RSS

Aug 25, 2009

ghazals

TUMHE BAAR BAAR DEKHTI HUN
TUH EK HI KHAYAL AATA HAI
VO TUMHARI KON SI BAAT HAI
JISPAR MUJHE ITNA PYAR AATA HAI?
KAISE BHUL JAUN JISE ITNA PYAR KIYA HAI
ITNE SAALON MEIN JISE MAINE
APNA SAB KUCH DIYA HAI
APNI HAR DUAOON MEIN JISE YAAD KIYA HAI
EK EK PAL MARI HUN JISPAR
JISKE LIYE EK EK PAL JIYA HAI.
.............

Ishq Hi Karte Rahe

"Beh Shak Hum To Ishq Main Ishq Hi Karte Rahe
Lekin Samajhne Main Log Galti Karte Rahe

Is Dour Ke Sath Hua Tariqoon Main Badal
Log Maeenooo Main Bhi Tabdili Karte Rahe

Koi To Surat Nikle Ab Un Se Milne Ki Memon
Yahi Dua Shayed Rath Bher Woh Bhi Karte Rahe

Muskurakar Nazar Utthana Phir Jhuka Dena
Qayamat Hogi Woh Ager Younhi Karte Rahe

Ummiid Kaise Karein Hum, Anmol Ke Milne Ki
Ibbadath To Ki Nahi Bas Ashiqi Karte Rahe

Hum Koi Meer Ya Daag To Nahi Hain Anmol
Phir Bhi Memon Mohabaat Main Shayari Karte Rahe..

.........

wafa ka paas hai tumko mohabbat ki tadap gar hai
hamari fikr hai tumko mohabbat sachi bhi agar hai
dekha do iss jahan ko tum mohabbat mein asar hai
gham e dil mein jo jaltay ho mohabbat ka zafar hai
mohabbat naam tumhara mohabbat inteha bhi hai
mohabbat tum sarapa mohabbat hi tumhari nazar bhi hai
nahin peechay hatoge tum mohabbat ki dagar mein
batao kis tarah karlen yaqeen mohabbat hamse agar hai..
........

Aansoo May Na Dhoondna Humey,
Dil May Hum Bas Jaayenge,

Tamanna Ho Agar Milne Ki,
To Band Aankhon May Nazar Aayenge.

Lamha Lamha Waqt Guzer Jaayenga,
Chund Lamhoo May Daaman Choot Jaayega,

Aaj Waqt Hai Do Baatein Kar Lo Humse,
Kal Kya Pata Kon Apke Zindagi May Aa Jayega.

Paas Aakar Sabhi Door Chale Jaate Hai,
Hum Akele The Akele Hi Reh Jaate Hai,

Dil Ka Dard Kisse Dikhaaye,
Marham Lagane Wale Hi Zakhm De Jaate Hai,

Waqt To Humey Bhula Chuka Hai,
Muqaddar Bhi Na Bhula De,

Dosti Dil Se hum Isiliye Nahin Karte,
Kyunke Darte Hai,Koi Phir Se Na Rula De,

Zindagi May Hamesha Naye Log Milenge,
Kahin Ziyada To Kahin Kam Milenge,

Aitbaar Zara Soch Kar Karna,
Mumkin Nahi Har Jagah Tumhe Hum Milenge.

Khushbo Ki Tarah Aapke Paas Bikhar Jayenge,
Sukon Ban kar Dil Me Utar Jayenge,

Mehsoos Karne Ki Koshish To Kijiye,
Door Hote Hoye Bhi Pass Nazer Aayenge. .

..........

Aik dil mein basi sada tum ho gham-e-dil mein dil ki dawa tum ho
Wo jo chup chup kar rulaye har pal aisey yadoon ki ghata tum ho
Mere dukh mein mere sukh mein zindagi ka khuda ke baad sirf asra tum ho
Jo bechain kar de rooh ko meri us dil lagi ki saza tum ho
Kaun kehta hai ajnabi hein hum mere dost mere ashna tum ho
Mere tun mun ko mehkati huey thandi thandi saba tum ho
Agar mohabat ki ibteda mein hoon toh mohabat ki inteha tum ho
Har subhu har shaam in laboon par buss rehti dua tum ho
Jo fuqt tumhein dekh kar zinda hai us zameen ke asmaan tum ho
Mer zindagi mein mere liye ik roshni ka diya tum ho
Tumhara aina mein hoon mera aina tum ho ..
........

ZARA SA MUSKARAOO NA

Ghamoon ki jo faseel hai

Woh is qadar taweel hai
Ghazab tu hai k ik nahin
Faseel dar faseel hai
Tum is ki mundair pr
Arzoon k teil se
Chiragh-e-Dil jalaoo na
Zara sa muskaraoo na

Woh phir se yaad aa giya
Jo roth kr chala giya
Ose khiyal bhi nahin
Kisi ka dil dukha giya
Ab os ki methi yaad mein
Saboon ko jag jag kr
Yeh raat jage manaoo na
Zara sa muskaraoo na

Yeh gham hamesha aein gay
Yeh younhi dil jalaein gay
Magar khushi k ate he
Yeh gham bhi bhol jaein gay
Malol ho k gham se tum
Zara palkoon pe younhi
Sitare jhilmalaoo na
Yeh ansu pi jaoo na
Zara sa muskaraoo na
..........

Koi wada nahi hum mai
Na apass mai bohaty batein
Na milne mai bohat shouqi
Na akhir shab manajatein
Mager ankahi see hai
Jou ham dono samjhte hain
Ajab ik serkhusi see hai
Jou ham dono samjhte hain
Ye sarey dilrubba manzer
Talismi chandnni ratein
Sunhery dhoop ka mausam
Ya halke sukh ki bersatein
Sabhi ik zid mai rehtey hain
Mujhe peham ye kehtey hain
Mohabbat youn nahi achi ...
.........

Tum iss dard se guzre ho na ?
Wo rutt jiss mai jal jaty hai ankhein
Tum per bhi guzri hai
Wo shabb , jo mehtab se tapke
Ansoo ansoo , shabnam shabnam wo shab
Mujh per bhi utry hai
Wo din jab ghariya soo jaye
Lamhe pather ke ho jaye
Wo din tum ne bhi katta hai
Dono ke jismoo , roohou main
Yaksaa dukh ka sanatta hai
Phir kiu mujh se pochte ho tum ?
Meri palke kiu purnam hain
Akhir mujh ko kon se gham hain ...?

.......

dard jab had se barh jaye to muskura deta hoon
jo rulane aaye mujhko use mein hansa deta hoon

taqdeer ne deen tthokrein naseeb ne boye kaante
har zakhm apne dil ka hans ke uttha leta hoon

meri tabahi mein hissa lene walon
sada khush raho tum jao mein dua deta hoon

aaj mere gamon ka bhi elaj kar de mola
warna na kehna ke mein bigri baat bana deta hoon..

..........

Pooch Lo Tum Bhi Iss Zamaane Se
Pyar Chupta Nahi Chupaane Se

Paas Aatey Ho Choote Ho Baat Karte Ho
Kabhi Matlab Se Kabhi Bahaaney Se

Pyar Dil Mein Hai Tau Laao Zubaan Pe
Aag Barhti Hai Ye Bujhaaney Se

Tumhein Na Paana Shayad Behtar Hai
Paa Ke Phir Se Tumhein Gawaaney Se

Chalo Ek Dua To Apni Poori Huwi
Mil Liye Apne Ek Deewaane Se

Karo Koshish Ke Qurbatein Hi Rahein
Dooriyan Barh Jati Hain Barhaney Se

Kya Sunayein Kisi Ko Raaz-e-Dil
Dard Bhi Barhta Hai Sunaaney Se

Bhool Jaao Kar Ke Achha Hai
Ehsaan Rehta Nahi Jataaney Se-
.............

jo dil ke haalaat hai, kaise unko samjhaayein
bade ajab jazbaat hai, kaise unko samjhayein
pehle yeh mausam na the, yaa fir aise hum na the
beshaq khushiyaan kam thi par, aise to ghum na the
hum dil ko kya batlaayein, koi humko samjhaaye
bade ajab jazbaat hai, kaise unko samjhayein
aisa bhi haasil hai kya, jo qaraar kho diyaa
kisi ne chhookar humko,nayaa hi beej bo diya
kuchh to hum bhi samjhe, to kuchh unko keh paayein
bade ajab jazbaat hai, kaise unko samjhayein ...
............

bara kathan rasta hai jo aa sako tho sath do
yeh zindagi ka fasla mita sako to sath do
bare fareeb khao gye bare sitam uthao gye
yeh umar bar ka sath hai nibha sako to sath do
jo tum kaho to yeh dil to kya main jaan bhi fana kar doon
main kaho to ik nazar luta sako to sath do
hazaar azmaishein hazaar imtiyhan hazaar dukh hazaar ghum
utha sako to sath do
yeh zindagi yahan hazaar ghumon ke sath sath hain
rula sako to sath do hanssa sako to sath do-
......

Ek to teri aawaaz yaad aayegi..
teri kahi hui har baat yaad aayegi..
din dhal jaayega raat yaad aayegi..
har lamha pehli mulaqaat yaad aayegi..
kabhi hasti kabhi roti kabhi muskurati..
ye zindgi tere bin bhi kat jaayegi..
par kuch kami isme bhi to reh jayegi..
dil ko tadpayegi kabhi tarsayegi...
har lamha teri yaad aa jayegi..
.....

dukh tu kam nahi hotey
talkhiyan mitane sey
ya unhein chuppane se
dil mein dukh samaney se
roone or roolane se
be-wajah hansney se
khud se bhi chuppane se
ya tumhein batane se
dil ko azmaney se
rishtey toor aney se
yaad choor aney se
ghum per sabr kerne se
dil be-khuber kerne se
Aansoon ko peeney se
Ghot ghot ker jeeney se
Dukh tu kam nahi hotey !
Dukh tu kam nahi hotey-
....

No comments:

Post a Comment

Related Posts with Thumbnails