Aansu toot k gira he tere liye aaj phir,
Kuch yaaden toot kr barsi hain tere liye aaj phir.
In ankhon main basa he sirf ek tera hi chehra,
Tujhe doa ki soorat kHUDA se manga he aaj phir,
Youn to roz hi yaad krta hun tujhe her pal,
Par dil ne toot k chaha he tujhe aaj phir.
Dil hai khincha hi jata he teri oor ,
Tari yadon ne bohot rulaya hai aaj phir!
Showing posts with label Ansu Poems. Show all posts
Showing posts with label Ansu Poems. Show all posts
Aug 11, 2010
Barish ki barasti bonndon mein
Barish ki barasti bonndon mein
aur mere aansuaon mein
yeh baat aik si hai
k donon hi
kabhi mausam, kabhi bin mausam,
rim jhim barsa karte hain
lekin inn mein aik fark hai
qoh yeh k bhoondain toh bas
bho0ndain he hoti hain
lekin ansu kabi dukh se bharay
hote hain
kabhi khushi se palkon par sajay
hotey hain
kabhi Bewafaai
kabhi tanhai
aur kabhi////
Inn mein namkeeni hoti hai..
Kisi ki Judaayi ki..
aur mere aansuaon mein
yeh baat aik si hai
k donon hi
kabhi mausam, kabhi bin mausam,
rim jhim barsa karte hain
lekin inn mein aik fark hai
qoh yeh k bhoondain toh bas
bho0ndain he hoti hain
lekin ansu kabi dukh se bharay
hote hain
kabhi khushi se palkon par sajay
hotey hain
kabhi Bewafaai
kabhi tanhai
aur kabhi////
Inn mein namkeeni hoti hai..
Kisi ki Judaayi ki..
Chaand hi nikla na baabal hi
Chaand hi nikla na baabal hi
chama cham barsa
Raat dil par gham-e-dil surat-e-sjabnam
barsa
jalti jati hain jaden sookhte jaate
hain shajar
ho jo taufeeq to ansu ki koi dam
barsa
mere armaan they barsaat ke
baadal ki tarah
gunhce shaaki hain ye keh abar
bahut kam barsa
sard jhookon ne kabi sooni
rutoon se kya baat
kin tamannaon ka khon shaakhon
se tham tham barsa
qarya qarya thi qesar hasrat-e-aabadi-e-dil
qarya qarya wohi veeranoon ka
Aalam barsa...
chama cham barsa
Raat dil par gham-e-dil surat-e-sjabnam
barsa
jalti jati hain jaden sookhte jaate
hain shajar
ho jo taufeeq to ansu ki koi dam
barsa
mere armaan they barsaat ke
baadal ki tarah
gunhce shaaki hain ye keh abar
bahut kam barsa
sard jhookon ne kabi sooni
rutoon se kya baat
kin tamannaon ka khon shaakhon
se tham tham barsa
qarya qarya thi qesar hasrat-e-aabadi-e-dil
qarya qarya wohi veeranoon ka
Aalam barsa...
Aug 9, 2010
Mujhe bus tera hona hai..
Tumhay bas mera hona hai
kahi peechay na reh jana
kabhi tanha na kar jana
bade sapne sajay hain
bade ansu chupay hain
mujhy maloom hai jana
jo mere sath hota hai
wo tery sath hota hai
riwayat-e-zamanaa kyun
mujhy bechain karta hai
ghamon se choor karta hai
mere saalon bane sapne
bohat benoor karta hai
magar ye ho nhi sakta
judaa tu ho nahi sakta
kahin jeewan ki raahon main
bohat peche na reh jana
tumhay bus mera hona hai
Mujhe bus tera hona hai..
kahi peechay na reh jana
kabhi tanha na kar jana
bade sapne sajay hain
bade ansu chupay hain
mujhy maloom hai jana
jo mere sath hota hai
wo tery sath hota hai
riwayat-e-zamanaa kyun
mujhy bechain karta hai
ghamon se choor karta hai
mere saalon bane sapne
bohat benoor karta hai
magar ye ho nhi sakta
judaa tu ho nahi sakta
kahin jeewan ki raahon main
bohat peche na reh jana
tumhay bus mera hona hai
Mujhe bus tera hona hai..
Khawab ki Musafat Se..
Khawab ki musafat se
wisal ki tamazat se
roz-o-shab riyazat se
kia mila mohabbat se???
ik hijar ka sehra
ik shaam yaadon ki
ik thaka hua ansu...
wisal ki tamazat se
roz-o-shab riyazat se
kia mila mohabbat se???
ik hijar ka sehra
ik shaam yaadon ki
ik thaka hua ansu...
Aug 8, 2010
Jahan Yaad K Deep
Jahan yaad k deep jalte hon or
sham k saaye dhalte hon
jab kisi ka yaad aaye aur zikar
kisi k chalte hon
ankhon main aansu bhar aayen aur
ashk ka tumse rukte hon
tab un logon ka yaad karo jo pyar
tumhi se karte hon
jo tum bin ji na sakte hon
aur tum par dil se marte hon..
sham k saaye dhalte hon
jab kisi ka yaad aaye aur zikar
kisi k chalte hon
ankhon main aansu bhar aayen aur
ashk ka tumse rukte hon
tab un logon ka yaad karo jo pyar
tumhi se karte hon
jo tum bin ji na sakte hon
aur tum par dil se marte hon..
Hawa jab geet gati hai
Hawa jab geet gati hai
meray ansu nahi ruktay
tumari yad aati hai
meray ansu nhn rakhte
main khush hota hun pani main
baha kar kaagzi kashti
magar jab doob jati hai
meray ansu nahi ruktay
main din bhar khof ruswai ka kitna
zabt karta hun
magar jab raat chaati hai
meray ansu nhn ruktay..
meray ansu nahi ruktay
tumari yad aati hai
meray ansu nhn rakhte
main khush hota hun pani main
baha kar kaagzi kashti
magar jab doob jati hai
meray ansu nahi ruktay
main din bhar khof ruswai ka kitna
zabt karta hun
magar jab raat chaati hai
meray ansu nhn ruktay..
Aug 5, 2010
Ansu Tere Bhi Jari Hain
Ansu Tere Bhi Jari Hain
Judai ke sare silsiley,
usi tarah jari hain,
Ansu tere b behte hain
ansu mere b jari hain
socha tha k sath he tere
jiyenge b marenge b
sochne ki justuju hum main
ab bhi waise he jari hai
har dafa tujhe pane ki umeed
toot kar bikhar jati hai
har dafa umeeden bandhna
ye adat ab b jari hai
tum bhe ab tang ho hum se
ab be bus hain hum khud bhi
ansu mere bhi behte hain
ansu tere b jari hain...
Judai ke sare silsiley,
usi tarah jari hain,
Ansu tere b behte hain
ansu mere b jari hain
socha tha k sath he tere
jiyenge b marenge b
sochne ki justuju hum main
ab bhi waise he jari hai
har dafa tujhe pane ki umeed
toot kar bikhar jati hai
har dafa umeeden bandhna
ye adat ab b jari hai
tum bhe ab tang ho hum se
ab be bus hain hum khud bhi
ansu mere bhi behte hain
ansu tere b jari hain...
Aug 4, 2010
Main royi to nahi hoon..
Main royi to nahi hoon..
Na jane !
mera kajaL
jab bhi dheko
Aankhon main ab aksar phaiL jata hai
Main royi to nahi huN
Tum to jante ho in dino
bohat hi thand hoti hai
taB hi surkh NaaK meri
Main royi to Nahe hooN
Kaha to hai yun he bus
bheega he aanchal ka kona
choro tum fikar mat karo
main royi to nahi hun
nahi udaas kab hon main
zayda kaam key baais
thakwat ho hi jati hai
main royi to nahi hoon
Eid aiyi hai
wo ab b nahi ata to na aaye
ab us ki yaad main dheko
main royi to nahi hoon
bata dena us ko ja kar
koi khushfehmi na palay
wese he surkh hain aankhain
Main royi to nahi hoon..
Na jane !
mera kajaL
jab bhi dheko
Aankhon main ab aksar phaiL jata hai
Main royi to nahi huN
Tum to jante ho in dino
bohat hi thand hoti hai
taB hi surkh NaaK meri
Main royi to Nahe hooN
Kaha to hai yun he bus
bheega he aanchal ka kona
choro tum fikar mat karo
main royi to nahi hun
nahi udaas kab hon main
zayda kaam key baais
thakwat ho hi jati hai
main royi to nahi hoon
Eid aiyi hai
wo ab b nahi ata to na aaye
ab us ki yaad main dheko
main royi to nahi hoon
bata dena us ko ja kar
koi khushfehmi na palay
wese he surkh hain aankhain
Main royi to nahi hoon..
Suniye..!!!
Suniye..!!!
Apni khoubsurat kalaayi main
choriyan ghumatey howe usne
kaha..!!
kesi hain yeh choriyan???
apko pasand hain yeh??
apke naam ki hain~~
hum ne apki taraf se li hain
Aap humare ho na??
usne pocha..!!
Is se pehle wo meri ankhon main
chamakte ansu dekhti
us se pehle mene kaha..!!
han khoubsurat hain yeh
choriyan
meray naam ki davay dar wo larki..!!
khushi se muskra di
or bhool gayi apne sawaal ka jawab..
Apni khoubsurat kalaayi main
choriyan ghumatey howe usne
kaha..!!
kesi hain yeh choriyan???
apko pasand hain yeh??
apke naam ki hain~~
hum ne apki taraf se li hain
Aap humare ho na??
usne pocha..!!
Is se pehle wo meri ankhon main
chamakte ansu dekhti
us se pehle mene kaha..!!
han khoubsurat hain yeh
choriyan
meray naam ki davay dar wo larki..!!
khushi se muskra di
or bhool gayi apne sawaal ka jawab..
Aug 3, 2010
iss mah-e-sard main shayad
Phir kab baat hogi...!!
jab dhundli shaam hogi,
kabi main koshish karun gi,
kabi tum baadlon se kam lo ge,
woh us k ansu
meri ankh mein hon ge,
wo dhund ki chaadar,
tere kandhe par ho gi,
iss mah-e-sard main shayad,
meri tujh se baat ho gi..
jab dhundli shaam hogi,
kabi main koshish karun gi,
kabi tum baadlon se kam lo ge,
woh us k ansu
meri ankh mein hon ge,
wo dhund ki chaadar,
tere kandhe par ho gi,
iss mah-e-sard main shayad,
meri tujh se baat ho gi..
Subscribe to:
Posts (Atom)