RSS
Showing posts with label Poems Of The Month. Show all posts
Showing posts with label Poems Of The Month. Show all posts

Feb 13, 2010

Poems Of The Month

Suno!
Jab dil ke aangan me,
Khizayain muntzir pao,
Suno!
Jab behti aankh0n se,
kisi ko dhondhna chaho,
Suno!
Jab dhair logon mei,
kisi ko pas na pao,
Suno!
Jab yad hum ayain,
humain aap bholna chaho,
To bas ek baar apney dil pe,
apna hath rakh lena,
Faqat awaaz de dena,
Faqat ehsaas kar lena,
Suno!
Hum loat aaein gay
tumhain apna banaein gey...
,,,,,,..,,,,,

Taqseem e Muhabat Me B Kuch Ghum Hi Milay
Phir B Shikayat Hy K Silay Kum Hi Milay
Ae Zindagi Ik Bat Bata Zara Hum Ko
Kya Dil Dukhany K Lye Tuje Hum Hi Milay?
.........

Tarap rahi hai har Ek tamanna,
Na Us se milte,Na aisa hota.
Bujhi bujhi si hai dil ki duniya,
Na Us se milteNa aisa hota.
Hum aisi mehfil mein kaise jain,
Jahan k manzar hamein jalain.
Agar hai jalna Jalein gein tanha.
Na Us se milte,Na aisa hota.
Na chain aaye, Na mout aaye,
Na jee rahe hain,Na mar rahe hain.
Kahan tha pehle ye haal Apna.
Na Us se milte,Na aisa hota...!
........

tera har rang hamne dekha hi
tera har dhang hamne dekha hi
hathe khele hian teri zolfon se
aankh waqif hi tere jalwon se
ankharion ka bayan jante hian
dharkano ki zoban jante hian
chorion ki chanak se waqif hian
chagalon ki dhanak se waqif hian
olji olji laten sanwar ke aa
dolhan ki tarha sharma ke aa
andaze beyan jante hian
tera har raaz jante hian
to nahi to raat soni hi
ishq ki kaaenat soni hi
kher howe tari zindagani ki
bhik de de hamin jawani ki
so jaan se fida hian ham
ik modat ke ashina hian ham
ajj kion hamse parda hi
---

Tere qareb aa kay bari uljhano main hon,
Main dushmanon main hon k tere doston main hon,
Badla na mere baad bhi mouzu-e-guftago,
Main ja chuka hon phir bhi teri mehfilon main hon,
Mujh se bichar k tu bhi to roeyga umer bhar,
Yeh soch lay k main bhi teri khuwahishon main hon,
Tu hans raha hai mujh pey mera haal daikh ker,
Or phir bhi main shareek tere qehqahon main ho0n.
.......

Tere Sapne Dekhta Hoon Tu Ye Meri Mohabat Hai,
Main Motti Rol Deta Hoon Tu Ye Meri Mohabat Hai,
Tumhari Yaad Ki Kirnon Ko Aksar Ankh Mai Rakh Kar,
Main Apni Neend Khota Hoon Tu Ye Meri Mohabat Hai,
Hoowa Aehsaase Kushboo Chandni Ko Dekh Kar,
Tere Dhokey Main Rehta Hoon Tu Ye Meri Mohabat Hai,
Falak Pe Chaand Taaron K Haseen Jhurmat K Manzar Mai,
Tere Chehrey Ko Taqtta Hoon Tu Ye Meri Mohabat Hai,
Main Apni Zindagi K Saarey Jazbon Ko Meri Jaan,
Tumhare Naam Karta Hoon Tu Ye Meri Mohabat Hai,
Kabhi Tu Dekh Lo Aa Kar Tum Rahey Mohabat Main,
K Main Khud Hi Khud Se Larrta Hoon Tu Ye Meri Mohabat He.
........

Tery ikhtyar main kya nahimujhe iss trha se nawaz de..
Meri yon Duaein qabool krmery lab par koi dua na ho . . .
..

Tha Mir jinko shair ka azaar mar gaye
Ghalib tumharay saray tarafdar mar gaye
Jazbon ki woh sadaqatein marhom ho gayi
Ahsas k naye naye izhaar mar gaye
Ahbaar ho rahi hy ghazal ki zuban ab
Paikar tarash shair k fankar mar gaye
Saaqi teri sharab bhara kaam kr gayi
Kuch raastay mein kuch pas-e-deewar mar gaye
Taqdees dil ki asiyaan nigaari kahan gayi
Shayad ghazal k sitaray gunahgaar mar gaye
Shairon mein ab Jihaad hy , Roza ,
Namaz hy Urdu ghazal k jitne thay kafaar mar gaye
Misriyon ko humne Naraa-e-Takbeer kr dia
Gheeton k pukhtadar gulukaar mar gaye
Asloob takht itna garajdaar ho gaya
Mehdi Hassan k hasshiya bardaar mar gaye
Naz-o-adaa se machliyan ab hn ghazal sirra
Tehmad pakar k shahab-e-dastaar mar gaye
Ya Rab talism hosh raha hy mushaira
Jinko nahi bhulaya woh gham khawar mar gaye..

...........

Tmhein shayad ye lgta he..
M0habbt khubsurat ha..
Tmhara ghar sanwary gi..
Tmhain yunhi naikharay gi..
Tmhain apna bana lay gi..
Tmhain shayd ye lgta ha..
Tmhein dukh se nikalay gi..
Tmhary dard smjhegi..
Tmhare gham sambhaly gi..
Mjhe maloom ha itna..
Mohabbat shab ki surat ha..
Ujalon ko ye kha lay gi..
Tmhe tm se chura le gi..
Tmhe pagal bna de gi..
Mohabbt maar deti ha..
Mohabbat maar dale gi.
.........

To jo us k shoq-e-deed mai awara phrta hai sahiL
nazar uthana bhi teri khatir us ko gawara nhn.

........

tra husn ho mra ishq ho,
to phir husn o ishq ki bat ho,
Kbi mae milon, kbi tu mily,
Kbi hm milen mulaqat ho,
Kbi tu ho chup,Kbi mae hon chup,
Kbi donon hm chup chap hon,
Kbi guftagu, kbi tazkray,
Koi zikr ho, koi baat ho,
Kbi wisal ho to din ko ho,
Kbi hijr ho to wo raat ho,
Kbi mae tra, kbi tu meri,
Kbi ik dujey k hum rahen,
Kbi sath mae, kbi sath tu,
Kbi ek dujey ka sath ho,
Kbi sohbatien, kbi ranjishen,
Kbi doriyan, kbi qurbatin phir bhi SAQI.,
hum dono sath hon.
.......

Tu hosh mein thä phir bhe hamain pehchaan na paaya ...
Ek hum hain ke pee k bhi terä Nääm lete hein...
......

Tu kisi shayer ka QaLam Nhi mere khyaLo ki Justuju hai
. Tujhe Na Sochon to khayaL kisi ka Aata Nahi mujhe..!..
........

Tu wafa kar wafa ka sila Jaanay >KHUDA Janay,>
Tum diya Jalatay raihna >hawa Jaanay KHUDA Jaanay,>
Khizaan ka khoaf maali ko Buzdil nahi kar sakta,>
Chaman aabad rakh Baad-e-Saba Jaanay KHUDA Jaanay,>
Mareez-e-Ishq dawa-e-Dil samjh dilbar ko,>>
Marz Jaanay dawa Jaanay >shifa Jaanay KHUDA Jaanay..

.........

Tujh ko Maloom hi Nhi Meri Tanhai Ka Dukh-
Meri Sochain Mere Khayalat Sirf Tum se hain-
To Sath hy to Muqadar pay Hakoomat Apni-
Mere Her Rishtay ki Soghaat Sirf Tum se hy-
Gar Kbi Bikhar Jaon to Samaitna Mujh ko-
Hy Mukammal Jo Meri Zaat Sirf Tum se he.
......

Feb 12, 2010

Poems Of The Month

Saaqi aa ek nazar jaam se pehlay pehlay
Hum ko jana hai kahin shaam se pehlay pehlay
Khush ho ay dil, k mohabbat to nibha di tu ne,
Log ujar jatay hain anjaam se pehlay pehlay.
Ab teray zikar pe hum baat badal detay hain,
Kitni rughbat thi teray naam se pehlay pehlay.
Saamnay umar pari hai shab-e-tanhaai ki,
Wo mjhay chor gya sham se pehlay pehlay.
Kitna acha tha k hum bhi jiya kartay thay FARAZ,
Ghair-maaroof se, gumnaam se pehlay pehlay.
.......

Sab Khuloos Baaton Main Sab Karam Kehyalon Main
Bas Zara Wafa Kam Hai Teray Shehar Waloon Main
Pehli Baar Nazron Nay Chaand Boltay Dekha
Hum Jawab Kiya Detay Kho Gayeh Sawaloon Main
Raat Teri Yaadon Nay Dil Ko Is Tarhan Chera
Jesay Koi Chutki Lay Narm Narm Galoon Main
Yun Kise Ki Aankhon Main Subha Tak Thay Hum
Jis Tarhan Rayeh Shabnam Phool K Peyaloon Main
Meri Aankh K Taaray Ab Na Dekh Pao Gay
Hum Raat K Musafir Thay Kho Gayeh Ujaloon Main.
.......

Sar jhukaao ge to patthar devataa ho jaaye gaa,
Itnaa mat chaaho usay wo be-wafa ho jaye gaa,
Ham bhi dariyaa hain hamein apna hunar maaloom hai,
Jis taraf bhi chal paren ge rasta ho jaye gaa,
Kitni sachai se muj se zindagi ne keh diya,
Tuu nahi mera to koi dosra ho jaye ga,
Main khuda ka naam le kar pi raha doston,
Zehar bhi is main agar hoga to davaa ho jaye gaa,
Rooth jaanaa to mohabbat ki alaamat hai magar,
Kya khabar thi muj se wo itna khafa ho jaye gaa..
.........

Shram.O.Haya ka ye andaz bi kamal he mere sanam ka....
Usko tasveer mein bi daikhon to palkeyn jhuka leta he..
........

Shesha-E-Ishq Se Tarash Mujhay...
Aur Phir Kar Dey Pash Pash Mujhay...
Ja Raha Hon Mein Roshni Ki Taraf...
Apne Saye Ki Hai Talash Mujhay...
Ab Ke Zakhmi Nahi Hua Liken...
Dil Pe Aai Hai Ik Kharash Mujhay...
Kho Diya Khud Ko Justaju Mein Teri...
Tu Ne Karna Hai Ab Talash Mujhay.
......

Sham k saanwly chehray ko nikhaara jaye,
Kyun na sagar se koi chaand ubhaara jaye..
Raas aya nahi taskeen ka sahil koi,
Phir mujhe Pyaas k darya mein utaara jaye..
Mehrban teri nazar, Teri adaayen Qatil,
Tujhe kis naam se ay dost Pukaara jaye..
Mujh ko dar hai tere waady Pe bharosa kr k,
Kahein asa ho Ye Dil_e_khush Fehm na maara jaye..
Jis k dam semere din raat darakhshan thy QATEEL,
Kesy ab us k bina Waqt Guzara jaye..?
.......

Sir Jhukany Ki Aadat Nhi Hai
Aanso Bahany Ki Aadat Nhi Hai
Hum Kho Gaay To Pachtao Gay Bohat
Hamari Laot Kar Aany Ki Aadat Nhi Hai
Tery Dar Par Muhabat K Sawali Ban Jaty
Lekin Haath Phailany Ki Aadat Nhi Hai
Teri Yadain Aziz Hein Bohat
Mgar Ab Waqt Ganwany Ki Aadat Nhi Hai
Tum Sakht Dil NiklyKya Gila Karen Hum
Shikwa.e.Dil Lab Pr Lany Ki Aadat Nai Hai
Bad Dua Bhi Kiya Karein Huq Mein Tumhary "JääN"
Hamein To Dil Bhi Dukhany Ki Aadat nhi Hai.
.......

Su-e-maikada na jatay to kuch or baat hoti
Woh nigaah se pilaatay to kuch or baat hoti
Jo hawa-e-gulistan ne meray dil ki £aaj rakh li
Woh naqaab khud uthatay to kuch or baat hoti
Yeh baja kali ne khul kr kiya gulistan moater
Magar aap muskuratay to kuch or baat hoti
Jo haraam k raste se woh pohanch gaye
khuda tak Teri raah guzar se jatay to kuch or baat hoti
Yeh khulay khulay se gaisuu inhe laakh tu sanwaray
Meray haath se sanwartay to kuch or baat hoti...

Feb 9, 2010

Poems OF the Month

Hai wohi aasmaan, zameen wohi
Maah-o-anjum ussi tarah raushan
Kehkashaan ab bhi muskuraati hai
Phool kaleyaan mehak rahi hain yunhi
Baad muddat ke saaray pardesi
Apne apne gharoon ko aaye hain
Har taraf rang-o-bou ka mela hai
Aur tanha mein apne kamre mein
Kab se beta hoon aur soch raha hoon
Jaanay kya baat hai ke ghar mein mere
Jo guzashta barass thee raunaq
Ab woh kaheen bhi nazar nahee aati
Hai fiza mein ek ajeeb sa san'naatta
Haan faqat ek tere chale jaanay se
Aisa mehsoos horaha hai mujhe
Rutt khushi ki har taraf tu aee hai
Sirf chote se mere aangan mein
Eid ab ke baras nahee aee...
..........

kaho, kab phool khiltay hein?
kaha, jab muskurata hay...!!!


dharakta dil hey kab bolo
kaha, jab paas aata hey...!!!

kaho, dill mein hey kya us k?
kaha, wo kab bataata hey...!!!


sunno berham sa hey shayed?
kaha, younhi banata hey...!!!

kaha, kuch to hoa hoga?
kaha, wo aazmata hey...!!!



suno, wo jab sataata hey
kaha, dill doob jaata hey...!!!

kaha, dil doobta hey kab?
bataya, jab sataata hey ...!!!


buri shey hay ishq kiunker?
kaha, shab bhar jagaata hey...!!!

kaho, wo bazm keisi thi?
kaha, wo kab bulaata hey ...!!!

kaho, us sey bicherney ki?
bicherna kis ko bhaata hey? ...!!!

kaho, milnay ki khawahish hey?
kaha, bayderd naata hey ...!!!

batao, raakh mein hey kya?
sitara jhilmilata hey ...!!!

larz jati hein kab palkein?
nazar wo jab jamaata hey ...!!!

theher jaati hey dharkan kab?
nazar sey jab giraata hey .....!!!
.........

Tumhari Muskarahat
Tumhari muskarahat to aik shaam hay
shaam unn pareendon ki
jo parron main laptii thakan ko orhey
nagar ko aye!!
tumhari muskarahat to aik rabt hay
jo tootey patto ki ahaton kaa
shajar ki manoos tehnion say
jo band kitaab ki bandishon main qaid
soohkhey phoolon kaa khushboan say
magar
sach to yah hay kay!
Tumhari Muskarahat...
Tumhari Muskarahat to sirf tum ho!
.........

Kuch bhee naheen

Socha naheen accha bura
Dekha suna kuch bhee naheen
Manga khuda say hur waqt...
Teray siwa..... Kuch bhee naheen!

Dekha tujhey chaha tujhey
Socha tujhey pooja tujhey
Meri wafa meri khata....
Teri khata kuch bhee naheen!

Jis par hamari aankh nay
Moti bichayey raat bhar
Bhaija wahee kaghaz usay
Ham nay likha...... Kuch bhee naheen!

Aur aik shaam kee dehleez per
Baithay rahay woh dair tak
Aankhon say kee batain bohat
Munh say kaha.....kuch bhee naheen!

Do chaar din kee baat hay
Dil khak mein mil jaeyey ga
Aag per jab kaghaz rakha
Baqee bacha ..... Kuch bhee naheen

......

IK TERA EHSAS HAI..!


Ek Tera Ehsas Hai

Jo Her Waqat Meray Saath Hai

Ik Teri Yaad Hai

Jo Din Raat Mujhey Terpaati Hai

Ik Umeed Hai Teray Aany Ki

Apna Tujhey Banany Ki

Na Chain Hai Na Sakoon Hai

Yeh Kesa Mera Hall Hai

Raaten Ho Gai Hain Itni Lambi

Jo Kaatey Nahin Kattin

Na Bhook Hai Na Piyas Hai

Na Koi Aas Hai Na Koi Paas Hai

Bas Ik Tera Ehsas Hai

Jo Her Waqat Meray Saath Hai...!!!
.........

ye chaandnee khilee khilee
chamak tumharay rung ki
ye sardion ki dhoop si
tapish tumharay roop ki
phir in pay yaasiyat ka rung!
humain tu kuch jachaa nahin
labon pay muskurahatain
sajao khush raha karo
udaas mut hoa karo

tamaam roz'gaar ki
alam taraaz sa'atain
hansee ki oat main basee
kaee hazaar nafratein
hur aik rukh ki oat main
chupee hoee munaafqat
tamaam munzaron ka dukh
bohat rula'ay hai magar
ye log tu isee tarha
sitam kiya karain sanam!
tum in ki baat baat per
dhiyaan mut diya karo
udaas mut hoa karo

tumhain udaas deikh ker
kisee kay rung kho gaie
kahin pay chaand bujh gaya
kahin sitaray so gaie
kahin pay baarishon ki rut
ghazab ki piyaas bun gaii
koee bahaar rooth ker
sarapa yaas bun gaii
kisee kay mausamo'n ko yon
azaab mut kiya karo
udaas mut hoa karo....."
..........

sham kay ujaloon par
upnay narm hathoon say
koi baat achi see
koi khoab sacha sa
koi bolti khushboo
jab bhi likhna chahoon ga
soch kay darichon say
yad kay hawalooon say
mera namm chup chup kar
tum ko yad aaye ga
hath kanp jaain gay
sham thahar jaye gee
mera nam chup chup karr
tum ko yad aaye ga
sham thahar jaye ge
sham thahar jaye ge
.........

aaj jaane kii zid na karo


aaj jaane kii zid na karo
yuu.N hii pahaluu me.n baiThe raho
haaye! mar jaaye.ge, ham to luT jaaye.ge
aisii baate.n kiyaa na karo

tum hii socho zaraa kyuu.N na roke tumhe.n
jaan jaatii hai jab uThake jaate ho tum
tum ko apanii kasam jaan-e-jaa.N
baat itanii merii maan lo

waqt kii qaid me.n zindagii hai magar
cha.nd gha.Diyaa.N yahii hai.n jo aazaad hai
in ko kho kar abhii jaan-e-jaa.N
umr bhar na taraste raho

kitanaa maasuum-o-rangiin hai ye samaa
husn aur ishq kii aaj meraaj hai
kal ki kisako Khabar jaane-jaa.N
rok lo aaj kii raat ko

gesuuo.n kii shikan hai abhii shabanamii
aur palako.n ke saaye bhii madahosh hai.n
husn-e-masuum ko jaane-jaa.N
beKhudii me.n na rusvaa karo
.........

aaKhirii mulaaqaat


aao ki jashn-e-marg-e-muhabbat manaaye.N ham

aatii nahii.n kahii.n se dil-e-zindaa kii sadaa
suune pa.De hai.n kuuchaa-o-baazaar ishq ke
hai shama-e-anjuman kaa nayaa husn-e-jaa.N gudaaz
shaayad nahii.n rahe vo patango.n ke val_vale
taazaa na rakh sakegii rivaayaat-e-dasht-o-dar
vo fitnaasar gaye jinhe.n kaa.NTe.n aziiz the

ab kuchh nahii.n to niind se aa.Nkhe.n jalaaye.N ham
aao ki jashn-e-marg-e-muhabbat manaaye.N ham

sochaa na thaa ki aayegaa ye din bhii phir kabhii
ik baar ham mile hai.n zaraa muskuraa to le.n
kyaa jaane ab na ulfat-e-deriinaa yaad aaye
is husn-e-iKhtiyaar pe aa.Nkhe.n jhukaa to le.n
barasaa labo.n se phuul terii umr ho daraaz
sanbhale hue to hai.n. par zaraa Dagamagaa to le.n

...........
Related Posts with Thumbnails