang urri tasveerain hain,
kuch lafz miti tehreerain hain,
ik dil jo deed ka piyasa hai,
bas!! yehi mera ,
''ASASA'' HAi...!!
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment