Woh hote agar
Woh hote koi kali jo khil jate,
Aur hum unki mahek ban jate.
Woh hote koi sahil to,
Hum kinara ban ke
unki bahoen main sojate.
Woh hote agar chaand to,
Hum unki chandni ban ke
unke khali jahaen main
beshumar mohabbat latey.
Woh hote agar suraj to ,
Hum unki kirne ban ke
unki zindagi mai ujala late.
Woh hote agar paedd to,
Hum unke pattae ban jate
aur naya phal khilate.
Magar ye to hain sab batien,
Agar hum hi na hote to,
Ise kaoun nibhate.
.......
pehli hi nazar me tumse dil laga baithe
shaayad ye meri nazron ka kasoor tha
tumne bhi mere pyaar ko kabool kiya
shaayad ye meri kismat ka zorr tha
tumhare liye humne khud ko bhula diya
shaayad ye tumhare pyaar ka junoon tha
jis din tumne vaapas aane ka vaada kiya
shaayad vo din meri zindagi ka mahakaal tha
tumhare intazaar me humne zindagi guzaar di
magar shaayad tumhe aana kahan kabool tha
ab lagta hai ke meri barbaadi ke peeche
shaayad meri nazroon ka hi kasoor tha-
..........
Ussay jab bhi mera khial aata ho ga
Apni palkain wo dheeray say jhukaata ho ga
Daikh kar khana-e-dil mein dhundli tasveer mery
Apni aankhoon key nami kaisay mittata ho ga
Sham dhaltay he Gul-e-Lala say milkar wo
Apnay rukhsar key surkhi kaisay chupata ho ga
Uss ko aaty ho gee yaad mery jab bhi
Mery tasveer say hont apnay lagata ho ga
Sawan key barasti rutoon mein aksar wo mera naam
Dur urtay huay badal peh likh likh kay mittata ho ga
Sansoon key mehak say paye ga pata mera
Jab na saaye ko bhi pass apnay pata ho ga
Chaha tow bohat ho ga mujh say lipatna uss nay
Apni khawahish wo meray qurb mein kaisay dabata ho ga
Reh nahi sakta mein daikhay bina ek pal uss ko
Lamha mujh say judaey ka wo kaisay bitata ho ga
Uskay chehray peh barasti hayaoon key baarish ho gee
Apnay ahbaab ko jab meray qissay sunaata ho ga
Wo apnay sabhi jazboon ko paband-e-riwayat kar kay
Qafal-e-khamoshi apnay hontoon peh lagata ho ga
Mujhay khawaboon mein bana kar Gul-e-Nobahar wo
Neend say khud ko sawairay kaisay jagata ho ga ..
.............
Khumaar-e-ishq meiN khud ko bhula ke jeete haiN
Hara ik saaNs meiN tujh ko basaa ke jeete haiN
Hai lamha lamha sazaa zindagi ye tere bina
Sitam ye hai ki sada muskura ke jeete haiN
Hawaa hai mehki ya khushboo kisi khayaal ki hai
Ya zehan-o-dil mein hum usko basaa ke jeete haiN
Gunaah kya kiya dil meiN basaa liya jo tumhe
Ye dard dil ka gale se laga ke jeete haiN
Sataaya yaadoN ne aisa k ashq dhal hi pade
Ye aansoo shaam-o-sahar hum bahaa ke jeete haiN
MileiNgay roz-e-qayaamat mein sab se ho ke juda
Sunehra khwaab ye khud ko dikha ke jeete haiN-
...............
Bachpan Kay Dukh
Bachpan kay dukh bhi kaisay dukh thay
Tub faqat khilonay toota kartay thay
Wo khushiaan kaisi khusiaan thi
Titli kay par noch ker uchla kertay thay
Barish kay paani main paaoon maar kar
Khud apni naao aap duboya kartay thay
Chotay thay tu makar-o-fareb bhi chotay thay
Daana daal kay chirya pakra kartay thay
Ab tu ik aansoon bhi ruswa ker daita hai
Bachpan main ji khol kay roya kertay thay
my fav one....
...............
Kisi shaukh se ishq karne ko mann karta hai
puraani yaad taaza karne ko mann karta hai
zindgi itni kum hai ki maut ka kya bharosa
jaam bhara hai khali karne ko mann karta hai
kaun jaane kisne kiska kiya hai intzaar
aaj mile hai to zashn manane ko mann karta hai
unko dekha toh kho gaye hum chand sitaro.n mei
unke honto pe ek ghazal sajane ko mann karta hai
voh kitne bekhabar hai hamari dil-e-arzoo se
unki is sharm-o-haya pur mur jane ko mann karta hai
Likhte rahe unke liye kuchh na kuchh hur roz hum
unke dil-e-rukhsar pe haath rakhne ko mann karta hai
aanchal hi aaya haath mei, unka pata nahin
havao.n se unka pata puchhne ka mann karta hai ...
...............
W@$IM
No comments:
Post a Comment