RSS

Aug 28, 2009

sapnon sey door

sapnon sey door

khawabon sey bahir
thii ik larki naazuk si
na mehal banayee khawbon k
na sapney dekhe shehzadon k
apney mann mein jeeti thii
apni hi moj mein hansati thi
ijo darti thii kaanch k sapnon sey
jo toot kar bikhar jaatey hain
na sapnon ko dekhti thii na khawabon ko torti thi
ijo kaanch k sehar sey azaad mukamal larki thi
ijissey tootney ka andeesha thaa na,
bikharney ka ghammagar! zara si laa-parwai sey
jo unn dekhey sapnon ko
kaanch k mehlon kotor bethi bikhra bethi'
woh naazuk si ik larki
jo sapnon se door khayalon se
baahir thii ik larki naazuk si ..........

................

bin manzil younhi kadam barhatay rahay hum
kasad e sarab main hoslon ko azmatay rahay hum

her sham yehi soch kay shayed kahinlaut aao
yeh diye intezzaar kay jalatay rahay hum

adab e gham e hijar shayed maaloom na tha
yik gardab main shab e wehshat betatatay rahay hum

chahton kay silsalay bhi kuch youn guddaaz thay
khafa hokay tujh say mohabatain jatatay rahay hum

yeh zindagi kay khel bhi ajab thay
lamha bhar jeet kay omer bhar hartay rahay hum

..........

Ghum Nahi Bholta Bhulanay Say
Num Hoe Ankhayen Muskurany Say

Aaj Woh Ajnabi Say Lagty Hain
Jante Houn Jisay Zamany Say

Doston Ki Parakh Nahi Kerna
Maan Totay Gaa Azmany Say

Jab Say Apno Say Choot Khaye Hai
Koi Shikwah Nahi Zamanay Say

Zindagi Ki Haqeqaton Ki Kasam
Dil Ki Batyen Hain Bas Fasanay Say
.
.............

vo kaysa phir sa mera hum nasheen ho gaya
ajj voo phir sa mera maqdar ho gaya

chaltay chaltay jisay choor aya tha maina
jj voo phir sa mera humsafar ho gaya

voo din kitnay suhana hoa karta thaay
ajj un ujalo may main sahar ho gaya

ab bhi dekhta ho gaa vo chand ghanto tak
ajj usay sochtay mera chera teaar ho gaya

laut aoo phir say aik baar
k ajj main phir say tan ho tanha ho gaya

...........

No comments:

Post a Comment

Related Posts with Thumbnails