Ussay Bhool Jaa
Kahaan Aa Ke Rukne Thay Raastey,
Kahaan Moor Tha, Ussay Bhool Jaa,
Joo Mil Gaya Ussay Yaad Rakh,
Joo Nahi Mila Ussay Bhool Jaa,
Woh Tere Naseeb Ki Baarishein,
Kisi Aur Chhat Pe Baras Gayien,
Dil-e-Bekhabbar Meri Baat Sun,
Ussay Bhool Jaa, Ussay Bhool Jaa,..!!
Mein Too Gum Thaa Tere Hi Dehyaan Mein,
Teri Aass Tere Gumaan Mein,
Saba Keh Gayi Mere Kaan Mein,
Mere Paas Aa Ussay Bhool Jaa...!!
Kisi Ki Aankh Mein Nahien Ashq-e-Gham,
Tere Baad Kuch Bhi Nahien Hai Kam,
Tujhe Zindagi Ney Bhulaa Diya,
Tu Bhi Muskuraa Ussay Bhool Jaa..!!
Naa Woh Aankh Hi Teri Aankh Thi,
Naa Woh Khuaab Hi Tera Khuaab Thaa,
Dil-e-Muntazir Too Yeh Kis Liye Tera Jaagnaa,
Ussay Bhool Jaa...!!
Yeh Joo Raat Din Ka Hai Khel Saa,
Ussay Dekh Iss Pe Yakeen Naa Kar
Nahien Aks Koi Bhi Mustaqil Sar-e-Aaena,
Ussay Bhool Jaa...!!
Joo Bisaat-e-Jaan Hi Ulatt Gaya,
Woh Joo Raastey Mein Palatt Gaya
Ussay Rookney Sey Husool Kya,
Ussay Matt Bulaa Ussay Bhool Ja..!!
BHOOL JA...!!-
...............
Tumko jaante nahi,
per chahate hain hum
Din bhar khojte nahi,
per sochte hain hum
Tumhare dil mein rehte nahi,
per tumhare hain hum
Tumko shayad paayenge nahi,
per apnayen ge hum
Jeevan main shayad kabhi mil na paao,
bas bichar jaao ge tum
Shayad humare na ban paao,
per muskurao ge tum
Raat andheri hogi,
phir-bhi jhilmilaoge tum
Humein aur koi nahi,
bas yaad aao ge tum-
.................
Kisi ki yaad may rehna bhi baara ajeeb hota hai
Her pal yahi lagta hai ke wo aate hoon gain
Mein tu un ki yaad may khud ko mitta baitha hon
Janay wo mujhe yaad kya karte hon gain
Meri to raaat katti hai unhi ki yaad may akser Per
wo tu ghar apne chain se sote hon gain
Jin ki yaad may Raaton ko oth oth kar Rotaa hon Kya
wo meri yaad may pal bhar bhi rotee hon gain
Dil ki her dewaar per jis ka naam likha hum ne
Wo to apne khayalon se bhi mera naam mittate hon gain
Jin ki rahon ko phoolon se sajaya hum ne
Wahi meri rah may kaanton ko bichate hon gain
kabhi na kabhi meri yaad bhi un ko sattati ho gi
yunhi meri shairon se wo dil ko behlate hon gain-
...............
Khasmosh say lab ankhoon main nami hoti hai
Tari yaad jo ati hai to kuch asi aada hoti hai
Ankhoon ko band kar k us ko main sochoon to
Khamosh andharay main bas uski nigaah hoti hai
Ab ya duniya mari muha veeran si lagti hai
Khushboo tari na hoti hai na tari sada hoti hai
Jis des bhi jao tum who des tumhara ho
Ab haath jo uthta hain to yahi dua hoti hai...!!-
.............
Be Sabab Tu Nahin Teri Yaadein
Teri Yaadon Se Kiya Nahin Seekha
Zabt Ka Hosla Barha Lena
Anson Ko Kahin Chupa Lena
Kampti Dolti Sadaoon Ko
Chup Ki Chadar Se Dhamp Kar Rakhna
Be Sabab Bhi Kabhi Kabhi Hansna
Jab Bhi Ho Baat Meri Talkhi Ki
Muzo-e-gufatogu Badal Dayna
Be Sabab Tu Nahin Teri Yaadein-
.............
Ab Kiya Likhen Kagaz Per.........???
Ab Kiya Lekhen Ham Kagaz Per?
Ab Likhnay Ko Kiya Baki Hai?
Aik Dil Tha So Ab Toot Gaya
Lutnay Ko Ab Kiya Baki Hai ?
Aik Shaks Ko Hum Nay Chaha Tha
Kuch Ret Per Naksh Banaya Tha
In Ret Kay Razon Ko
Hum Nay Dil Main Sajaya Tha
Woh Ret To Kabh Ke Bikhar Gaee
Woh Naksh Ab Kahan Baki Hain?
Abh Kiya Lekhay Ham Kagaz Per ?
Ab Likhnay Ko Kiya Baki Hai ?
Woh Jin Ko Hum Apni
Nazmo Ka Unwan Banaya kartay thay
Woh Lafzon Ka Bana Kay Taj Mahal
Kagaz Per Sajaya kertay thay
Woh Hum Ko Akela Chor Gaya
Sab Rishto Say Mooh Mor Gaya
Ab Rishtay Saray Sunnay Hain
Woh payar Abh Kahan Baki Hai
Ab Kiya Lekhen ham Kagaz Per??
Ab Likhnay Ko Kiya Baki Hai-
...............
Zindagi naam ko humari hai
Aakhri sans to tumhari hai
Teri chaht kahaan pey lay ayee
Tujh sa mil kar bhi baykarari hai
Mujh se poocho chamak sitaron ki
Main ne ro ro k shab guzari hai
Aap ke haath main lakirain hain Warna
taqdeer to humari hai
Dil mera tortay ho lo toro
Cheez meri nahi tumhari hai...!!
...........
Agar hum dost hotey..!!
Agar Ham Dost Hotey
To Karam Ki Inteha Kartey
Tumhen Palkon Pey Rakhtey Ham
Tumhen Dil Men Basatey Ham
Agar Tum Rooth Jaatey To
Tumhen Kitna Manatey Ham
Jo Milney Tum Nahi Aatey
To Aa kar Khud Tumhen Miltey
Tumhari Laghzishon Ko Bhi
Hansi Main Ham Ura Detey
Agar Apni Khata Hoti To
Khud Ko Bhi Saza Detey
Magar Ye Sab Jabhi Hota
Agar Ham Dost Hotey To
Magar Itna Hi Jana Hey K Tum Ney
Aaj Tak Ham Ko Paraya Keh Kar Jana Hey
Kabhi Hamdam Naa Mana Hey
Agar Ham Dost Hotey To ....
..............
Main mohabbat hoon..
Main Mohabbat hoon Mohabbat karke dekh
Main Mohabbat na doon to kehna
Main Muskurahat hoon mujhe hansa ker dekh
Na sajoon tere honton per to kehna
Main Khushboo hoon mujhe mehsoos karke dekh
Na mehkoon teri zindagi main to kehna
Main Dil hoon mujhe sun ker dekh
Na Dharkoon tere Dil main to kehna
Main Phool hoon mujhe laga ker dekh
Na mehkoon din raat to kehna
Main Mohabbat hoon mujhe apna karke dekh
Na banoo main teriiiiiiii to kehna .
.............
Us Nay Kaha ...
Usne kaha mujh se kitna piyar hai
Maine kaha sitaron ka koi shumar hai
Usne kaha ke kon tumhe hai bohat aziz?
Maine kaha dil per jjise ikhtiyar hai
Usne kaha ke konsa tohfa tumhain main doon
Maine kaha wo sham jo ab tak udhar hai
Usne kaha khizan main mulaqat ka jawaz?
Main ne kaha qurb ka matlab bahar hai
Usne kaha sennkron gham zindagi main hain
Mai ne kaha gham nahi jab gham gusar hai
Usne kaha saath kahan tak nibhao gai
Maine kaha jitni ye sanson ki taar hai
Usne kaha mujhko yaqeen aaye kistarah
Maine kaha naam mera aitbaar hai.
...............
No comments:
Post a Comment