dil kii baat labo.n par laakar ab tak ham dukh sahate hai.n
dil kii baat labo.n par laakar ab tak ham dukh sahate hai.n
ham ne sunaa thaa is bastii me.n dil vaale bhii rahate hai.n
biit gayaa saavan kaa mahiinaa mausam ne nazare.n badalii
lekin in pyaasii aa.Nkho.n me.n ab tak aa.Nsuu bahate hai.n
ek hame.n aavaaraa kahanaa ko_ii ba.Daa ilzaam nahii.n
duniyaa vaale dil vaalo.n ko aur bahut kuchh kahate hai.n
jis kii Khaatir shahar bhii chho.Daa jis ke liye bad_naam hue
aaj vahii ham se begaane begaane se rahate hai.n
vo jo abhii rah_guzar se chaak-e-garebaa.N guzaraa thaa
us aavaaraa diivaane ko 'Jalib'-'Jalib' kahate hai.n
................
is shahar-e-Kharaabii me.n Gam-e-ishq ke maare
is shahar-e-Kharaabii me.n Gam-e-ishq ke maare
zindaa hai.n yahii baat ba.Dii baat hai pyaare
ye ha.Nsataa huaa chaa.Nd ye pur_nuur sitaare
taabindaa-o-paa_indaa hai.n zarro.n ke sahaare
[taabindaa-o-paa_indaa = burning bright and eternally]
hasarat hai ko_ii Gunchaa hame.n pyaar se dekhe
aramaa.N hai ko_ii phuul hame.n dil se pukaare
har subah merii subah pe rotii rahii shabanam
har raat merii raat pe ha.Nsate rahe taare
kuchh aur bhii hai.n kaam hame.n ai Gam-e-jaanaa.N
kab tak ko_ii ulajhii hu_ii zulfo.n ko sa.Nvaare..
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment