RSS

Nov 13, 2009

ghazals4

aashna koi sar-e-sitamgar na mila
ab k aaye to kisi haath mei patthar na mila
sare dushman meri kis kamin gaah mei the
koi lashkar ß mujhe sheher k baahir na mila
ham ß patthar the magr kesa muqaddar laye
sab khuda saaz milay koi sanam gar na mila
nazm maikhana kuch aisa hi raha he k hamain
kabhi saaqi kabhi meena kabhi saagar na mila
hami mehroom thay aise k faqt tu hi nahi
ham jisay dhoondnay niklay wohi aksar na mila
dekh pindar in aashfta saron ka k jinhain
bakht-e-mansoor mila, takht-e-sikandar na mila
ab jo tajdeed-e-rafaqat he to phir toot k mil
dil he aayena to phir haath jhijhak kar na mila
laakh bemehr sahi dost to rakhtay ho "Faraz"
unko dekho k jinhain koi sitamgar na mila...

................

Ab k krna to kisi esy ki chaht krna,
Jisko ata hi na ho shikwa shikayt krna,
Phle khushbu k mizajo ko parkh lo Faiz,
Phir gulistan men kisi gul sy mohabt krna.
.......

Ab to mumkin hi nahi un se mulaqat "WASI"
Ab to urooj pe pahunchi hai us ki zaat "WASI"
Wohi wade hain aur rasmon ki zanjeeren baqi,
Kab badalti hain zamane ki riwayat "WASI"
Ek wo din the k ek doosre ko sochte the hum,
Ab milte nahi dono k khayalat "WASI"
Meri her subha ka aaghaz tere naam se ho
@Teri yadon mein katti meri her ek raat "WASI"
Tum kahan aur mere piyar ka miyar kahan,
Wo kitni saadgi se kar gia ye baat "WASI"
..........

Abhi afsana-e-ishq anjam tak nhi pohncha
Din hijr ka wasl ki sham tak nhi pohncha
Jane kis raqib ko milte rhe pyam tere
Keh koi bhi khat mere dr-o- bam tak nhi pohncha
Kya btaun ae masiha teri masihaai ke baad
Dard kuch kam to huwa aaram tak nhi pohncha
Ae sanam teri qasam hum sar bhi kta dete mgar
Keh tera hukam tere ghulam tak nhi pohncha
Bhla kis naam se rkhe ga zamana yaad mujhey
Keh koi naam abhi mujh gumnaam tak nhi pohncha.
.........

Abhi Lamhe Nahin Bikhre
Abhi Mösam Nahin Bichre
Mere Kamre Ki Thandak Main
Abhi Kuch Dhoop Baqi Hy
Meri Dairy K Kuch Safhay
Abhi Kuch Keh Nahin Paye
Mere Angan K Sab Pooday
Abhi bhi Gungunate Hain
Mere Be-Jaan Hontoon Per
Abhi Muskaan Waisi Hy
Kisi K Lot Aane Ka
Abhi Imkaan Baqi ha...
.............
Adat hi bana li hy is shehr k logon ny
Andaz badal lenaAwaz badal lena
Dunya ki mohabt main Atwar badal lena
Mosam jo naya aye raftar dadal lena
Aghyar wohi rakhna ahbab badal lena
Adat hi bana li hy is shehr k logon ny
Rasty main agr milnaNazron ko jhuka lena
Awaz agr do tou katra ky nikal jana
Hr ik sy juda rehnaHr ik sy khafa rehna
Hr ik ka gila krna
Jaty huwye raahi ko manzil ka pata dy kr
Rasty main rula dena
Adat hi bna li hy is shehr k .

No comments:

Post a Comment

Related Posts with Thumbnails