biich me.n pardaa du_ii kaa thaa jo haayal uTh gayaa
biich me.n pardaa du_ii kaa thaa jo haayal uTh gayaa
aisaa kuchh dekhaa ke duniyaa se meraa dil uTh gayaa
shamaa ne ro ro ke kaaTii raat suulii par tamaam
shab ko jo mahafil se terii ai zeb-e-mahafil uTh gayaa
merii aa.Nkho.n me.n samaayaa us kaa aisaa nuur-e-haq
shauq-e-nazzaaraa ai badr-e-kaamil uTh gayaa
ai Zafar kyaa puuchhataa hai begunaah-o-bar-gunah
uTh gayaa ab jidhar ko vaaste qaatil uTh gayaa ..
...............
dil kii merii beqaraarii mujh se kuchh puuchho nahii.n
dil kii merii beqaraarii mujh se kuchh puuchho nahii.n
shab kii merii aah-o-zaarii mujh se kuchh puuchho nahii.n
baar-e-Gam se mujh pe roz-e-hijr me.n ik ik gha.Dii
kyaa kahuu.N hai kaisii bhaarii mujh se kuchh puuchho nahii.n
merii suurat hii se bas maaluum kar lo ham-damo
tum haqiiqat merii saarii mujh se kuchh puuchho nahii.n
shaam se taa-subah jo bistar pe tum bin raat ko
mai.n ne kii aKhtar-shumaarii mujh se kuchh puuchho nahii.n
ai "Zafar" jo haal hai meraa karuu.Ngaa gar bayaa.N
hogii un kii sharm-saarii mujh se kuchh puuchho nahii.n
No comments:
Post a Comment