RSS

Nov 2, 2009

Meray meharbaan ki nazar howa

Rang-e-Gul

Yeh rang-e-gul b hai or khaar b hai,
zubaan chalti hui talwaar b hai,
ajab hai bolti ankhon ki masti,
jahan inkar b hai,
wohin iqrar bhi hai.
ye raah-e-ishq hai daikho sanbhal kar,
bohat Aasaan b hai,dushwaar b hai,
ajab do rang hai insan ki fitrat,
gila hai jis se usi se pyaar b hai...

...............
Meray meharbaan ki nazar howa

Mera aaina mera aks b,
meray meharbaan ki nazar howa,
meri siskiyan,
meri hichkiyan,
meri arzu,
meri justuju,
meri chasm-e-tar,
mera har safar,
meri soch k sabi zawiye,
wo diye jo usne bhuja diye,
meri hastiyan,
meri bastiyan,
meri shayeri,
meri ragni,
meray sath jin ka guzar howa,
meray meharbaan ki nazar howa...

........

No comments:

Post a Comment

Related Posts with Thumbnails