!..Tabhi to mae mohabat ka "Hawalati" nhi hota,
Yahan apnay siwa koi "Mulakati" nhi hota,
Or ab is bat pr b muJh se mery Yaar ulajte han,
K ma hr bat sun leta hun "Jazbati" nhi hota,
Griftar-e-wfa! Rony ka koi ak mosam rakh,
Jo nala roz beh nikly wo "Barsati" nahi hota,
Tujhe dil me Jaga di hai nazar se dor kia krte,
Jo mrkaz me thehar Jaye "Mazafati" nahi hota,
Bichrne ka irada ho to muJhse Mashwra krna,
Mohabat me koi b faisla "Zaati" nhi hota...!
Wa§¡M
.........
......Wo Husn-e-Mujassim Kamaal Us Ki Aankhen,
Sarapa-e-Muhabat Jamaal Us Ki Aankhen,
Main Jeb B Koi Sawaal Us Se Poochon,
Mujhey Roz Deti Hain Taal Us Ki Aankhen,
Jo Baichey To 2no Jahan Dey Kr Ley Lon,
Wo Chehra Wo Zulfen Wo Gaal Us Ki Aankhen,
Agr Koi Poochey K Dunya Main Kya Hai,
Zamana Dey Ga Misaal Us Ki Aankhen.
Wa§¡M
.........
Badan Mein Rang Bharta Ha Tmhara*Chand Sa* *Chehra*
Mujhe Bechain Karta Ha Tmhara*Chand Sa* *Chehra*
Esi Ehsas Ka Nasha Liye Phirta Ha Dunia Mein
MERI Khater Sanwarta Ha TMHARA*Chand Sa* *Chehra*
Mujhe Ye Chandni Raten Bohat Bekaif Lagti Hain
Jab Ankhon Mein Ubharta Ha Tmhara*CHand Sa* *Chehra*
Koi Chehra Meri Ankhon Ko Khaira Nahi Kar Sakta
Mujhe Madhosh Karta ha Tmhara *Chand Sa* *Chehra*
.........
Abhi soraj nhi dooba"
zara si SHAM hony do"
Main khud hi loat jaonga"
Mujhy NAKAM hony do"
Mujhy badnam krny k"
BAHANY dhund rhy ho Q"
Main khud hojaunga BadNam"
Pehly Naam Hony Do"
Abhi mujko nhi krna hy atiraf-e-SHIKAST
Me sb taslem krlunga"
Ye Charcha AAM Hony Do"
Meri HASTI nhi anmol"
Phr b bik Nhi skta"
Wafain bech lena par"
Zara NELAAM hony do"
Naye aghaz my hi"
Hosla Q tor bethy ho"
Jeet jaogy tm SB KUCH"
zara anjam hony do"
Wa§¡M
.........
Aey Chaara'Gar-e-shauq koi aisi dawa day,
Jo dil se har ghair ki chahat ko bhula day..
Bus dekh liya duniya k rishton ka tmasha,
Makhlooq se umeed k sabk
hm guzre waqt kimizaan ho kr reh gya...
Rut ne mere charon tarf khenche
Hisar_e_bam_o_der,,,Ye shaher phir mere liye
zindaan ho kr reh gya...
Kuch a,kuch chupa kar bhi bta daina,
Ye soch ke Jab bhi Main muskurata hun,
tum akser yad aatyho,
Tum akser yaad aaty ho.....
.........
Ab raftgaa'n ki yaad ka kuch tou pata b dy!
Aye shaam dukh diya hY tou hosla b dy
Chubtay hain ab tou askh b reh reh k ankh mein
Mooj-e-hawaye shab yeh chiraghaa'n bujha b dy
Mujko tou harf-e-haq ki talab thi so paa liya
Meine yeh kab kaha tha mujhe "Karbala" b dy
Kab tak hansay gi tujpe yeh mehromiyon ki shaam?
Woh shakhs bewafa tha,osay ab bhula b dy
*Mohsin* saa ahl-e-dil tou dikha meray shahr mein
*Mohsin* tou hans k zakm b khaye dua b dy.....!
Wa§¡M
..........
Aahat si koi aye tou lgta hy k tm ho
Saya koi lehraye tou lgta hy k tm ho
Jb shakh koi hath lgatay hi chaman ko
Sharmaye, lachak jaye tou lgta hy k tm ho
Sandal si mehkti hui pur kaif hawa ka
Jhonka koi takraye tou lgta hy k tm ho
Orhay huway taron ki chamakti hui chadar
Nadi koi bal khaye tou lgta hy k tm ho
jb rat gaye koi kiran mere barabar
Chup chap se so jaye tou lgta hy k tm ho.
Wa§¡M
.......
=Aa k le jae meri aankh ka pani mujse=
Q hassad karti hy darya ki rawani mujse=
Gosht naakhun se alag kar k dikhaya mene=
Usny poochy thy judai k ma'ani mujse=
Teri khushbu ki lehad par main bara tanha tha=
Ro parri mil k galay raat ki rani mujse=
Khatam honay laga jab khoon b ashkon ki tarha=
Kar gaye khuwab mere naqal makani mujse=
Sirf ik shakhs k gham myn mujhe BARBAD na kar=
Roz rotay huay kehti hai JAWANI mujse..!
Wa§¡M
.........
~Dil kabhi sorat e halat say bahir nahin gAya~
Dil kabhi sorat e halat say bahir nahin geya
main mohabbat main bhai oqaat say bahir nahin geya
ik tu hai k jahan bhar say hai taluq tera
ik main hoon k tere zaat say bahir nahin geya
soach koey na tere soach say hut kar soachey
tazkara koey bhi tere baat say bahir nahin geya
merhala tuj say judaey ka bhi aan pohncha hai magar
main abhi pahlee mulaqat say bahir nahin geya
ao sooraj ko batatay hain k tamaazat keya hai
chand keya janay wo tu khud raat say bahir nahin geya.
.Wa§¡M
..........
"Mohabbat" ki aziyat ko kabhi pehchaan pao to mujhe bhi "khabar" kr dena,
K tum se dor reh kr bhi tumahary naam ki "khushbo"
meri har "sans" ka ik aas se "Rishta" bandhati hy,
"Mohabbat" toot bhi jaye"Mohabbat"rooth bhi jaye"Mohabbat" mar nahi sakti
"Mohabbat" mit nahi sakti"judai" k zamaany se"Mohabbat" chhup to sakti hay
"Mohabbat" mar nahi sakti,so
apni "chahaton" ka wasta de kr tumhein awaaz deta hoon,
Kahan ho tum?
Laut aaƶ
.......
"Jin k hamsfar bichr jaya krte hain,
wo chain se kab soya krte hain,?
sunate nai kisi ko Dukh apna,
bas akale main chup kr roya krte hain,
bari khoob aDaa hai ye Ehle wafa ki,
ankho mein nami aur honton se muskuraya krte hain,
bhale hi hazaro shikwe hon mehbob se,
wo bs haal poch le tou sb bhol jaya krte hain,
bari Ajeeb hai Dunia Ehle Dard ki FAraz,
tanhai mein aksar Mehflon ko sajaya krte hai"
Wa§¡M
...........
"Hoon to khafa us se.Par jane phir bhi kyun."
Na chaah kar bhi usko chahna acha lagta hai."
Haqeeqat se hoon door."yeh mujhko he pata.
Par jaan k anjaan rehna acha lagta hai."
Qaail nahi main rone ka phir bhi kabhi kabhi."
Tanhai main kuch dair rona acha lagta hai."
woh mera tha,woh mera hai,Woh mera rahe ga."
Kuch pal is khuwab main aa jana acha lagta hai...!!
Wa§¡M
...
*Bas Rehnay Do*Aansu Jo Beh Rayeh Hain Inhien Behnay Do,
Yeh keh Rayeh Hain Dil ki Baat kehnay Do,
Bohat Bewafa Ho Tum Yeh Hum ko Hai Maloom,
Tum Apni Wafa ki Baat Apnay Tak He Rehnay Do,
Milla To kiya Milla Tumhien Chahnay k Baad,
Bas Dukh He Seh Rahien Hain Humien Sehnay Do,
Tum Nay To keh Dala Sab Haal-e-Dil Apna,
Ab Mujh ko Apni Dastaan B kehnay Do,
Mar He Gayeh Auron k Liye Hum,
Tum Apni khatir Hum ko Zinda Rehnay Do..
Wa§¡M
...........
"ABHI GHAR NA JANA"
Ye bikhri si zulfen ye phela sa kajal
Ye bechen aankhen ye simta sa aanchal
Tere haal se sab pehchaan lenge
Tujhe dekh kar sab mujhe jaan lenge
Ye behky kadam larkharati jawani
Ye betaab dil aur mohabbat deewani,
Shafak jasiay honton pe ubhri hoi hai
Mere honton ki ik mehkti nishani..
Tere jism se urhti meri ye khushbu
Suna degi sab ko yeh saari kahani
Na ban jaey apna milan ik fasana
ABHI GHAR NA JANA
ABHI GHAR NA JANA!
WM
..........
No comments:
Post a Comment