ab hai Khushii Khushii me.n na Gam hai malaal me.n
ab hai Khushii Khushii me.n na Gam hai malaal me.n
duniyaa se kho gayaa huu.N tumhaare Khayaal me.n
mujh ko na apanaa hosh na duniyaa kaa hosh hai
mast hoke baiThaa huu.N tumhaare Khayaal me.n
taaro.n se puuchh lo merii rudaad-e-zindagii
raato.n ko jaagataa huu.N tumhaare Khayaal me.n
[rudaad = story]
duniyaa ko ilm kyaa hai zamaane ko kyaa Khabar
duniyaa bhulaa chukaa huu.N tumhaare Khayaal me.n
[ilm = knowledge]
duniyaa kha.Dii hai muntazir-e-naGmaa-e-alam
'Behzad' chup kha.De hai.n kisii ke Khayaal me.n
[muntazir = waiting]
..............
tum naGmaa-e-maah ho anjum ho tum soz-e-tamannaa kyaa jaano
tum naGmaa-e-maah ho anjum ho tum soz-e-tamannaa kyaa jaano
tum dard-e-muhabbat kyaa samajho tum dil kaa ta.Dapanaa kyaa jaano
[maah = moon; anjum = star; soz = burning/heat]
sau baar agar tum ruuTh gaye ham tum ko manaa hii lete the
ik baar agar ham ruuTh gaye tum ham ko manaanaa kyaa jaano
taKhriib-e-muhabbat aasaa.N hai taamiir-e-muhabbat mushkil hai
tum aag lagaanaa siikh gaye tum aag bujhaanaa kyaa jaano
[taKhriib = destruction ; taamiir = construction]
tum duur kha.De dekhaa hii kiye aur Duubane vaalaa Duub gayaa
saahil ko tum manzil samajhe tum lazzat-e-dariyaa kyaa jaano
[saahil = shore; lazzat = pleasure/enjoyment]
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment