RSS

Aug 29, 2009

ghazals

Na Jane Q..!!

Na Jane Q Seh Nahi Pata Teri Judai
Jab Na Ho Tu Paas Mere To Dasti Hai Tanhai

Mein Ne Har Sans Peh Tera Naam Likh Dala Hai
Yeh Zindgi Bhi Apni Tere Naam Hai Lagai

Tum Milay To Zingdi Mein Kuch Ronaq Peyda Hone Lagi
Magar Darta Hoon Keh Khein Mere Piyar Ki Na Ho Ruswai

Koi Nahi Mila Aysa Jo Mere Zakhmon Ko Si De
Mere Hisay Mein Ati Hai Aksar Bewafai

Dewana Hoon Be Ekhtiyar Teri Cahhat Ka
Magar Janta Hoon Keh Tu Hai ik Cheez Parai ........

................

Kesi larki Hai..!!

Janey kesee larki hai jo chahati hai mujhey apni khushi ke liye
kash bhula dey woh mujhey meree khushi ke liye

kya soch ker janey us ney khud ko rakah hai hai tanha
batae koi ussey nahi beekharta koi yahan kisi ke liye

sabhi mosamo main bahar nahi hoti sabhi rastey hotey nahi judaee ke
nahi hota koi aik shaks hi zaroori zindagi ke liye

tum mujh tak pohanchney sey pehley her rasta band ker leyna
mager ek rahh khuli rakhna wapsi ke liye

mana kamzor per chukey hain woh sarey wadey merey
qurbani denee hi perti hai khud ko kabhi kisi ke liye

najaney dil main terey kya jazbaat hain ab
acha hi kya tha main ney apni dosti ke liye

ek wohi hasti thee mehwarey zindagi (Khattak)
taras gaya hoon main us sehar ki roshni ke liye
...
..................

Zid...!


Usey Yeh Zidd Ke Usko Dua Mein Mangoon
Meri Ana Ke Mujhe Be-Talab Hi Rehna Hai

Ati hai chahaton ki kahani pe ab hansi
tumse bichar ke soch ke rukh bhi badal gaye
ab tumko dekh ker bhi dharakta nahi hai dil
tum woh nahi rahe keh merey dukh badal gaye

woh berukhi se milta hai tou mila kare lekin
Ana ke koh ko hum bhi gira nahi saktey

dil ka kaam dharakna hi tou hai
tum kyun isko muhabbat ka naam dete ho

yoon tou bauhat se tazkare hain teri yadon ke
mager jane kyun ab humein teri yaad nahi ati

woh mera hoker bhi mujhse mehroom raha
kya koi meri tarhan jeet ke hara hoga

Torh de har aik aas ki douri aason mein kya rakha hai
ishq muhabbat sab batein hain baton mein kya rakha hai
qismat mein jo likha hai woh akhir hoke rehta hai
chund lakeerein uljhi si aur hathon mein kya rakha hai

umar bhar likhte rahe phir bhi warq sada raha
jane kya lafz they jo humse tehreer na hue

Bohat Dair Se Aaya Tu Mere Paas Kiya Kahoon
Alfaaz Doondney Ki Bhi Mohalat Nahi Mili
Har Shakhs Zindgi Main Bohat Dair Se Mila
Koi Bhi Cheez Waqt-e-Zaroorat Nahi Mili ..

.............

Yu Jo Badla...!!

Tu jo badla badal gaye hum bhi pyar karte they bandagi tou nahi
waqt katt jayega ba-har soorat tu koi shart-e-zindagi tou nahi

Zindagi ki raho mein bahuat se yaar milenge
Hum kya humse bhi acche hazaro milenge
In accho ki bheerr mein humein na bhula dena,
Hum kahan aapko bar bar milenge………

Manzilein humko miley na miley qudrat ne
apne naseeb mein sadyon ka safar rakha hai
ashk dhalta hai tou be-khauf se hojatey hain
janey kiss dukh ne humein itna nidarr rakha hai

Ajab rangon mein guzri hai zindagi apni
dilon pe raaj kiya phir bhi pyar ko tarsey ...

................

Khawab Hota To..!!

khuwab hota to teri aankh main basa hota
khusboo hota to teri sans main racha hota
kia hi acha tha ke to shama hoti
perwana ban ke trei aag main jala hota
tujhy firar ki koi surat nazar nahi aati
sawal ban ke tere zahn main uljha hota
sari umer yeh pachtawa nahi jaye ga
wo jo chahy saza deeta na khafa hota ...

....................

No comments:

Post a Comment

Related Posts with Thumbnails