RSS

Feb 17, 2010

ghazals3

Rooh Par Naqsh-e-LazawaaLhai TU,
Ab KhayaLon May Ik KhayaL Hai TU^
^Tere Jesa Koi Nhi Dekha,Tu Hai AnmoL,
BemisaaL Hai TU^
^Mujhko PagaL Bana Diya TU Ne,
Ishq Ka Kesa Ye KamaaL Hai TU^
^TU Muhabbat Hai,Aarzu Hai Meri,
Meri Is Zindagi Ki DhaaL Hai TU^
^Sari Dunya Ko Jeet Loon Jis Se,
Paas Mere Ek Aisi ChaaL Hai TU^
^Tere Dam Se HiPyar Zinda Hai,
Yaad-e-Maazi,TaLash-e-HaaL Hai TU.

............

Sar-e Mizgaañ Chamaktey Aansuoñ Ki Jagmagahat Se
Pas-e Girya Meri Jalti Aankhon Ki Hiddat Se
Sawaal-e Wasal Se Mehroom Hontoñ Per
Dua-e Shab Ki Hurmat Se
Ussey B Aashna Kar De Mohabat Mojiza Kar De....
Azaab-e Tishnagi Sehti Hoi Saansoñ Ki Wehshat Se
Mere Jazbon Ki Shiddat SeMere Harf-e Mohabat Se
Meri Tanha Musaafat SeUssey B Aashna Kar De
Mohabat Mojiza Ker De...
Mere Sehn-e Hunar Main Roshni Krtey Khyaaloñ Ki Tilaawat Se
Mere Sher-o Sukhan Main Harf-o Maani Ki Hikaayat Se
Ussey B Aashna Kr DeMohabat Mojiza Kr De...
Faseel-e Dil Pe Likhi Dard Ki Pinhaañ Abaarat Se
Mohabat Ko Badan Ki Aakhri Saansoñ Ki Hadd Tak Nibha Deney Ki Aadat Se
Usey B Aashna Kr DeMOHABAT MOJIZA KER DE...

./...........


Sirf eik shakhs ki khatir mujhe barbad na kar........
Roz roty howe kehti hai zindagi mujh say...!
.........

T0rr Gya W0 Hum Sy Her Ta'aluq Faqt Itna Keh K ..
Ujjray Howe L0g0'n Me Hum Basa Nahi Kerte..
.......

Tanha mosum hai or udas raat hai
Wo mil k bichar gaya ye kaisi mulaqat hai
Dil dharak tu raha hai lekin awaz Nahi
Wo dharkan bhi le gaya kitni ajeb bat hai.
..........

Tanha Tanha lgta hai,Aadi Raat ka pora Chand,
Dil say Batein karta hai,Aadi Raat ka Pora Chand,
Us K Piyar main Khoy hmUs ki Khatir Roy hm,
Dekh kar Aksar Hansta hai,Aadi Raat ka Pora Chand,
Ek Din thi Tnhai boht,Yaad Uski ai boht,
Bilkul Us sa lgta thaAadi Rat ka Pora Chand.
...........

Muhabbat kar to lein lekin Wafa hai shart chahat ki

Mere Dil Ki Rait Kured Mat Ise Muskura Kar Hawa Na De,
Ye Chiraagh Phir Bhi Chiraagh Hai Kaheen Hath Tera Jala Na De,
Naye Daur K Naye Khuwaab Hein Naye Mausamon K Ye Gulaab Hein,
Ye Muhabbaton K Chiraagh Hein Inhein Nafraton Ki Hawa Na De,
Zara Dekh Chaand Ki Pattiyon Ne Bakher Bakher K Tamaam Shab,
Tera Naam Likha Hai Rait Pe Koi Lehar Aa Kar Mita Na De,
Main Udaasiyan Na Saja Sakoon Kabhi Jism_o_Jaan K Mazaar Per,
Na Diye Jalein Meri Aankh Mein Mujhe Itni Sakht Saza Na De,
Barri Dhoop Sar Pe Utre Gi Barra Raasta Hai Aag Ka,
Tera Naak Naqsha Hai Maum Ka Kaheen Gham Ki Aag Jala Na De,
Main Ghazal Ki Shabnami Aankh Se Dukhon K Phool Chuna Karoon,
Meri Saltanat Mera Fann Rahe Mujhe Taaj_o_Takht KHUDA Na De.
.........

Muhabbat kar to lein lekin Wafa hai shart chahat ki
Zara mujhe bata janaK is dor-e-khudgrzi main
Wafa ab kon karta haiWafa kanto ka rasta hai
To kanto py chaly konWafa hai khail aatish ka
To aatish main jaly konWafa hai maut ka soda
Yahan baichy sansein konWafa hai rat-jaga musam
Yahan jagy ga ratein konWafa khud ko mitana hai
Yahan khud ko mitaye konWafa sab kuch lutana hai
Yahan khud ko lutaye kon. . .
..........

Mujhy Qurbton ki saza na dy,
Meri chahton ka gila na kar,
Meri hasraton py na muskura,
Meri zindagi tere naam ha,
Meri Be'basi py na Khil'khila,
Mera pyar tha tere wastay,
Mera pyar hy tere wastay,
Maine pyar kar k Bora kiya,
Mujhay kiya pata main ne kya kiya,
Meri jan main ne kaha tujhy,
Mere haal par mujhay choor dy,
Mera juram hai tu bata mujhay,
Koi zakham hai tu dekha mujhay,
Meri jan Aisey khafa na ho,
Main ne kab kaha mujhe pyar dy.

Mix sms

Kyun Ujar Jati Hai DiL Ki Mehfil?
Ye Dia Kon Bhuja Deta Hai?
Ab Tasalli Bhi Aziyat Deti Hai Mujhe,
Ab Dilasa Bhi Rula Deta He.
.......

Laakh pakeza sahi kisi mukhlis ka pyar
Waqt k hath kuch zakham lga dete hain
Hum to ibn-e-adam hain hamara zikr he kya
Log to YOUSF pe be ilzam lga date hain./..

.........

Löki Püchdéy dost dä Pyär keevén Päyi dä?
"Dil"Häth té Dhar k dost Nääl läg Jäyi dä,
"Zäkhmään"nü Chüpä k dost nü Häsäyi däGhält hövéy
"dost" te Pyär nääl Sämjhäi dä,
Rüs Jävé dost te "Jind-Jän" nääl Mänäi dä,
Enä Pyär "dost" nääl Päyi dä k jé Räbb Bülävé dost nü tä//.

........

Me jb bi yad krta h0n tjhe ey jan kamre me
udhasi raqs krti he mre viran kamre me
Akela to nhi h0n me teri tasver roshan he
meri ujrri h0wi duniya mre sunsaan kamre me
Mjhe mehsos hota he mera dil toota he y0n
ke jese toot k bikhre koi guldaan kamre me
Mere MarneMere jalneMere mitne
yehi hote hein aa kar daikh le elaan kamre me
Thakay hare badan pr jb udhasi oorh leta h0n
koi mjhko bulata he kisi anjan kamre me
Meri nazmain meri ghazalain tmhare naam se hein jana
mjo chaaho dehk lo aakr mere dewaan kamre me
Mohabbat khoon ban kr gardish he rag rag me
Nhi tuta abhi tk bi tera"wasim" kamre me..

..........

Feb 16, 2010

ghazals

Kabhi Yaad Aao to is Tarah,
Kabhi Gungunao to is Tarah,
Mera Dard Phir se Ghazal Bane,
Kabi Dil Dukhao to is Tarah,
Meri Dharknen b Larz uthen,
Kabi Bhool Jao to is Tarah,
Na Sisak Saken na Bilak Saken,
Kabi Chor Jao to is Tarah,
Na Ujar Saken na Sanwr Saken,
"kAbHi YaAd aAo tO iS tAraH"
........

Kabi Andhere Kabi Ujaale
Mohabton k Safar nirale
Ajab sahara bana hy wo b
Kabi gira de Kabi Utha le
Wohi Samandar wohi kinara
Kabi Dabo de Kabi Bacha le!
Me Apne zakhmon ko c to longa
Wo Apna khanjar to Aazma le
Me lamha lamha pighal raha ho
Usey kaho ab nazar hata le..!
.........

Kahen tum apni qismat ka likha tabdeel kr lety,
To shaayad hum bhi apna rasta tabdeel kr lety,
Agr hum waaqaie kam hosla hoty mohabat mein,
Marz barhny se pehly dawa tabdeel kr lety,
Tumhari tarha jeeny ka hunar aata to phir shaayad,
Makaan apna wohi rakhty, Lekin pata tabdeel kr lety.....!
..........

Khauf_e_Dunya se MERE PAASNA Aane Waale
Jaan Rkhte Hain Hatheli Pe Nibhane Waale
Meri Ruswai Mein Ghairon Ka Koi Dosh Nhi
Is Mein Shamil Hain Mere Apne Chahne Waale
Kitna Naadaan Hoon Is Aas Pe Zinda Hoon
Laut Aaein Ge Mujhe Chhor k Jaane Waale
Ab Kahon Tujh ko Main "IbrAhim"
To Bhla Kaise KahonKar k Ehsaan Sar_e_Aam Jataane Waale
Ab To Rsta Hay Na Manzil Hay Na Shanaasa Koi ?
Shukriya ! Shukriya !Is Mor Par Laane Waale !!
.......

Khuda insaan k saath hay or log ussay aasman pe talash kartay hain
Jannat maa k qadmon taley hay or log ussay doosri nekyon main talaash kartay hain
Itminaan-e-Qalb zikar main hay or log issay fikr main talash kartay hain
Sehat rohanyat k irteqa main hay or log issay dawaon main dhoondtay hain
Naymat Khuda k shukr main hay or log issay hirs main talash kartay hain
Rizq sakhawat main hay or log issay mehnat main talash kartay hain.
.........

Kisi Ke Sath Guzrey Pal Barey Rangeen Hotey Hen
Mohabat k ye Roz-o-shab barey haseen hotey hain
ishq karna ha to pehley bikharney ka hunar sikho
Ishq main haadsey Aksar barey sangeen hotey hain..
Kabhi fursat main Aa k dekh is viraan sey ghar main..
Kisi ki yaad main hum b bary ghamgeen hoty hain.
.........

Kutthan safar hai Mohabton ka,
kharab raste hain soch lena
Wo chorr jaate hain ik qadam par,
jo saath chalte hain soch lena
Jo nibah tum se na ho saky to,
na sang rehne ki baat krna
K ishq walon ki rah guzar mein,
CHANNAB aaty hain soch lena:
.......

cute.wasi@live.com and @yahoo.com

ghazals

Is imtehan mai hun,
dil ka hisab kis ko doon,,?
Hisab-e-ishq pe likhi kitab kis ko dun,,?
Har 1 shakhs ko mujh se bohat mohabbat hay,
Sawal ye hay wafa ka jawab kis ko dun,,?
Mera khaloos, mohabbat, wafa, hay sab k liye,
Sochta hun k lubb-e-lubab kis ko dun,,?
Mere liye to sabhi log 1 jaisey hain,
Sakoon kis ko dun mai iztirab kis ko dun,,?
Hujoom-e-husn k melay mai sochta hun main,
K apney haath mai thama gulab kis ko dun,,??
.........

Is kadar Qeemti to na tha mera Chain-o-Sukoon ,
Loot kar lay gaye kisi Anmol Khazanay ki tarha...
.........

Jise ehsas kehte hain,
Wohi to pyar hota hai,
Tumhara dil jo dukhta hai,
Hamein bi dard hota hai,
Tumhari aankh ka aanso,
humein bechain rakhta hai,
Hamare dard k dermyan,
Tumhara lams hota hai,
Tumiain milti hain jab khushiyan,
Hamare lab bi hanste hain,
Tumhain derpesh ho masla,
Dua k hath uthatey hain,
Khuda ko yaad karte hain,
Yehi fariyad karte hain,
Tumhain abaad wo rakhe,
Hamesha shad wo rakhe,
Hamara sath wo rakhe.
..........

Jo Chla Gya Mujhe Chor K...
Main Kabhi Na UsKo Bhula Saka...
Wohi Dorian Wohi Fasle...
Main Kabhi Na InKo Mita Ska...
Kya Usey B Mujh Se Pyar Tha...
Ya Tabassum Us ka shaur ta...
Wo koi ajib sawal ta..
Jo meri samaj main na aa saka...
Meri zindagi ka sakun ta wo...
Mery dil ka ek junon ta...
Meri bandagi mera piyar ta...
Ye bat main na bata saka...
Ye sochta ta main raat bhar...
Jo kbi milyga rah per...
To karunga us se shikayatain...
Wo mila to lab na hila saka.....

Mere Chand MERI Ik Baat Suno

Mere cHand....
meri 1 Bat SuNo¤
Mera tm bin....
Di£ Veran SuNo¤
Hr SubHa....
ki RONAK tm Se Hai¤
Mri RaaT k....
RosHan cHand SuNo¤
¤Tera sb....
Se hr AnDaz a£ug¤
TeRe HanSne....
Se Ho SHam DHaNak¤
TeRe Binhr Subha...
"SHam" SuNo¤
MeRe cHand....
mri ek Bat SuNo¤
¤Ek Vada kr....
£o TuM Muj se¤
TuM aB Na....
Röötho Ge Muj se¤
Ruk jae Na....
Meri SaanS SuNo¤
MERE CHAND MERI Ik BAAT SUNO....
MERE CHAAND MERI IK BAAT SUNO....

Khirki' Chand' kitab aur main,

Khirki' Chand' kitab aur main,
Mudat se ik baab aur main,
Shab bhar khailain apas main,
Do ankhain ik khawab aur main,
Mauj aur kashti sahil per,
Daria mai gardab aur main,
Sham,
udaasi ,
khamoshi,
Kuch kanker talaab aur main,
Har shab pakrey jatey hain,
Gehri neend,kitab aur main...

English sms and Quotes

I was a smoker!!
Once i read"smoking is injurious to health"
I quit smoking.
I used to Drink wine I read
"wine is bad for health"
I left drinking
I LOVE someone
Once i read "LOVE is an illusion
"you know what i did?
I left "reading"!
(william shakespear)
..........

Interesting confusions:
1. Can u cry under water?
2. Do fish ever get thirsty?
3. Why don't birds fall out of trees when they sleep?
4. What do you call a male lady bird?
5. Why its called building when it's already built?
6. When they say dog food is new and improved in taste, who tastes it?
.........

Never expect things to happen.
Struggle and make them happen.
Never expect yourself to be given a good value.
Create a value of your own.
........

Nöw SUN is HAPPY and
MOØÑ is upset
Bcoz
MØØN is missing u and
SUN is with u.
Have a great and lovely day..-=
........

Golden Words

Golden Words
1. Zalim K Zulam se nahi ßalky Saabir K Sabar se daro,
2. Zaruri nahi jo Khubsurt ho wo Khubsirat ß ho,
3. Aitbar ki ßarish main itna mat ßhigo K Jisam nazar Aany lagay,
4. Kisi ko Haqeer mat samjho Q K rasty ka Mamuli Pathar ß Munh K ßal Gira sakta hai,
5. Jis ko apna Khiyal nahi wo kisi ka Khiyal nahi rakh sakta,
6. kisi ko Parkho mat Q K is se rishta Kamzor ho jata hai...

Mix sms

Lehron sy mil kar na tu beh saka na Me,
Ek duje k dil me na tu reh saka na Me,
Maar lety teri Gaand ek din lekin,
Jaga ka intizam na tu kr saka na Me.
.........

Main kaisay shikwa karon wo nadan hai bohut,
udas kar k mujhe khud bhi paraishan hai bohut,
kehny ko wo mery kareeb hai bohat lekin,
faslay ab tak humaray darmiyan hain bohat,
wo naye zakhmo k nishan na dekh payeigy,
dil pay pichlay zakhmo k nishan hain bohat,
beach bhanwar say bhi nikal kar kia mila,
khamosh sahilo par tufan hain bohat,
main naa bhi chahoon to chali aati hai,
teri yadain mujh par meharban hain bohat....
.........

Main kaisay shikwa karon wo nadan hai bohut,
udas kar k mujhe khud bhi paraishan hai bohut,
kehny ko wo mery kareeb hai bohat lekin,
faslay ab tak humaray darmiyan hain bohat,
wo naye zakhmo k nishan na dekh payeigy,
dil pay pichlay zakhmo k nishan hain bohat,
beach bhanwar say bhi nikal kar kia mila,
khamosh sahilo par tufan hain bohat,
main naa bhi chahoon to chali aati hai,
teri yadain mujh par meharban hain bohat....
.......

Main pa na saka aj tak is khalish sy chutkara...!
Wo mujy jeet b sakta tha na jany Q hara?
........

Humain to kab se pata tha k tu bewafa hai, "FARAZ"
Tujhe chaha is liye k shayed teri fitrat badal jaye...
..........

Mehfilen lut gayeen,jazbat ne dum torh dia.
Saaz e khamosh hain naghmat ne dum torh dia.
Aj phir bujh gae jal jal k umeedon k charagh.
Aj phir taron bhari rat ne dum torh dia.
Jin se afsana e hasti me tasalsul tha kabhi.
Un mhbt ki riwayat ne dum torh dia.
Jhilmilate hue ashkon ki larhi toot gai.
Jagmgati hui barsat ne dum torh dia.
Haey adab e mhbt k taqaze " saghar ".
Lub hile or shikayat ne dum torh dia.
.......

Mere jeevan ke sbhi purnoor ujalon ki Qasam . . . . ...
Meri subha Teri chahat ke chiraghon se jala karti he.
.......

Feb 15, 2010

ghazals

Kitni Badal Chuki Hy Rut Jazby B Wo Nai Rahe,
Dil Pe Tere Firaq K Sadme B Nai Rahy,
Mehfil Shab Mein Guftgu ab K Hui To ye Khula,
Baten B Wo Nai Rahen Lehje B Wo Nai Rahy,
Huliye Badal K Rakh Diye Jesy Shb'e'firaq Ne,
Ankhen B Wo Nai Rahen Chehre B Wo Nai Rahy,
Es Ka Maye Jamal B Goya Gharub Ho Chala,
Apne Wafood'e' shoq K Chrche B wo Nai Rahy,
Ye B Hua K Tera Baad Shoq'e'sfar Nai Raha,
Jin Pe Biche Huy The Dil Rasty B Wo Nai Rahy.
.........

Kuch iski khabar bhi hai tujhko
Wo sooz-e- jahanum kya hoga
Jis aag ka indhan insan hai
Us aag ka aalam kya hoga
Yeh Jism gawahi khud dega
Har hisa badan ka boley ga
Kamosh zuban ho jayegi
Us waqt ka aalam kya hoga
Kuch iski khabar bhi hai tujhko
Wo sooz-e- jahanum kya hoga.
........

Kuch unki adaon ka talabgar bohat tha,
Kuch apni anaon se mujhe pyar bohat tha.
Socha tha k paa lunga use ek na ek din,
Pehli si mohabat pe aitbar bohat tha.
Manzil kese naseeb ho tere diyar ki,
Rasta jo tere ghar ka purisraar bohat tha.
Us ne kuch is andaz men izhar kiya tha,
Iqrar kam, iqrar men inkar bohat tha.
Kashi ko faqat pyar men ruswaiyan mileen,
Shayad k mohabat ka gunhegar bohat tha.....
........

Kya likhu..?
K ab to thak chuka hun likh likh kr..
Dard jo b sahay hain wo likhu..?
Ya Dard dene wale ka hosla likhun..?
Ya apni bebasi ka falsafa likhun.?
Ya us k door honay tak ka faasla likhun..?
Aakhir kya likhun..?
Ab to dard itna honay laga hai Malik....
k dil phata jata hai..
Kion hota hai dard mujhe?
kya wo haadsa likhun..?
Ya kuch na likhun aur tor dun Qalam..?
Ya ye likhun k ab mujhe marne ka shoq hai..?
Leki maroon b to kis k liye..?
Kon hai jo mujhe kaandha dega..?
Kon hai jo mujhe yaad krega..?
Wo?? Jo jeete jee baat nahi krte..?
Wo.? Jo bhule se b yaad nahi krte..?
Wo kya roienge meri miyyat par..?
Jo mere zinda hone ka ehsas tak nahi krte..?
Ab aur kya likhun k ab to Qalam b 7 nahi dega..!
Chalo aisa krta hun k ab kuch nahi likhta..
Qalam ko tor deta hun..!Me likhna chor deta hun..!
Wo kya choray ga mujheMalik....?
Me khud uski dunia chor deta hun.
...........

ghazals

Khud ba_khud chor gay hen tu chalo thek hua,
Itne ehbab kahan hmse sanbhale jate,
Hm bi Ghalib ki trha kocha-e-jana se Faraz,
Na nikalte tu ksi roz nikale jate..
.......

Khuwab bhi shayad kaanch se kamzor hote hain,,..
Har roz bikhar jaate hain faqat ek aankh ke khulne se.
......

Kis qadar ajeran hy yeh silsila-e-ishq bhi faraz.
Muhabbat to qayem rehti hay magar insaan badal jata hay...
///.......

Kisi ki aas bun kar phir usay tanha nahin kartay
Bhala kuch bhi parey karna magar aisa nahin kartay
Mohabbat me shikayat ka kahan dastoor hota hay
Gila kar kay mohabbat ko kabhi rusva nahin kartay
Wafaen to haqiqat me bari anmol hoti hain
Kabhi apni wafaon ka sila manga nahin kartay.?

Feb 13, 2010

Poems Of The Month

Suno!
Jab dil ke aangan me,
Khizayain muntzir pao,
Suno!
Jab behti aankh0n se,
kisi ko dhondhna chaho,
Suno!
Jab dhair logon mei,
kisi ko pas na pao,
Suno!
Jab yad hum ayain,
humain aap bholna chaho,
To bas ek baar apney dil pe,
apna hath rakh lena,
Faqat awaaz de dena,
Faqat ehsaas kar lena,
Suno!
Hum loat aaein gay
tumhain apna banaein gey...
,,,,,,..,,,,,

Taqseem e Muhabat Me B Kuch Ghum Hi Milay
Phir B Shikayat Hy K Silay Kum Hi Milay
Ae Zindagi Ik Bat Bata Zara Hum Ko
Kya Dil Dukhany K Lye Tuje Hum Hi Milay?
.........

Tarap rahi hai har Ek tamanna,
Na Us se milte,Na aisa hota.
Bujhi bujhi si hai dil ki duniya,
Na Us se milteNa aisa hota.
Hum aisi mehfil mein kaise jain,
Jahan k manzar hamein jalain.
Agar hai jalna Jalein gein tanha.
Na Us se milte,Na aisa hota.
Na chain aaye, Na mout aaye,
Na jee rahe hain,Na mar rahe hain.
Kahan tha pehle ye haal Apna.
Na Us se milte,Na aisa hota...!
........

tera har rang hamne dekha hi
tera har dhang hamne dekha hi
hathe khele hian teri zolfon se
aankh waqif hi tere jalwon se
ankharion ka bayan jante hian
dharkano ki zoban jante hian
chorion ki chanak se waqif hian
chagalon ki dhanak se waqif hian
olji olji laten sanwar ke aa
dolhan ki tarha sharma ke aa
andaze beyan jante hian
tera har raaz jante hian
to nahi to raat soni hi
ishq ki kaaenat soni hi
kher howe tari zindagani ki
bhik de de hamin jawani ki
so jaan se fida hian ham
ik modat ke ashina hian ham
ajj kion hamse parda hi
---

Tere qareb aa kay bari uljhano main hon,
Main dushmanon main hon k tere doston main hon,
Badla na mere baad bhi mouzu-e-guftago,
Main ja chuka hon phir bhi teri mehfilon main hon,
Mujh se bichar k tu bhi to roeyga umer bhar,
Yeh soch lay k main bhi teri khuwahishon main hon,
Tu hans raha hai mujh pey mera haal daikh ker,
Or phir bhi main shareek tere qehqahon main ho0n.
.......

Tere Sapne Dekhta Hoon Tu Ye Meri Mohabat Hai,
Main Motti Rol Deta Hoon Tu Ye Meri Mohabat Hai,
Tumhari Yaad Ki Kirnon Ko Aksar Ankh Mai Rakh Kar,
Main Apni Neend Khota Hoon Tu Ye Meri Mohabat Hai,
Hoowa Aehsaase Kushboo Chandni Ko Dekh Kar,
Tere Dhokey Main Rehta Hoon Tu Ye Meri Mohabat Hai,
Falak Pe Chaand Taaron K Haseen Jhurmat K Manzar Mai,
Tere Chehrey Ko Taqtta Hoon Tu Ye Meri Mohabat Hai,
Main Apni Zindagi K Saarey Jazbon Ko Meri Jaan,
Tumhare Naam Karta Hoon Tu Ye Meri Mohabat Hai,
Kabhi Tu Dekh Lo Aa Kar Tum Rahey Mohabat Main,
K Main Khud Hi Khud Se Larrta Hoon Tu Ye Meri Mohabat He.
........

Tery ikhtyar main kya nahimujhe iss trha se nawaz de..
Meri yon Duaein qabool krmery lab par koi dua na ho . . .
..

Tha Mir jinko shair ka azaar mar gaye
Ghalib tumharay saray tarafdar mar gaye
Jazbon ki woh sadaqatein marhom ho gayi
Ahsas k naye naye izhaar mar gaye
Ahbaar ho rahi hy ghazal ki zuban ab
Paikar tarash shair k fankar mar gaye
Saaqi teri sharab bhara kaam kr gayi
Kuch raastay mein kuch pas-e-deewar mar gaye
Taqdees dil ki asiyaan nigaari kahan gayi
Shayad ghazal k sitaray gunahgaar mar gaye
Shairon mein ab Jihaad hy , Roza ,
Namaz hy Urdu ghazal k jitne thay kafaar mar gaye
Misriyon ko humne Naraa-e-Takbeer kr dia
Gheeton k pukhtadar gulukaar mar gaye
Asloob takht itna garajdaar ho gaya
Mehdi Hassan k hasshiya bardaar mar gaye
Naz-o-adaa se machliyan ab hn ghazal sirra
Tehmad pakar k shahab-e-dastaar mar gaye
Ya Rab talism hosh raha hy mushaira
Jinko nahi bhulaya woh gham khawar mar gaye..

...........

Tmhein shayad ye lgta he..
M0habbt khubsurat ha..
Tmhara ghar sanwary gi..
Tmhain yunhi naikharay gi..
Tmhain apna bana lay gi..
Tmhain shayd ye lgta ha..
Tmhein dukh se nikalay gi..
Tmhary dard smjhegi..
Tmhare gham sambhaly gi..
Mjhe maloom ha itna..
Mohabbat shab ki surat ha..
Ujalon ko ye kha lay gi..
Tmhe tm se chura le gi..
Tmhe pagal bna de gi..
Mohabbt maar deti ha..
Mohabbat maar dale gi.
.........

To jo us k shoq-e-deed mai awara phrta hai sahiL
nazar uthana bhi teri khatir us ko gawara nhn.

........

tra husn ho mra ishq ho,
to phir husn o ishq ki bat ho,
Kbi mae milon, kbi tu mily,
Kbi hm milen mulaqat ho,
Kbi tu ho chup,Kbi mae hon chup,
Kbi donon hm chup chap hon,
Kbi guftagu, kbi tazkray,
Koi zikr ho, koi baat ho,
Kbi wisal ho to din ko ho,
Kbi hijr ho to wo raat ho,
Kbi mae tra, kbi tu meri,
Kbi ik dujey k hum rahen,
Kbi sath mae, kbi sath tu,
Kbi ek dujey ka sath ho,
Kbi sohbatien, kbi ranjishen,
Kbi doriyan, kbi qurbatin phir bhi SAQI.,
hum dono sath hon.
.......

Tu hosh mein thä phir bhe hamain pehchaan na paaya ...
Ek hum hain ke pee k bhi terä Nääm lete hein...
......

Tu kisi shayer ka QaLam Nhi mere khyaLo ki Justuju hai
. Tujhe Na Sochon to khayaL kisi ka Aata Nahi mujhe..!..
........

Tu wafa kar wafa ka sila Jaanay >KHUDA Janay,>
Tum diya Jalatay raihna >hawa Jaanay KHUDA Jaanay,>
Khizaan ka khoaf maali ko Buzdil nahi kar sakta,>
Chaman aabad rakh Baad-e-Saba Jaanay KHUDA Jaanay,>
Mareez-e-Ishq dawa-e-Dil samjh dilbar ko,>>
Marz Jaanay dawa Jaanay >shifa Jaanay KHUDA Jaanay..

.........

Tujh ko Maloom hi Nhi Meri Tanhai Ka Dukh-
Meri Sochain Mere Khayalat Sirf Tum se hain-
To Sath hy to Muqadar pay Hakoomat Apni-
Mere Her Rishtay ki Soghaat Sirf Tum se hy-
Gar Kbi Bikhar Jaon to Samaitna Mujh ko-
Hy Mukammal Jo Meri Zaat Sirf Tum se he.
......

Suno jana!

Suno jana!
Palat ana!
K koi yaad karta he,
Tumhe awaz deta he,
Tumhe khush dekhne k waste,
Apne dil,e,muztir ko jo na shad karta he,
Tumhari ik jhalak k waste,
Galiyo me,Raston me ,
Subho se sham,Din se raat karta he,
Jinhe tum se aqidat he,Teri be los chahat he,Tumhe takne ki hasrat he,JINHE TUM SE MUHABBAT HE,Unhe kuch waqt dete hen,
So gar mumkin ho kuch esa?
To un ki chah ki khatir
"SUNO JANA!
PALAT AnA!
K KOI YAAD KARTA HE"..!

Chalo Pee lain k Yaar Aaye na Aaye

Chalo pee lain k yaar aaye na aaye,
Yeh mausam baar baar,
Aaye na aaye...

Gulabon ki tarah tum tazaa rehna,
zamane main bahaar,
Aaye na aaye....

Yeh socha hai k usko bhool jaen,
Ab is dil ko qaraar,
Aaye na aaye...

''M'' is zindagi se kyun khafa ho?
Aisa phir tum pe pyaar,
Aaye na Aaye....

Hayat k Ujre Diyaar Main

Hayat K ujre diyar main,
kuch tareekiyan abi or hain..

Naseeb k bigre hissab main,
kuch talkhiyaan abhi or hain..

Main ne phir se tinkey jorr kar,
socha k banao ik gher,

Mujhy abi falak se nawa mili,
k wahan badliyaan abi or hain...

Yehi dekh ab k teray khawab,
sab kayen dhal gaye hain sarab main,

Dil-e-be-khabar zara hosh kar,
k tere mtehaan abhi or hain...

Wo daagh yadon k baad,
tu ne mitaye to hain par sab nahii,

Maseeha-e-waqat mere zehan pr,
aise kuch nishaan abi or hain..

Aay tofaan-e-hawa zara phir se,
aa in bastiyon main har us jaga,

Jahan bach gaye hain chand gareb,
aise kuch makaan abi or hain...

Main chahon agar b to kis tarah?
supurd-e-jalaal ho jaon abi,

K is soukhta jaan k hisaab main,
qarz-e--dostaan abi or hain..

Abhi khawishon main lagey raho,
zara sans lenay ko ruko nahi,

mujey hai yakeen yehin aas pas,
naye Aasmaan or bhi hain...

cute.wasi@live.com
+3338523373

Apni khushyan luta kar us pe meharbaan ho jaon

Apni khushyan luta kar us pe meharbaan ho jaon,
kash kuch din us k shehar main mehmaan ho jaon...

wo apna nayaad dil mujko de dey,or phir mange,
main mukar jaon or be-imaan ho jaon..

wo mujh pe sitam kare ha kisi ki tarah,
main is adah par b mehrbaan ho jaon..

wo mere paon k neche se zameen khanch ley,
aur main phir uska assman ho jao..


Aab to mujhe itni mohabbat ho gayi hai us se,
khuda koi maujza kare or main uske naam ho jaon...
..

Best

Ek ajeeb thandak hai tere naram naram lehjay main,


''MOhsin''

Lafz lafz shabnam hai baat baat pyari hai...

....

Shab ko aagosh main aa jaye agar khayal uska,

subha bistar se b pholon ki mehak ati hai..
......

nahi masroof main itna k gher ka rasta bholon,

koi jab muntiar na ho to gher acha nahi agta.
....

Bohat shor sunte they pehlu main dil ka,

cheera to khoon ka ik katra b na nikla..

.......

Feb 12, 2010

ghazals

Aankh se door na ho dil se utar jaayega
Waqt ka kya hai guzarta hai guzar jaayega,
Itna maayus na ho Khilvat-e-Gham se apne,
Tu kabhi Khud ko bhi dekhega to Dar jaayega,
Tum sar e raah-e-wafaa dekhte rah jaaoge,
Aur wo baam-e-rafaaqat se utar jayega,
Zindagi teri aata hai to ye jaane waala,
Teri bakhsheesh teri dehleez pe dhar jayega,
Doobte doobte kashti to ochalaa de doon,
Main nahi koi to saahil pe utar jaayega,
Zabt laazim hai magar dukh hai qayaamat ka,
Zaalim ab ke bhi na royega to mar jayega.
....

Jabr-o-sitam hans k seh lye dil pr
tumhary dil ko dukhany ka hosla na hua
lutey kuch aisy mohabat ma hm k phr
kisi ko dil ma bsany ka hosla na hua...
.....

Ajab dastoor zubaaN baNdi hY kaisa teri mehfil meiN
YahaN tou baat kerNay ko tarasti hY zubaaN meri
........

Andaze biyan se zahir he tere dil ka kuhloos, ...
Teri tehreer ka her hr lafz teri muhabbt ka pata deta he...!!
........

Ankho sy Q ansu jalak jate hain,
Tanhaiyon me Q ghum yaad aate hain!
Aansu se pooch kar koi ye bata de hamein,
Door rehne wale aksar Q yad atey hain.
..........

Ao udas raton me,
Dil ki basti me aa kdekho,
Har ek rasta,Har ek daricha,
Tumhari chaht ka muntazir hy,
Falak se takta hy chand tum ko,
Sitare tum ko bula rahe hain,
Tumhari amad k muntazir hain,
Mujhe yaqin hyTumhare dil me,
Gaye dino k khayal hain kuch,
Nae safr k malal hain kuch,
Nai ruton k sawal hain kuch,
AGARYe sach hy to merimano,
Purane raston pe loat ao,
Purani basti me koi ab tak,
Tumhari amad ka muntazir hy!
.........

Ashk Girty hain to har saans PIGAL jaati hai,
De k ek Dard Naya har Sham DHAL jaati hai,
Tujh ko seene se laga kar mily jannat ka Sakun,
Tujh se Bichrun to meri Jaan NIKAL jaati hai,
Ishq kch aisy mitaa'ta hai NISHAN-E-HASTI,
Jaisy k Raat ujale ko NIGAL jati hai,
Tu agr Dil pe mry hath hi Rakh De,
Toti sans bhi Kch dair SAMBHAL jati hai,
Zakham bharta hi nahi teri JUDAI ka,
or Phir teri YAAD Naya Dard UGAL jati he.
........

Dil-e nadan ko smjhao "MOHBBAT" zakhm deti hay
Tum apni zid se baaz aao "MOHBBAT" zakhm dety hay
"MOHBBAT" ka safr Aaghaz krne pr tumhe hum ne
kaha tha nak ruk jao"MOHBBAT"zakhm deti hay
Usy shidat se chaha hay tu ye b zehan mian rkho
k barh jay agr had se"MOHBBAT"zakhm dety hai,
......

Do ghariyan ruk ja takdeeray,
Mainu lagiyan torr nibha lain day,
Aaj mukday huye sawaan layee
Do dil dey bol suna lain day
Ohnay saari hayati azmaya aey
Aaj menu yaar aazma lain day
Main jaan hawalay kr day saan
Is jaan da malik aa lain day . . .
..........

Ghalib vs Iqbal
Zahid sharab peeny dy masjid me beth kr....
Ya wo jaga bata jahan pr Khuda nahi....

(Ghalib)
Masjid khuda ka ghar hy peeny ki jaga nhe,
Kafir k dil me ja wahan pr khuda nhe...(Iqbal)
..

Ek Kuhwab sarhany rakh do na,,
Aj muj pr inayt kr do na,,
Zara chupkay se khamoshi se,,
Izhar e muhabt kr do na,,
khud ko kr ke dewana sa,,
Mera pyar amar tum ker do na,,
Me pyas me dooba sehra hun,,
Tum mujh ko sumandar ker do na,,
Me yun he phirta hu dar dar,,
Tum khud ko Manzil kr do na,,
Meri ghazlen adhori hain ab tak,,
Tum in ko mukamal kr do na,,
koi kuhwab sarhany rakh do na,,
Tum mujh pe inayat kr do na..!
........

Dushman ko bhi seenay say lagana nahin bhoolay,
Hum apnay buzargon ka zamana nahin bhoolay !
Tum aankhon ki barsaat bachayay huey rakhna,
Kuch log abhi aag lagana nahin bhoolay !
Yeh baat alag haath kalam ho gayey apnay,
Hum aap ki tasveer banana nahin bhoolay !
Ik umar huee main to hansi bhool chuka hoon,
Tum ab bhi meray dil ko dukhana nahin bhoolay !
......

Poems Of The Month

Saaqi aa ek nazar jaam se pehlay pehlay
Hum ko jana hai kahin shaam se pehlay pehlay
Khush ho ay dil, k mohabbat to nibha di tu ne,
Log ujar jatay hain anjaam se pehlay pehlay.
Ab teray zikar pe hum baat badal detay hain,
Kitni rughbat thi teray naam se pehlay pehlay.
Saamnay umar pari hai shab-e-tanhaai ki,
Wo mjhay chor gya sham se pehlay pehlay.
Kitna acha tha k hum bhi jiya kartay thay FARAZ,
Ghair-maaroof se, gumnaam se pehlay pehlay.
.......

Sab Khuloos Baaton Main Sab Karam Kehyalon Main
Bas Zara Wafa Kam Hai Teray Shehar Waloon Main
Pehli Baar Nazron Nay Chaand Boltay Dekha
Hum Jawab Kiya Detay Kho Gayeh Sawaloon Main
Raat Teri Yaadon Nay Dil Ko Is Tarhan Chera
Jesay Koi Chutki Lay Narm Narm Galoon Main
Yun Kise Ki Aankhon Main Subha Tak Thay Hum
Jis Tarhan Rayeh Shabnam Phool K Peyaloon Main
Meri Aankh K Taaray Ab Na Dekh Pao Gay
Hum Raat K Musafir Thay Kho Gayeh Ujaloon Main.
.......

Sar jhukaao ge to patthar devataa ho jaaye gaa,
Itnaa mat chaaho usay wo be-wafa ho jaye gaa,
Ham bhi dariyaa hain hamein apna hunar maaloom hai,
Jis taraf bhi chal paren ge rasta ho jaye gaa,
Kitni sachai se muj se zindagi ne keh diya,
Tuu nahi mera to koi dosra ho jaye ga,
Main khuda ka naam le kar pi raha doston,
Zehar bhi is main agar hoga to davaa ho jaye gaa,
Rooth jaanaa to mohabbat ki alaamat hai magar,
Kya khabar thi muj se wo itna khafa ho jaye gaa..
.........

Shram.O.Haya ka ye andaz bi kamal he mere sanam ka....
Usko tasveer mein bi daikhon to palkeyn jhuka leta he..
........

Shesha-E-Ishq Se Tarash Mujhay...
Aur Phir Kar Dey Pash Pash Mujhay...
Ja Raha Hon Mein Roshni Ki Taraf...
Apne Saye Ki Hai Talash Mujhay...
Ab Ke Zakhmi Nahi Hua Liken...
Dil Pe Aai Hai Ik Kharash Mujhay...
Kho Diya Khud Ko Justaju Mein Teri...
Tu Ne Karna Hai Ab Talash Mujhay.
......

Sham k saanwly chehray ko nikhaara jaye,
Kyun na sagar se koi chaand ubhaara jaye..
Raas aya nahi taskeen ka sahil koi,
Phir mujhe Pyaas k darya mein utaara jaye..
Mehrban teri nazar, Teri adaayen Qatil,
Tujhe kis naam se ay dost Pukaara jaye..
Mujh ko dar hai tere waady Pe bharosa kr k,
Kahein asa ho Ye Dil_e_khush Fehm na maara jaye..
Jis k dam semere din raat darakhshan thy QATEEL,
Kesy ab us k bina Waqt Guzara jaye..?
.......

Sir Jhukany Ki Aadat Nhi Hai
Aanso Bahany Ki Aadat Nhi Hai
Hum Kho Gaay To Pachtao Gay Bohat
Hamari Laot Kar Aany Ki Aadat Nhi Hai
Tery Dar Par Muhabat K Sawali Ban Jaty
Lekin Haath Phailany Ki Aadat Nhi Hai
Teri Yadain Aziz Hein Bohat
Mgar Ab Waqt Ganwany Ki Aadat Nhi Hai
Tum Sakht Dil NiklyKya Gila Karen Hum
Shikwa.e.Dil Lab Pr Lany Ki Aadat Nai Hai
Bad Dua Bhi Kiya Karein Huq Mein Tumhary "JääN"
Hamein To Dil Bhi Dukhany Ki Aadat nhi Hai.
.......

Su-e-maikada na jatay to kuch or baat hoti
Woh nigaah se pilaatay to kuch or baat hoti
Jo hawa-e-gulistan ne meray dil ki £aaj rakh li
Woh naqaab khud uthatay to kuch or baat hoti
Yeh baja kali ne khul kr kiya gulistan moater
Magar aap muskuratay to kuch or baat hoti
Jo haraam k raste se woh pohanch gaye
khuda tak Teri raah guzar se jatay to kuch or baat hoti
Yeh khulay khulay se gaisuu inhe laakh tu sanwaray
Meray haath se sanwartay to kuch or baat hoti...

ghazals

Musafton Main Kabhi Yoon Bhi Moatbar Thehroon,:
K Do Qadam Hi Sahi Us Ka Hamsafar Thehroon..
Tumhi Batao Kis Tarah Ye Mumkin Hy,:
Wo Mere Shehar Main Aaye Or Men Be-Khabar Thehroon..
Teri Talash Main Ab Kuch Es Tarah Nikloon,:
K Dasht Dasht Phiroon Or Darbadar Thehroon..
Najane Kab Wo Dar-e-Jaan Pe Aa K Dastak De,:
Esi Umeed Pe Hr Waqt Apne Ghar Thehroon.

.........

Na jany kon si bat ka gila krtey hain wo ,
Hum to apny naseeb ki khushian b bant daity hain...
.........

Nahin fursat use nazren milane ke liye
Wo nazren chura leta hai hum ko jalane ke liye
Wo roth jane ke bahane talaash karta hai
Apne usol torne prte hain use manane ke liye
Wo hamen bhol gaya hai logon se suna hai hum ne
Magr wo khwabön main ata hai hum ko rolane ke liye
Hum marne ko tayar hain is shart pr "faraz"
Ke wo aaega qabr pr muskurane ke liye....?
..........

Nam hain palken teri ay moj-e-saba rat k sath,
Kya tujhe b koi yaad ata he barsat k sath,
"Unko kho kr bi rahon khalwat-e-jan mein "Unki",
Jeet paei he muhabat ne ajab maat ke sath.
......

Nigaah-e-yar pe palkon ki agar lagaam na ho..
Badan main door tak zindgi ka naam na ho..!
Wo be-naqaab jo phirta hai gali koochon main..
To kaise shehar k logon main Qatl-e- aam na ho..!
Mujhe yaqeen hai k dunya main dard barh jain..
Agar ye peenay, pilanay ka ehtmaam na ho..!
Bitha k samne bas dekhta rahon tujh ko..
Tere siwa mujhe dunya ka koi kaam na ho..!
Jo uss ko dekh le 'mehtaab' kabi aik nazar..
To Mere shehar ki galyon main kabi sham na ho.
.........

Nigahon k tasaadom sey,
ajab taqrar karti hay,
Yaqin qamil nahi lekin,
guman hay pyar karti hay.
Laraz jata hoon main yeh soch k,
kafir naa ho jaon,
Tabiyat uss ki pooja k liyey,
bra israar karti hay.
Ussay malom hai shayad,
mera dil hai nishaney per,
Labon sey kuch nahi kehti,
nazar sey waar karti hay.
Main us sey pochta hoon khuwab main,
mujh sey mohbat hai!!???
Phir aankhain khool daita hoon,
wo jab izhar karti hai..
.........

Apni haar main kitna sakoon tha FARAZ......
Us shakhs ne jub galey lagaya jeetne ke baad..

......

Raat ki gehri khamoshi mein,
chupkay sey.....
Dhemey sey
sargoshi amein....
Koi mujh se bola....
Suno...!
tum wohi ho na,
jo raat hotey hi,
meri aankhon mein utar aati ho,
meri aankhon main jugnoo ki tarah roshan ho jati ho,
ik roshan taray ki tarah meri neendo mein utar aati ho
tum wohi ho na?
Meinin apni pyas bhula doo,
"MERE PAS TU AO "
Kay tujhe pyar karna sikha doo..
.....

Feb 9, 2010

Aaawara..!!

Aavaaraa


shahar kii raat aur mai.n naashaad-o-naakaaraa phiruu.N
jag_magaatii jaagatii sa.Dako.n pe aavaaraa phiruu.N
Gair kii bastii hai kab tak dar badar maraa phiruu.N

ai Gam-e-dil kyaa karuu.N ai vahashat-e-dil kyaa karuu.N

jhil_milate qum_qumo.n kii raah me.n zanjiir sii
raat ke haatho.n me.n din kii mohanii tasviir sii
mere siine par magar chalatii hu_ii shamashiir sii

ai Gam-e-dil kyaa karuu.N ai vahashat-e-dil kyaa karuu.N

ye rupahalii chhaao.N ye aakaash par taaro.n kaa jaal
jaise suufii kaa tasavvur jaise aashiq kaa Khayaal
aah lekin kaun jaane kaun samajhe jii kaa haal

ai Gam-e-dil kyaa karuu.N ai vahashat-e-dil kyaa karuu.N

phir vo TuuTaa ik sitaaraa phir vo chhuuTii phul_jha.Dii
jaane kis kii god me.n aaye ye motii kii la.Dii
huuk sii siine me.n uThii choT sii dil par pa.Dii

ai Gam-e-dil kyaa karuu.N ai vahashat-e-dil kyaa karuu.N

raat ha.Ns ha.Ns kar ye kahatii hai ke maiKhaane me.n chal
phir kisii shah_naaz-e-laalaaruKh ke kaashaane me.n chal
ye nahii.n mumkin to phir ai dost viiraane me.n chal

ai Gam-e-dil kyaa karuu.N ai vahashat-e-dil kyaa karuu.N

har taraf bikharii hu_ii rangiiniyaa.N raanaa_iiyaa.N
har qadam par isharate.n letii huii anga.Daiiyaa.N
ba.Dh rahii hai god phailaaye hue rusavaa_iiyaa.N

ai Gam-e-dil kyaa karuu.N ai vahashat-e-dil kyaa karuu.N

raaste me.n ruk ke dam le luu.N merii aadat nahii.n
lauT kar vaapas chalaa jaa_uu.N merii fitarat nahii.n
aur ko_ii ham_navaa mil jaaye ye qismat nahii.n

ai Gam-e-dil kyaa karuu.N ai vahashat-e-dil kyaa karuu.N

muntazir hai ek tuufaan-e-balaa mere liye
ab bhii jaane kitane daravaaze hai.n vaa mere liye
par musibat hai meraa ahad-e-vafaa mere liye

ai Gam-e-dil kyaa karuu.N ai vahashat-e-dil kyaa karuu.N

jii me.n aataa hai ki ab ahad-e-vafaa bhii to.D duu.N
un ko paa sakataa huu.N mai.n ye aasaraa bhii chho.D duu.N
haa.N munaasib hai ye zanjiir-e-havaa bhi to.D duu.N

ai Gam-e-dil kyaa karuu.N ai vahashat-e-dil kyaa karuu.N

ik mahal kii aa.D se nikalaa vo piilaa maah_taab
jaise mullaah kaa amaamaa jaise baniye kii kitaab
jaise muflis kii javaanii jaise bevaa kaa shabaab

ai Gam-e-dil kyaa karuu.N ai vahashat-e-dil kyaa karuu.N

dil me ek sholaa bha.Dak uThaa hai aaKhir kyaa karuu.N
meraa paimaanaa chhalak uThaa hai aaKhir kyaa karuu.N
zaKhm siine kaa mahak uThaa hai aaKhir kyaa karuu.N

ai Gam-e-dil kyaa karuu.N ai vahashat-e-dil kyaa karuu.N

muflisii aur ye mazaahir hai.n nazar ke saamane
saika.Do.n changez-o-naadir hai.n nazar ke saamane
saika.Do.n sultaan jaabar hai.n nazar ke saamane

ai Gam-e-dil kyaa karuu.N ai vahashat-e-dil kyaa karuu.N

le ke ik changez ke haatho.n se Khanjar to.D duu.N
taaj par us ke damakataa hai jo patthar to.D duu.N
ko_ii to.De yaa na to.De mai.n hii ba.Dhakar to.D duu.N

ai Gam-e-dil kyaa karuu.N ai vahashat-e-dil kyaa karuu.N

ba.Dh ke is indar-sabhaa kaa saaz-o-saamaa.N phuu.Nk duu.N
is kaa gul_shan phuu.Nk duu.N us kaa shabistaa.N phuu.Nk duu.N
taKht-e-sultaa.N kyaa mai.n saaraa qasr-e-sultaa.N phuu.Nk duu.N

ai Gam-e-dil kyaa karuu.N ai vahashat-e-dil kyaa karuu.N

jii me.n aataa hai ye murdaa chaa.Nd-taare noch luu.N
is kinaare noch luu.N aur us kinaare noch luu.N
ek do kaa zikr kyaa saare ke saare noch luu.N

ai Gam-e-dil kyaa karuu.N ai vahashat-e-dil kyaa karuu.N

Poems OF the Month

Hai wohi aasmaan, zameen wohi
Maah-o-anjum ussi tarah raushan
Kehkashaan ab bhi muskuraati hai
Phool kaleyaan mehak rahi hain yunhi
Baad muddat ke saaray pardesi
Apne apne gharoon ko aaye hain
Har taraf rang-o-bou ka mela hai
Aur tanha mein apne kamre mein
Kab se beta hoon aur soch raha hoon
Jaanay kya baat hai ke ghar mein mere
Jo guzashta barass thee raunaq
Ab woh kaheen bhi nazar nahee aati
Hai fiza mein ek ajeeb sa san'naatta
Haan faqat ek tere chale jaanay se
Aisa mehsoos horaha hai mujhe
Rutt khushi ki har taraf tu aee hai
Sirf chote se mere aangan mein
Eid ab ke baras nahee aee...
..........

kaho, kab phool khiltay hein?
kaha, jab muskurata hay...!!!


dharakta dil hey kab bolo
kaha, jab paas aata hey...!!!

kaho, dill mein hey kya us k?
kaha, wo kab bataata hey...!!!


sunno berham sa hey shayed?
kaha, younhi banata hey...!!!

kaha, kuch to hoa hoga?
kaha, wo aazmata hey...!!!



suno, wo jab sataata hey
kaha, dill doob jaata hey...!!!

kaha, dil doobta hey kab?
bataya, jab sataata hey ...!!!


buri shey hay ishq kiunker?
kaha, shab bhar jagaata hey...!!!

kaho, wo bazm keisi thi?
kaha, wo kab bulaata hey ...!!!

kaho, us sey bicherney ki?
bicherna kis ko bhaata hey? ...!!!

kaho, milnay ki khawahish hey?
kaha, bayderd naata hey ...!!!

batao, raakh mein hey kya?
sitara jhilmilata hey ...!!!

larz jati hein kab palkein?
nazar wo jab jamaata hey ...!!!

theher jaati hey dharkan kab?
nazar sey jab giraata hey .....!!!
.........

Tumhari Muskarahat
Tumhari muskarahat to aik shaam hay
shaam unn pareendon ki
jo parron main laptii thakan ko orhey
nagar ko aye!!
tumhari muskarahat to aik rabt hay
jo tootey patto ki ahaton kaa
shajar ki manoos tehnion say
jo band kitaab ki bandishon main qaid
soohkhey phoolon kaa khushboan say
magar
sach to yah hay kay!
Tumhari Muskarahat...
Tumhari Muskarahat to sirf tum ho!
.........

Kuch bhee naheen

Socha naheen accha bura
Dekha suna kuch bhee naheen
Manga khuda say hur waqt...
Teray siwa..... Kuch bhee naheen!

Dekha tujhey chaha tujhey
Socha tujhey pooja tujhey
Meri wafa meri khata....
Teri khata kuch bhee naheen!

Jis par hamari aankh nay
Moti bichayey raat bhar
Bhaija wahee kaghaz usay
Ham nay likha...... Kuch bhee naheen!

Aur aik shaam kee dehleez per
Baithay rahay woh dair tak
Aankhon say kee batain bohat
Munh say kaha.....kuch bhee naheen!

Do chaar din kee baat hay
Dil khak mein mil jaeyey ga
Aag per jab kaghaz rakha
Baqee bacha ..... Kuch bhee naheen

......

IK TERA EHSAS HAI..!


Ek Tera Ehsas Hai

Jo Her Waqat Meray Saath Hai

Ik Teri Yaad Hai

Jo Din Raat Mujhey Terpaati Hai

Ik Umeed Hai Teray Aany Ki

Apna Tujhey Banany Ki

Na Chain Hai Na Sakoon Hai

Yeh Kesa Mera Hall Hai

Raaten Ho Gai Hain Itni Lambi

Jo Kaatey Nahin Kattin

Na Bhook Hai Na Piyas Hai

Na Koi Aas Hai Na Koi Paas Hai

Bas Ik Tera Ehsas Hai

Jo Her Waqat Meray Saath Hai...!!!
.........

ye chaandnee khilee khilee
chamak tumharay rung ki
ye sardion ki dhoop si
tapish tumharay roop ki
phir in pay yaasiyat ka rung!
humain tu kuch jachaa nahin
labon pay muskurahatain
sajao khush raha karo
udaas mut hoa karo

tamaam roz'gaar ki
alam taraaz sa'atain
hansee ki oat main basee
kaee hazaar nafratein
hur aik rukh ki oat main
chupee hoee munaafqat
tamaam munzaron ka dukh
bohat rula'ay hai magar
ye log tu isee tarha
sitam kiya karain sanam!
tum in ki baat baat per
dhiyaan mut diya karo
udaas mut hoa karo

tumhain udaas deikh ker
kisee kay rung kho gaie
kahin pay chaand bujh gaya
kahin sitaray so gaie
kahin pay baarishon ki rut
ghazab ki piyaas bun gaii
koee bahaar rooth ker
sarapa yaas bun gaii
kisee kay mausamo'n ko yon
azaab mut kiya karo
udaas mut hoa karo....."
..........

sham kay ujaloon par
upnay narm hathoon say
koi baat achi see
koi khoab sacha sa
koi bolti khushboo
jab bhi likhna chahoon ga
soch kay darichon say
yad kay hawalooon say
mera namm chup chup kar
tum ko yad aaye ga
hath kanp jaain gay
sham thahar jaye gee
mera nam chup chup karr
tum ko yad aaye ga
sham thahar jaye ge
sham thahar jaye ge
.........

aaj jaane kii zid na karo


aaj jaane kii zid na karo
yuu.N hii pahaluu me.n baiThe raho
haaye! mar jaaye.ge, ham to luT jaaye.ge
aisii baate.n kiyaa na karo

tum hii socho zaraa kyuu.N na roke tumhe.n
jaan jaatii hai jab uThake jaate ho tum
tum ko apanii kasam jaan-e-jaa.N
baat itanii merii maan lo

waqt kii qaid me.n zindagii hai magar
cha.nd gha.Diyaa.N yahii hai.n jo aazaad hai
in ko kho kar abhii jaan-e-jaa.N
umr bhar na taraste raho

kitanaa maasuum-o-rangiin hai ye samaa
husn aur ishq kii aaj meraaj hai
kal ki kisako Khabar jaane-jaa.N
rok lo aaj kii raat ko

gesuuo.n kii shikan hai abhii shabanamii
aur palako.n ke saaye bhii madahosh hai.n
husn-e-masuum ko jaane-jaa.N
beKhudii me.n na rusvaa karo
.........

aaKhirii mulaaqaat


aao ki jashn-e-marg-e-muhabbat manaaye.N ham

aatii nahii.n kahii.n se dil-e-zindaa kii sadaa
suune pa.De hai.n kuuchaa-o-baazaar ishq ke
hai shama-e-anjuman kaa nayaa husn-e-jaa.N gudaaz
shaayad nahii.n rahe vo patango.n ke val_vale
taazaa na rakh sakegii rivaayaat-e-dasht-o-dar
vo fitnaasar gaye jinhe.n kaa.NTe.n aziiz the

ab kuchh nahii.n to niind se aa.Nkhe.n jalaaye.N ham
aao ki jashn-e-marg-e-muhabbat manaaye.N ham

sochaa na thaa ki aayegaa ye din bhii phir kabhii
ik baar ham mile hai.n zaraa muskuraa to le.n
kyaa jaane ab na ulfat-e-deriinaa yaad aaye
is husn-e-iKhtiyaar pe aa.Nkhe.n jhukaa to le.n
barasaa labo.n se phuul terii umr ho daraaz
sanbhale hue to hai.n. par zaraa Dagamagaa to le.n

...........

Jab mein haar jaati hoon

Jab mein haar jaati hoon ...

Jab mein haar jaati hoon
Haan ... Jab mein haar jaati hoon
Mein laut nahee paati
Bas thehar jaati hoon
Log jab haartay hain tu
Gharoon ko laut jaatay hain
Magar mein tu ruk jaati hoon
Aur mere baal dhool se att jatay hain
Meri paoon thakkan se shall
Magar mein bas ek jagah khari
Patthar aankhoon aur pathar dil se sab ko dekhti jati hoon
Kyon ke
Mein buzdil hoon
Mujh mein lautnay ki himmat nahee hoti
Mein darti hoon
Mein laut gaee tu
Mere dil ki aag dheemi par jaayegi
Mere muqabil ki khushi ki tarah
Is liye
Jab mein haar jaati hoon
Mein ruk jaati hoon
Ke jeetne waloo ko koi dukh na ho
Meri kami bhi mehsoos na ho
Bhala jeetne waloo ko koi pachtawa kyon ho
Sazaayain tu
Haarne waloo ka maqsoom hoti hain
Jab mein haar jaati ho tu ro bhi nahee paati
Kyon ke
Muhabbaton ka soug nahee manaatay
Shikasatoon ko roug nahee banaatay
Mein bas hansti jaati hoon
Meri khushk aankhain aur patthar qeh'qahay
Meri rooh ko
Pyaasa aur zakhmi kar dete hain
Magar mein hansti rehti hoon
Kyon ke
Mein buzdil hoon
Mujh mein rone ki himmat nahee hoti
Mein darti hoon
Mere aansoo
Kisi ki saza na ban jaayain
Jeet ka taana na ho jayain
Aur phir
Jo mujh se lartay hain
Woh mere apne hotay hain
Mere muqabil
Meri muhabbat mere sapnay hotay hain ...

Bhalay dinoan ki baat hai

Bhalay dinoan ki baat hai
Bhali si aik shakl thee
Naa yeh kay husn-e-tamam ho
Naa daikhnay main aam see

Na yeh kay wo chalay to phir
Bahar rehguzar lagay
Magar wo jab bhi saath ho
Bhala bhala safar lagay

Koi bhi rutt hoa us ki chab
Fiza ka rang roop thee
Woh garmioun ki chaoon thee
Wo sardioun ki dhoop thee

Naa muddatoun juda rahay
Naa saath subh-o-shaam ho
Naa rishta-e-wafa pay zid
Naa yeh kay azn-e-aam ho

Naa aisi khush libaasian
Kay saadgi gilaa karay
Naa aisi baytakaluffi
Kay aaina haya karay

Naa ekhtilaat main wo ram
Kay badmaza hoan khwahishain
Naa iss qadar supurdagi
Kay zich karain nawazishain

Naa aashqi junoon kee
Kay zindagi azaab ho
Naa is qadar khatoor pan
Kay dosti kharab ho

Kabhi to baat pay kafi
Kabhi sukoot bhi sukhan
Kabhi to kusht-e-zafraan
Kabhi udaasioun ka ban

Bhali si aik shakl thee
Bhali si us ki dosti
Ab uskee yaad raat din
Naheen, magar kabhi kabhi

Aai sooraj ki dosheeza kiran

Aai sooraj ki dosheeza kiran
Tum nay toa kaha tha aao gee
Yeh andhi kali raatoan ka
Sab cheer andhera aao gee
Haan lay kay sawera aao gee

Hum shab bhar jagay baith rahay
Jab oas nay chadar phelaee
Jab chand nay jhalki dikhlaee
Jab ambar per taray chamkay
Jab jungle main jugnoo damkay
Aur badal badal ghir aayee
Ik zalim zalim tanhaee

Phir hum nay ik sapna daikha
Phir hum nay ik dhoka khaya
Aai sooraj ki dosheeza kiran

Tum koan say dard ka darmaan theen
Tum aateen toa kiya bujh jatee
Yeh pyaas humaray hoantoan ki
Yeh pyaas humaray seenay ki
Yeh pyaas badan ki chahat ki

Tum aa jaateen toa kiya hota
Dil phir bhi yonhee tanha hota
In pyasoan ka pyasa hota
Yeh jaisa hai waisa hota

Ya mumkin hai itna hota
Yeh tum say lipat roya hota
Aai sooraj ki dosheeza kiran
.........

Bol K Lab Azad Hain Tere..!!

Yeh jo aik dasht-e-firaq hai
Yeh jo aik dasht-e-firaq hai yeh rukay agar
Yeh rukay agar toa nishan milay
Yeh nishan milay keh jo faasoloan ki saleeb hai
Yeh garri hoi hai kahan kahan
Meray aasman say kidhar gayee
Teray ittifaq ki kehkashan
Meray bay-khabar meray bay-nishan
Yeh rukay agar toa pata chalay
Main tha kis nagar tu raha kahan
Keh zaman-o-makan ki yeh wusaatain
Tujhay dekhnay ko taras gayeen
Woh meray naseeb ki barishain
Kisi aur chhat pay baras gayeen
.........

Zameen-zaaday chaloa baatain karain shehr-e-tamanna ki
Yehan to shaam say pehlay he sooraj doob jaata hai
Yehan her khuaab say pehlay he neendain choank uthtee hain
Bahaarain yoon guzartee hain ke jaisay waqt say un ki koi azlee adaawat ho
Koi baadal nahin rukta hawaayain bay-murawwat hain
Hooueen sadyaan ke aankhon main koi sooraj nahin chamka
Koi shabnam nahin utree koi moati nahin damka
Chaloa yeh to humaree kum-nigaahi ki sazaa thehree
Magar hum khuwaab na daikhain to neendain bay-samar apnee
Samaaut bay-khabar apnee sazaa na-mutabar apnee
Zameen-zaaday chaloa baatain karain shehr-e-tamanna ki
Yeh baatain jo sulagtee hain magar kirnain nahin banteen
Inhain roashan agar kar paao to kitnay sakhee thehroa
Magar kya kar sako gay tum? magar kya kar sakain gay hum
Kay hum is shehr main bay-khuwaab raaton kay hawaalay hain
Zameen-zaaday zameen pay basnay waalay thaknay waalay hain
.........

Boal ke lub aazaad hain teray
Boal zabaan ab tak teri hai
Teeray sutwaan jism hai tera
Boal ke jaan ab tak teri hai
Daikh ke aahangar ki dukaan main
Tund hain shoalay surkh hai aahan
Khulnay lagay qufloan ke dahaanay
Phaila her aik zanjeer ka daaman
Boal yeh thoarra waqt bohat hai
Jism-o-zaban ki moat say pehlay
Boal ke such zindaa hai ub tak
Boal jo kuch kehna hai keh lay
........

Mujh say pehli see muhabbat

Humaari baat mut poocho
Hum ghareeb-ul-watan toa
Doori oarrh kay soa jaatay hain
Faasloan ke paich-o-khum main
Sandaisay khoa jaatay hain
Dhundalkoan main waqt ke
Apne paraaye ho jaatay hain
Mausamoan ke haath aksur
Dard sa dil main boa jaatay hain
Karb naarasaaee ke
Aankh ka daaman dhoa jaatay hain
Hum sunaayain kya tumhain
Kaisay katay shaam-o-sahar
Kaisi lagay sooni dagar
Yeh ajnabi sa dais hai
Bay-mehr say is dais main
Na koi yaqeen apna na koi gumaan apna
Paoon talay zameen apnee na sir pay aasman apna
Hum bay-zaman hum bay-makaan
Hum bay-watan hum bay-zabaan
Hum sunaayain kya tumhain?
Hum bataayain kya tumhain
Humaari baat rehnay do..

........

Mujh say pehli see muhabbat meray mehboob na maang
Main nay samjhaa tha ke too hai toa darakhshaan hai hayaat
Tera ghum hai to gham-e-dehr ka jhagrrha kya hai
Teri soorat say hai aalam main bahaaroan ko sabaat
Teri aakhoan kay siwaa duniya main rakha kya hai
Too jo mil jaaye to taqdeer nigoon ho jaaye
Yoon na tha main nay faqt chhaha tha yoon ho jaaye
Aur bhi dukh hain zamanay main muhabbat kay siwaa
Rahatain aur bhi hain wasal ki rahat kay siwaa
Unginat sadyoan kay taareek baheemaana tilism
Raisham-o-utlus-o-kumkhaab main bunwaaye hooay
Jaa-bajaa biktay hooay koocha-o-bazaar main jism
Khaak main lithray hooay khoon main nehlaaye hooay
Jism niglay hooay amraaz kay tanawwuroan say
Peep behtee hooi gultay hooay naasooroan say
Loat jaatee hai udhar ko bhi nazar kya keejiay
Ab bhi dilkush hai tera husn magar kya keejiay
Aur bhi dukh hain zamanay main muhabbat kay siwaa
Raahatain aur bhi hain wasal ki raahat kay siwaa
Mujh say pehli see muhabbat meray mehboob na maang .

.......

Kabhi kabhi meray dil main

Main ne chaaha
Tere janam din per
Aisa tuhfaa teri nazar karoon
Jisay too umr bhar yaad rakhay
Phir aik lamhay ki soach nay
Mere haath buland kiay
Kuch lafzoan ke phool
Duaaon ke panchee
Dil ki gehraaiyon say aazad kiay
Ke aanay waalay mausamoan main
Ghum ki ghataain
Kabhi teray qareeb na aain
Teri aankhon ke jugnoo sadaa chamkain
Khuda tera daaman hamesha musarraton say humkinaar karay
Kabhi jo too
Zindagi ki karri dhoop main
Palat ke daikhay
To bohat si khush-rung yaadain
Gulaab lehjoan ki dilfaraib batain
Beetay lamhoan ki chaandni
Tere weeraan dil ko bahar kare
Too her guzray lamhay say pyaar karay
Aur khuda-e-lum yazl
Teri umr daraaz karay
.........

Kabhi kabhi meray dil main khayaal aata hai
Ke zindagi teri zulfoan ki nurm chhaaon main
Guzarnay paati to shaadaab ho bhi sakti thee
Yeh teergee jo meri zeest ka muqaddar hai
Teri nazar ki shuaaon main kho bhi sakti thi
Ajab na tha ke main baigana-e-alam ho kar
Teray jamal ki ranaaiyon main kho rehta
Tera gudaaz badan teri neem baaz aankhain
Inheen haseen fasaanon main mahuv ho rehta
Pukaarteen mujhe jub talkhiyaan zamanay ki
Teray laboan say halaawat ke ghoont pee laita
Hayaat cheekhtee phirti berhana sir aur main
Ghanairee zulfoan ke saaye main chhup kay jee laita
Magar yeh ho na saka aur ab yeh aalam hai
Ke too nahin tera ghum teri justujoo bhi nahin
Guzar rahi hai kuch is tarah zindagi jaisay
Isay kisi ke sahaaray ki aarzoo bhi nahin
Zamaanay bhar kay dukhon ko laga chuka hoon galay
Guzar raha hoon kuch anjaanee raahguzaaron say
Muheeb saaye meri simt barhtay aatay hain
Hayaat-o-moat ke pur-hoal khaarzaaroan say
Na koi jaadah na manzil na roashni ka suraagh
Bhatak rahi hai kahlaaon main zindagi meri
Inhi khalaaon main reh jaaoon ga kabhi khoa kar
Main jaanta hoon meri hum-nafas magar yoon he
Kabhi kabhi meray dil main khayaal aata hai

Agar kabhi meri yaad aaey

Agar kabhi meri yaad aaey
To chaand raat ki narm dilgeer roashni main
Kisi sitaaray ko daikh laina
Agar woh taara falak say urr kar
Tumhaare qadmon main aa giray
To yeh jaan laina
Woh mera dil tha
Agar na aaye
Magar yeh mumkin he kis tarah hai
Ke tum kisi pe nigaah daalo
To us ki deewaar-e-jaan na tootay
Woh apni hasti na bhool jaaey
Agar kabhi meri yaad aaey
Guraiz karti hawaa ki lehron
Pe haath rakhna
Main khushbuon main tumhain miloon ga
Mujhe oaas qatroan ke aainoan main
Talaash karna
Main pattiyoan main tumhain miloon ga
Agar oaas qatroan ke aainoan main
Pattiyoan main
Khushbuon main
Na paao mujh ko
To apne qadmon main dekh laina
Main gard hoti musaafaton main
Tumhain miloon ga
Kahin pe roashan charagh dekho to soach laina
Ke her patingay ke saath main bhi
Bikhar chuka hoon
Tum apne haathon say un patingoan
Ki khaak darya main daal daina
Main khaak bun kar samandaroan main
Safar karoon ga
Kisi na daikhay hooay jazeeray
Pe ruk ke tum ko
Sadaain doon ga
Samandaroan ke
Safar pe niklo
To us jazeeray pe bhi utarna
Agar kabhi meri yaad aaye

Yeh ilm baghaawat hai yaaro

Yeh ilm baghaawat hai yaaro
Yeh ilm baghaawat hai yaaro
Jo zulm ke khooni panjon pe
Zaalim ke ghag shikanjon pe
Yoon bijli bun kar barsay ga
Ke dharti thur thur kaanpe gi
Ae aazadee ke deewanon
Kab tak yoon door andheron main
Darya say door basairon main
Tum aazadi ko dhoondo gay
Ae ahl-e-watan ae ahl-e-qafas
Ae ahl-e-watan ae ahl-e-qafas
Tum khas-ul-khas ho aam nahin
Tum saaray ghar ki izzat ho
Tum haakim ho mehkoom nahin
Yeh loah-o-qalam tum he say hay
Tum he taqdeer badaltay ho
Tum ho Mohammad-bin-Qasim
Phir kyon zanjeer say dartay ho
Mut zalim say mut qaatil say
Mut zalim say mut qaatil say
Mut kaafir say mut kaafir say
Mut zaalim say faryaad karo
Aur baat kisi ki yaad karo
Manjhdaar main koodo mallah ho
Toofaan ke muqabil ho jaao
Yoon saahil saahil kehne say
Yoon saahil saahil kehne say
Kya khaak Kinaara aaey ga?

Birthday Sms

Is saalgirah per aae doast tujhe kya nazar karoon
Dil ke sajday nazroan ke salaam
Ya woh chund hurf-e-sapaas
Jo mehez bay jaan riwaayat thehray
Woh jin ke baghair itne bay shumaar din beet gaaye
Qaraar-e-dil hareem-e-jaan yadon ke rafeeq
Guzray hooay her lamhay ke ameen
Harz-e-jaan hooa ab woh judaai ka naseeb
Is say pehlay dil ke sub saada warq hurf-e-na-aashna thay
Mehr-o-murawwat khuloos chaahat sub naqsh-e-bay-nishaan thay
Main ne dunya ko bohat door say dekha tha
Waqt ke saaray khad-o-khaal nihaan thay
Us aik judaai ne kya kuch na diya
Rafaqaton ki mohabbaton ki woh pehchaan
Ke ab main her aan kisi say aashna hoon
Lafzon ke mafhoom
Jazbon ke tamaam lehjay pehchantee hoon
Dil ke sub saada warq naqsh-e-dawaam liay
Aik muddat say sarmaaya-e-hayaat hooay
Jo raqm hooa so hadees-e-dil
Yeh ibaaratain jo hurf-ba-hurf
Meri tumhaari gawah hooi hain
Ye he hisaab-e-doastaan paimaan-e-wafa ki asaas
Nazr baad-e-aihtaram
Meri kitaab-e-dil ka intisaab_Ab tumhaare naam

Zara yeh to Batao

Dehleez-e-samaat pe kisi waday ki aahat
Utray na utray
Aae ranj bhari shaam
Dukhtay hooay dil pe
Koi aahista say aakar
Ik hurf-e-tasallee rakhe phool ki manind
......

Zara yeh to bataao
Tum ne mujh say ziada zindagi ki
Baharain daikhee hain
Dunya ke nashaib-o-faraz say bakhoobi waqif ho
Yeh dunya itni zalim
Khudgharz aur behiss kyon hai?
Jis main tum bhi shamil ho
.......

Yehi soach rakha tha
Keh
Jab bhi woh hamain
Kabhi sar-e-raah mil gaya to
Nigahain chura kar
Palkoan pe bund baandh lain gay
Magar
Achanak jab woh samnay aaya to
Hazaar zabt ke bawujood bhi
Aansoo mere gaal tur kartay hooay
Mera daamun bhigo gaye
.............

Kaha nahin tha
Ke us chup se guraiz karna
Ke jis say
Undar ka shoar barrh jaae
Aur samaat ko chhaid daale

Main aaj bhi chup hoon

Main aaj bhi chup hoon
Main kal bhi chup thee
Loag kehtay hain kuch to bolo
Apni khamoshi ke band kholo
Main sochti hoon kya boloon
Jo kuch mere dil main hai kis se kahoon?
Un say jo nahin jantay
Jazbon ki haqeeqat kya hai
Rooh kay sannaton main ghulti hooi
Qatra qatra see azeeat kya hai
Jo samajhtay hain ke insaam faqt
Chand ashyaa-e-zaroorat ka hai mohtaj
Yeh mohabbatain yeh rafaqatain
Yeh khuloos-o-wafa ki rahatain
Sab bay mani lafzon ke gharonday hain
Jin main baaith kar insaan
Haqeeqaton se faraar chahta hai
Magar meri soach in say mukhtalif hai
Aur ye he tanao ye he nafraton ka baais hai
Main kal bhi chup thee
Main aaj bhi chup hoon ...

Dasht-e-tanhai main

Dasht-e-tanhai main
Aye jan-e-jahan larza hai
Teri aawaz ke saaye
Teray honton kay saraab
Dasht-e-tanhai main
Doori ke khas-o-khak talay
Khil rahay hain tere pehloo ke saman
Aur gulab
Uth rahi hai kahin qurbat se
Teri sanse ki aanch
Apne khushboo main sulagti houi
Madham madham
Door ufaq paar chamakti hoi
Qatra qatra
Gir rahi hai
Teri dildar nazar
Ki shabnam
Dasht-e-tanhai main
Aye jan-e-jahan larza hai
Teri aawaz ke saaye
Tere hoanton ke saraab
Is qadar pyar se
Aye jan-e-jahan rakha hai
Dil ke rukhsar pe
Is waqt
Teri yaad ne haath
Yoon guman hota hai
Garche hai abhi subh-e-firaq
Dhal bhi gaya hijr ka din
Aa bhi gaee wasl ki raat
Dasht-e-tanhai main
Aye jan-e-jahan larza hai
Tere aawaz ke saaye
Tere hoanton ke saraab

Agar dil toot b jaye

---Mohabbat----Agar dil toot b jaey,
Sanam agar rooth b jaey,
Kisi ka haath haathon sekabi jo chout b jaey,
Mohabbat mit nahi sakti,
Mohabbat mar nahi sakti,
Mohabbat amar rahti hai,
Kabi yaadon ki soorat mai,
Kabi baaton ki soorat mai,
Udaas raaton ki soorat mai,
Barsaaton ki soorat mai,
Mohabbat amar rahti hai,
Mohabbat karnay walon ki anokhi reet hoti hai,
Mohabbat haar b jaey to is mai jeet hoti hai...!
..........

Muhabbat Seekh Ker Karna,
K Bin Seekhe Muhabbat Ka Safar Dushwar Hota Hei,
Girebaan Taar Hota Hei,
Kabi Inkar Hota Hei,
Kabi Iqrar Hota Hei,
Muhabbat Seekh Ker Karna,
K Bin Seekhe Muhabbat To,
Sarabon Ki Kahani Hei,
Dukhon Ki Raj-Dhani Hei,
Jo Kal Ban Jaye Ga Badal,
Ye Darya Ka Wo Pani Hei,
Muhabbat Seekh Ker Karna,
K Bin Seekhe Muhabbat To,
Azab-e-Zindagi Thehri,
Sarab-e-Zindagi Thehri,
Na Ho Takmeel Jis Ki Wo,
Kitaab-e-Zindagi Thehri..!
..........

MujhE ImAAn TEri MuhAbbAton pE ApNe KhudA ki tArAh,,
BuS Aik bAAr MErE Sir ki QAsAm khAo bAdAL to nA jAo gE..
TuM Jo dUr rAho to MAnziLAin MEri AndherA hAiN,,
BuS Aik bAAr MujhE YAqEEn diLAo bAdAL to nA jAo gE..
Aaj TuMhAri JudAi kA Khof MAArAy jA rAhA hy,,
FaqAt Aik bAAr Mujh kO bEhLAo bAdAL to nA jAo gAy..
DiL GhutA GhutA sA hAi, Aankh Bhi to Pur Num hAy..
MujhE buS Aik bAAr sAmjhAo bAdAL to nA jAo gE . . .

..........

Mujy Roz-O-Shb Ki Kitab Mai
Koi esa Harf Na Mil Ska
Jisy Misl-E-Gul Ka Khitab doon
Jisy Chandni Ki Si Taab Doon
Jisy Dhoond KrJisy Khoj Kr
Rukh_E_Asman Pe Sja B Doon
Mery Khoon-E-Dil Ki Nigaarshen
Meri Rooh Tk K Fishaar B
Yahan Ilm-O-Fun Ki Dukan Pr
Bary Sasty Daamon Se Bik Gaye
Mujy Tor KrMujy Phor Kr
Mery 2ston Ne Jala Diya
Rah-e-Zndgy K Ghubar Mai
Meri Raakh Tk Ko Ura Diya
Mujy Phr B Koi Gila Nai
Jo Mila Nai So Mila Nai...!

Mohabbat rog hai janan!

Meri Zindagi K Taiwar Mere Hath Ki Lakiren
Kash Inhe Tum BadaLte ToKuch or Baat Hoti
Main Tera Aaina Tha Main Tera Aaina Hoon
Mujhe Dekh kr Sanwarte ToKuch or Baat Hoti
Abhi Aankh Hi Lari Thi k Gira Diya Nazar Se
Zara FaasLe Barhte ToKuch or Baat Hoti
Ye KhuLi KhuLi c ZuLfen Inhe Laakh Tum Sanwaaro
Mere Hath Se Sanwarte ToKuch or Baat Hoti
Mujhe Apni Zindagi Ka Koi Gham Nhi Hai Lekin
Tere Aastaan Pe Marte ToKuch or Baat Hoti.."
.......

Meri zindagi ki kitab ka hai warq warq yun saja hua
Ser-e-ibtida,ser-e-inteha tera nam dil pe likha hua
Ye chmakk damakk to fraib hai mujay daikh gehri nigah say
Hai libas mera saja hua mera dil hai lekin bujha hua
Meri ankh teri talash main yun bhatakti rehti hai raat din
Jese jungalon main hiran koi ho shikariyon main ghira hua.
.........

Mohabat dukh to deti hy
Magr ek bat kehni hy
K
Jis ko chaha jata hy,
Zruri ye nhi hota
K
Usko pa lia jaye..
Kbi us k bicharny se
Mohabat kam nhi hoti,
Zra c dair pehly to yehi ehsas hota hy
KKoi G nhi skta,
Mgr phir rafta rafta hi
haqiqat khulti jati hy,
KMohabat wo nhi hoti
K
Jis ko pa lia jaye,
Mohabat wo bhi hoti hy,
Jo hmesha sath rehti hy..
Kabi Dukh K Andheron Mein..
Kabi Khushion K Melay Mein.
........

Mohabbat K Safar Main Dil Jala Kar Chain Milta Hai,,
Tumhare Dard Ki Mehfil Saja Kar Chain Milta Hai,,
Kabhi Ehsaas Hota Hai Baharon K Ujarnay Ka,,
Kabhi Sookhe Huway Patty Utha Kar Chain Milta Hai,,
Woh Bhoola Hai Agar Aehd_e_Wafa Tou Bhool Jane Do,,
HumenAisi Mohabat Ko Nibha Kar Chain Milta Hai,,,
.........

Mohabbat rog hai janan!
Bara sanjog hai janan!
yeh kaisa jog hai janan!
baray burhay batate thay,
kai qissay sunate thay,
magar hum jante kab thay,
ye sub kuch mante kab thay,
ye baatain zikr k qabil bhala gardante kab thay,
ana k takht per baithay hamain maloom he kab tha,
ana k takht se ooper bohat saari bulandi per,
tere abroo ki junbish per,
tere sir k ishaare per,
tere paon ki paayal mein,
ghani zulfon ki chaoon mein,
tere chhote se gaon mein,
sitare chand suraj walehana raqs karte hain,
kahin pariyon k jhurmat mein,
hamain maloom he kab tha,
tumhari yaad ka gehra samandar jaag uthta hai,
qalam jab bhi uthaun main,
ghazal jab gungunaun main,
mere ander se ik aawaz bus,
teri he aati hai,
mera her shair teri yaad k manzar sajata hai,
qalam jub tujhko likhta hai,
to bus likhta he rehta hai,
yehi likhta hai teri yaad bin,
koi lamha nahi guzra,
guzarna bhi nahi shayad,
hamari moat tak janan!
.........

ghazals3

Abhi is taraf na nigah kar,
main ghazal ki palken sanwar lon,
mera lafz lafz ho aaina,
tujhe aaine main utaar lon,
main tamam din ka thaka hua,
tu tamam shab ka jaga hua,
zara tehar ja isi mor par,
tere saath shaam guzar lon,
kahi ajnabi teri raah main,
mere paas se yun guzar gaye,
jinhe dekh kar yeh tadap hui,
tera naam le ke pukar lon....

.........

.........
Kitaab-e-DiL mein jo nafrat ka baab rakhta tha,
Wo chahaton ka mukammal HISAAB rakhta tha.
Faraib deta raha dosti ke pardoun mein,
Woh shakhs chehray pe kitne NAQAAB rakhta tha.
Usi ke hath mein pathar dikhai deta tha,
Jo apne hath mein har dam GULAAB rakhta tha.
Wo shakhs jo bhatakta dikhai deta tha,
Rah-e-wafa mein qadam KAAMYAAB rakhta tha.
Kahan talash kron uss ko aaj main )J
o apni baat mein apna JAWAAB rakhta tha...

..........

Wo Mere Pas Bhaithe Hain
kaho Lamhon Se Tham Jayein
Kabi Bhi Door Nazron Se Na Wo Jayein
Na Hum Jayein
Ajab Hain Rog Chahat Kay
Suno Neendein Nahi Ati
Kisi Kay Khawab Ankhoun Mein
Agar Bachpan Se Jam Jayein...!!
....

Dar-e-Fana me Naqsh-e-Baqa chorr jaon ga,
Main apne baad apni sada chorr jaon ga,
Hain or b Chaman Meri Khushbu k Muntazir
Main is Chaman ko Misal-e-Saba chor jaon ga,
Doon ga kali kali ko payam_e_shguftagi,
Gulshan main ek husn_e_ada chorr jaon ga,
Le jaon ga main apni wafa ko b apne sath,
Duniya k paas yaad_e_wafa chorr jaon ga,
Jo mere dil pe zakham lagatey rahy sada,
Main un k wastey b Dua chorr jaon ga,
.........

Koi Diwar Rehne Do

Koi Diwar Rehne Do
Faqat Izhar Rehne Do
Safar Mein Sath Chal Kar Bhi
Mujhe Is Paar Rehne Do
Na Aankhon Mein Sajao Tum
Na Mujh Ko Khaak Hone Do
Na Tarsen Tumhari Qurbat Ko
Mujhe Be'baak Rehne Do
Mujhe Ash'aar Mein Likho
Magar Na Gungunao Tum
Kitabon Mein Kahin Rakh Kar
Mujhe Phir Bhool Jayo Tum
Suno Tum Se Ye Kehna Hai
Safar Mein Dhool Hone Tak
Koi Bhi Bhool Hone Tak
Mujhe Tum Maang Lena Bas
Dua Qabool Hone Tak...!!

KAAASSH Ye MoHaBBaTT na hoti

Shararat na hoti Shikayat na hoti
Nainon me kSi ki Nazakat na hoti
Na hoti bekarari Na hote hum tanha
Agr jahan me kambakhat Ye MoHaBaT na hoti
Na hote ye Sapne Ye khwabon ki duniya
KiSi ko chahat ki Tamana na hoti
Na zulfo ki chayan Na phulo ki khuSbu
Yadon mein unki Ye rate na katti
Jo na hoti mohabat Ye anSu na hote
Dil bhi na khota Aj tanha na rota
Diwano Si apni Ye halat na hoti
Agar jahan me kambakhat
KAAASSH Ye MoHaBBaTT na hoti...

Kaash khuwaabon mai

Kaash khuwaabon mai hi aajao boht tanha hon
Ya mere zehen se yaadon k diye gul kerdo,
Mere ehsas ki dunya ko mita do hum-dam,
Raat taarey nahi angaarey le aati he,
In baraste howe shoulon ko bujha do hum-dam,
Dil ki dharkan ko sula jao boht tanha hon
Andheri raat mai jab chaand khilne lagta he,
Tumhare piyar k deepak jala k rota hon,
Tumhare aane ki jab aas jaane lagti he,
Main in chiraaghon ko khud hi bujha k rota hon,
Zindagi aesi mita jao boht tanha hon
Soochtey soochtey jab sooch bhi mar jati he,
Waqt k qadmon ki aahat ko suna kerta hon,
Ashk thamtey hain to yaadon ka dhuwaan uth'ta he,
Raat bher youn hi tadapta hon jala kerta hon,
Baar-e-gham kuch to ghata jao boht tanha hon...

Qurb k na wafa k hote hain

Qurb k na wafa k hote hain,
saray jhagray ana k hote hain
Baat niyat ki sirf hai warna,
Waqt saray dua k hote hain
Bhool jate hain,mat bura kehna,
Log putlay khata k hote hain" " " "
Wo bazahir jo kuch nahi lagte ,
Un se rishtay bala k hote hain" " " "
Wo humara hai is tarah se Faiz:)
Jaisay banday khuda k hote hain...

Parcha¡'yön k¡

Parcha¡'yön k¡ anjuman aara¡de geya.
k¡tn¡ ajeeß wö mujhy tanha¡ degeya.
a¡k 1 paL me¡n ßeet rah¡ ha¡hazaar umar.
sad¡yön ka ¡ntazaar wö harja¡ de geya.
wö k¡tna höösh mand tha jömere naam se.
mash'höör khudhuwa mujhy ruswa¡ de geya.
mera k¡ya ¡Laaj muhaßat k za¡har se.
qat¡L mujhy fra¡ß_a_mas¡ha¡de geya.
chehre aß asaL röup me¡n aa¡ynazar"FARAZ".
aankhe¡n churak wö mujhy ß¡na¡ de geya...

Wo raaz badal dalo

Taskeen na ho Jis se' wo raaz badal dalo,
Jo raaz na rakh paye' hamraaz badal dalo..
Tum ne bhe suni ho gi' bari aam kahawat hai,
Anjaam ka ho khatra' aghaaz badal dalo..
Pur soz dilon ko jo' muskan na de paye,
Sur he na mily jis mein' wo saaz badal dalo..
Dushman k iradon ko' hai zair agar karna,
Tum khel wohi khelo' andaaz badal dalo..
FARAZ karo himmat' Kuch door sawera hai,
Gr chahte ho manzil' parwaz badal dalo..!

ghazals3

Kathin hay rah guzar thori door sath chalo
bohat kara hay safar thori door sath chalo
tamam umr kahan koe sath deta hay,
yeh janta hoon mager thori door sath chalo
nashay may choor hoon main bhi tumhain bhi
hosh nai bara maza ho ager thori door sath chalo
yeh aik pal ki mulaqat bhi ghanimat hay
kisay hay kal ki khabar thori door sath chalo
abhi to jag rahay hai charagh raho main
abhi hay door sehr thori door sath chalo
tawaf-a-manzil-a-jana humain bi krna hay faraz
tum bi ager thori door sath chalo.Wa§¡M
/.......

Jab Kabhi Reh Gaye Apni Zaat Main Tanha,To Yaad Aaonga..
OrNa Chala Qadam Se Qadam Koi Saath,To Yaad Aaonga..
Main Teri Ankhon Ka Ishara B Samajh Leta Hon,
Na Samajh Saka Koi Dil Ki Baat,To Yaad Aaonga..
Din Ka Har Ek Pal Guzrega Tum Pe Jab Kahin,
OrTanha Kategi Raat,To Yaad Aaonga..
Har Bazi Jaan Kar Tumse Haar Jata Hon,
Jab Dega Koi Maat,To Yaad Aaonga..
Hansne Ko To Dunya B Hansti Hai Saath Saath,
Na Roya Dukh Main Koi SaathTo YAAD AAONGA..
.......

Hamari yad staye to phir chale aana,
kahen qrar na aaye to phir chale aana,
Hr shakhs nhi dunia mein pyar k qabil,
ksi pe pyar na aay to phir chaly aana,
tera waqaar rahe ga hamari nazron mein,
nazr se koi giraey to phir chale aana,
khuda kry k baharon mein teri zindagi guzrey,
khizan ka khouf staaey to phir chaly aana,
dard ki halat mein b dunia ko hsaney wale,
agr!tuje dunia rulaaey to phir chale aana,,
.........

"Tmhe kia maloomK dukh kia hota he!
Kisi k chor jane seKisi k yad aane se
Jinhen bhula na sakoUn k roth jane se
Un k bhulany seKesa dard hota he!
K jese barsat k bad bhi zamen piyasi ho,
Jese khushyon main bhi udasi ho,
Jese hajom main bhi tanhai ho,
Jese kari dhoop main saya na mile,
Jese girte hoe ko sahara na mile,
Jesy kisi drya ko kinara na mily,
Tmhy kia maloom aese main dil ka aalm kia hota he
,"Tmhe kya maloom dukh kya hota he
..........

Ab koi gham koi jnoon b nahin,
Magar qarar se din cut rhy hon youn b nahin,
Lab-o-dahan b mila'guftgoo ka fun b mila,
Magar jo dil pe guzrti hai keh skoon b nahin,
Na jany q meri ankhein brasny lagti hain,
Jo such kahon to kuch aisa udas hon b nahin,
Meri zuban ki luknat se badguman na ho,
Jo to ko paani pe mere naqsh banae ga dair tak. . .
Kis haal mein hon zinda us k bagaer main,
Sun kar usey yaqeen na aaega dair tak..
............

ghazals

Suno !Kesy kahon tmko
Tumhary bin adhoray hein
Na koi piyas hy baqi
Na koi dard uthta hy
Han
Mgr EHSAS baqi hy k
Tumhary bin adhuray hein
Koi aisa lfz hota jo
Zuban sy hm ada krty
Tmhary dil py ja girta
Dukh sy kaamp uthti rooh
Trap k tum bhe ye kehtay¤
Tumhary Bin Adhury hein¤
.........

Shahr-e-fana hoon tere kis kaam ka hun,
Ek bujhta sa dia hun tare kis kaam ka hoon,
Tu rafaqat k liye aur kisi ko chun le,
Main to khud aabla pa hun tere kis kam ka hun,
Tu bhi auro ke trah mujh se kinara kr le,
Sari dunia se bura hon tery kis kam ka hoon.
.......

Na itna mere Qareeb aa!
K me Dur tmse na ja sakun!
Na itna mujhse Pyar kr!
K me chah kr b na Bhula sakun!
Mere Hosh Hawas na yun ura!
K me Hosh me phr na aa sakun!
Mere Dil pe yun na Naqsh ho!
K Bacha sakun na Mita sakun!
Meri Dharkano me na Dharak yun!
K me Dharkanen na Sula sakun.
...........

Mumkin ha chashm-e-num ko sitara na kar sako
Mumkin ha tum b koi ishara na kar sako
Mumkin ha mery bgair b bita lo ye zindagi
Mumkin ha apny sath b guzara na kar sako
Mumkin ha pyar de k aata kardo zindagi
Mumkin hai ye kam dobara na kar sako
Mumkin ha mera hukm b tumko qabol ho
Mumkin ha iltgja b gavara na kar sako
Mumkin ha 2 qadam pe bdal jao rasta
Mumkin ha umar bhar kinara na kar sako.Wa§¡M
.........

Meri taqdeer se pooch meri kismat ka feisla,
Meri muskrahat pe na ja mera dard talash kar,
Aankhon se pooch meri intezar ki had,
Itminan pe na ja meray sabr ko talash kar,
Meray doston se pooch meri dosti ka aalam,
Surat pe na ja meri seerat talash kar,
Jo mil jaein tum ko meri baton k jawabat,
To phr tu zra sa kaam kar,
MUJE KHUD MAIN TALASH KAR......
MUJE KHUD MAIN TALASH KAR!Wa§¡M
.......

Kisi roz sham k waqt,
Suraj k aram k waqt,
Mil jaye sath tera,
Hath mein le k hath tera,
Door kahin tanhai mein,
Dunia se judai mein,
Apne sang bithaon tuje,
Dil ka haal sunaon tuje,
Teri izzat ihteram karoon,
Tere hath ki lakeeron mein,
Talash apna naam kron,
Aao ik irada kren,
Phir milne ka wada kren,
kisi roz sham k waqt .
Suraj k aram k waqt.
.....

Kisi ki Aas ban ker phir ussay tanha nahi kerna
Bhale kuch b pare kerna magr aisa nahi kerna
Na ho aisa k Yaadein rooh ka sartaan ban jayen
Kabi had se b ziada tum usay socha nahi karna
Muhabbat main shikayat ka kahan dastor hota hai
Gila ker k Muhabbat ko kabi ruswa nahi kerna
Wafayein darhaqiqat bepana anmol hoti hain
kabi apni wafaon ka sila manga nhi krna
Na ho aisa k wo apni manzil ka nisha Kho dy
kisi ka sath rastay mein kbi chora nhi krna.
.......

little urdu sms

Roe ga is qadar woh meri laash say lipat ker FARAZ . . . . . .
Ager is baat ka pata hota to kab kay mer chukay hotay.
.........

Humen to uski sadgi ne mara"faraz"

log kihte hain husun bara hathyar he...
.........

Elän-è-møut howä hämärä tò usñäy kähä FÄRÄZ
Ächä hòwä k mär gäyä bùhät ùdääs rehtä thä
................

Bohat Ajeeb HainYeh BandisheinMohabat Ki Faraz,
Na Us Ne Qaid Mein Rakha Na Hum Faraar Hoye...
.........

Dunia ki aag main jalna to muqaddar ban gaya hey"FaraZ"
Jis se kahte hain apna haal-e-dil wo hi badnaam kardeta hai...
............
Main Din Dhalnay k Manzar Se Larazta is Liay b Hoon,
Ufak Pr Doobta Suraj Mera Anjaam Lagta he.
.......
........

Yeh DIL bohat udaas hai jab say khabar huyi "FARAZ",,!!
Miltay ho tum khuloos say har ajnabi k saath,,!!
.........


Yeh AAinay Na De Sakain Gy Tujay Tere Hussan Ki Tabeer
Aa Dekh Meri Aankh Mein, Tu KitnA HAseen HAI.

Wa§¡M
......
Hum W0 Ana Parst hain j0 Haar k bhi kehtay hain...
W0 Manzil hi Bad Nseeb thi j0 Hum k0 Na pa saki...

.......

Itna weeran na kar basti-e-dil ko jana..!
Ain mumkin hai tujhe loat k aana par jae...!
.........

Lagta hai apni uljhenain or barh jaen ge faraz,
Aj dil ko phr kisi ki saadgi achi lagi.Wa§¡M
.........
Teri MOHBATEN bhi AJEEB theen,
tera FAIZ bhi tha KAMAAL per,
KABHI sab kuch mila, bin talab,
KABHI kuch na mila, sawaal per..!

Wa§¡M
....
.

Apni manzil pe pohanchna kisi moa'jzey se kam nhi 'FARAZ'
Raah-guzar pathr k hain aur hum-safar sheeshy ka...!

Wa§¡M
..........
.

little urdu sms

Mujhe gumaan hai k chaha hai bohat zamanay ne mujhe "Faraz",
main aziz to sub ko hoòn ,mgr zaruraton ki tarha.

........

Itna b na yad aaya karo k so na sakain Raat bhar....
Surkh aankhon ka sabab pochate hain sabhi log. . .



........

""Kon tolay ga ab heeron men tumhary aansu"faraz"""
Wo jo ik dard ka tajir tha dukan chor gaya......"


......
Wo Dil Nai Rahy Ya Wo Jazbat Nai Rahy,
Apny B Is Dor MainApny Nai Rahy!
Halaat-e-Zamana Pe Ghor Kiya To Jana,
Rishtay Zuban K Reh GaiyDil_o_Jan K Nai Rahy!

.......
Abb k woh bichrey ga to yea iltija kron ga FARAZ..
Bin apney jeeney ka koi andaaz to sikhata jaa.

.......
Din to is shehar ki ronaq main guzar jata hai FARAZ.!
Yaad kuch log sar-e-sham bohat atay hain.


.........

Loveless life is a fruitless tree....
But....
Friendless life is a rootless tree...
Tree can live without fruit....
But not without root..

....

A meaningful sentence written on a grave.
-As you are,so were we. As we are,so shall you be-
A silent msg 4 all. Think about it seriously!

........

Mera seedha saada mizaaj tha,
mujhay ishq hony ki kya khabar...
teray ik tabassum-e-naaz ne
mere sarey zauq badal diye...!
.........

Bichar gaya hy to us ka sath kya maangun
Zra si umr hy gham sy nijaat kya maangun
Wo sath hota to hoti zaruraten b bohat
Akeli zaat k liye kainat kya maangu.
.........

'Jab Meray Dil Ki Masjid Mein Teri Yadon Ki Aazan Hoti Hay,
FarazTo Apne Hi Aansuon Say Wazoo Kar Kay Teri Muhbbat Ki Ebadat Karta Hon
...........

Yeh AAinay Na De Sakain Gy Tujay Tere Hussan Ki Tabeer
Aa Dekh Meri Aankh Mein, Tu KitnA HAseen HAI.
..........

Zabt_e_gham is qadar aasaan nahin "faraz"
Aag hoty hain woh ansoo jo piye jaaty hain..
..........

Mere bichray huwe sathi.Main ab bhi raat ko aksar..,.,
Falak se haseen taaron ko.Chun chun kar.Tumara naam likhti hoon.
.........

Kal thakey harey Parindon ne Naseehat ki mujhe"Faraz"...!
Shaam ho jaye to apne bhi saath chor jate hain...!
...........

Jany Kese Jeety Hain Log Yaadon Ke Sahare "DOSTON".,.,.,
Main To Kaiee Baar Marta Hon Sirf Ek Yad Aany Pe..!
..........

Jab khizaan aaye gi to wo loat aaye ga Faraz...!
Wo baharoon mein zara kam hi mila karta hay...!
.........


Kbhi kbhi ye sab kuch khyal lgta hai
Wo mera hai k nhi ye uljha sawal lgta hai
Mein wafa kar k b gumnam sa lgta hun Faraz
Wo bewafa hai magar bemisal lagta hai.

.........
Mere kehnay se na pabnd-e-wafa ho jana
Dil na many to kisi waqat juda ho jana
Itna payar na kr kisi se aay FARAZ
Tum ne dekha nhi bandon ka KHUDA ho jana.
........

Apne dil se nikal kr mujhko

Apne dil se nikal kr mujhko,
tere hontoon pe siskiaa'n Q hain.
Zakhm de kr wo mujhse pochta he,
Tere lehje main talkhi'aan kyun hain.
Hum to kacchay makaa'n k baasi hain,
phr ta'aqub me bijliaan kyun hain.
Ishq ke or bi musafir hain,
sirf hm pr hi sakhtiaan Q hain.

"Tum Khafa Ky0n H0..?

"Tum Khafa Ky0n H0..?
"Tumhe MuJ Sy Gila Kya Hai..?
AchanakBe Rukhi Itni
Bata0 t0 Hua Kya Hai..?
Mana0n Kis Tarah Tum K0..?
MuJe Itna t0 Batla 2
Agar Ab H0 Sakay Tum Sy
T0 Ye Ehsan Farma 2
Meri Manzil M0habbat Hai
MuJe Manzil Py P0hancha 2
Tumhari Ankh Me Ansu
MuJe Ache Nhi Lagte
Tumhare Naram H0nt0'n Py
"Gily Ache Nhi Lagte"
Tumhare Muskurane Sy
Mera DiL Muskurata Hai
Tumhare R00th Jane Sy
Mera DiL T00t Jata He.

ghazals7

ChålØ måin måån letå hÖÖn,
yèh Dünyå jhØÖt kehti hy..
Tümhe hüm$e nåhi ÜlfÄt..
çhålØ måin maan letà hÖØñ,
Tümhåri beqåråri ki,
wåjå küçh aür he hØgi..
ÑigÄheñ müjh$e milte he,
tümhåre Mü$küråñe kå,
$åbåb kÜçh äür he hOgå!
Ji$åy km~fehm lÖgØñ ne,
MÖhåbbåt Ñååm DE Dålå!
Mågår Itnå båtå dÖ tüm,
biçhharte waqt JÄÑ~e~JÄÄÑ.!
Pålåt kår dekh k hümkÖ,
TÜmhåri jhèél ç ÄÄnkhen,
Chhàlàkti jà ràhi thein, kyüñ?
Hàmåin Tårpå råhi theiñ, kyün..
........

Wo Jisey Bujhey Charaghon Ka Duwaan Kehtey hain
Hum Usey Fasl-e-Barhaan Ka Samaa'n Kehtey hain
Aatish-e-Shoq Mai Jal Jaatey hain Phoolon Ki Trah
Baat Dil Ki Tere Dewaaney Kahan Kehtey hai
Lala-o-Gul Ko Samajhtey hain Tere Aariz-o-Lab
Chaandni Ko Teri Aankhon Ki Zubaan Kehtey hain
Sochta hoon Tere Qadmon Ke Nishaan Hi to Nahi
Aaj Tak Log Jisey KehKaShaan Kehtey hain
Jab Bhi Jaltey hain Dil-e-Zaar Mein Zakhmon Key Charagh
Hum Sitaaron Sey Hadees-e-Hijraan Kehtey hain
Mere Seenay Main Dhadakta He Mere Dil Ki Tarah
Aik Saya K Jisey Weham-o-Gumaan Kehtey hain
Jaaney Kis Shehar Main Rehtey hain Wo Chehrey
Hum Jinhain Jannat-e-Dil, Rahaat-e-Jaan Kehtey hain...
............


Hum to Nazuk Hein Bilkul kisi Ehsas ki Tarah,
Tum Na Socho ge Humen to Mar Jayen ge!
Pas Raho ya Dur Itna Khyal Rakhna,
k Tum Na Dekho ge Humen to Mar Jayege,
Titliyon Me or Hum Me Yahi Bat Hai Mushtrik,
Pakar k Jab Choro ge Humen To Mar Jayen ge,
Dil ki Tehni Pe Hi Khila Rehne Do Humari Muhabbat ka Phool,
Jab b Tehni Se Toro ge To Mar Jayen ge.
Kabi Na Milna Hum Se,Moj-e- Darya Ban k,
Mil k Bichro ge Hum Se To Mar Jayen ge.

............

Apno'n Ke Sitam Un Ki Jafa Yad Kreyn Ge
Hum Jurm_E_Muhabbat Ki Saza Yad Kreyn Ge
Mene Dam_E_Rukhsat Jo Kaha Bhool Na Jana
Yeh Sun Kay Rukay Aur Kahan Yaad Kreyn Ge
Ab Siraf Tasalli Ka Takalluf Na Kreyn Woh
Jo Dil Se Bhula Bethay Hoon Kya Yaad Kreyn Ge
Hum Bhool Ky Ab Naam Bhi Lain Gay Na Wafa Ka
Woh Chot Lagi Hai Ky Sada Yad Kreyn Ge
Hum Chashm_E_Tassawur May Saja Lain Gay
Woh AankhainYun Pinay Pilanay Ka Maza Yad Kreyn Ge.
.........

Kyun Mjhse Gurezan ho
Mjhe Saaf BaTa Do!
Agar Juram MOHABBAT ha¡ to
Ph¡r Usk¡ Saza Do!
Ab Dard K¡ Sh¡ddat mE Wo
Tez¡ nah¡ Baq¡..
Laao Ab Khanjar Mujhe
Ek Zakham naya Do!
Rakho na Ko¡ Baat bh¡ TuM D¡L mE Chupa Kar..
Main Rah K¡ Deewar hoon to
Mujhko G¡ra Do!I
is Dour Ka Mayar-e-MOHABBAT bh¡ ha¡ DouLaT..
Thukrao Magar Kuch
Meri Qeemat h¡ Laga Do!
Tarso na Kbh¡ PYAR Ko
Meri Yeh DUA he.Aye Kash...!!!
FaQaT TuM bh¡ MjheYeh¡ DUA Do.!!

Tum roth jao mujh se

Tum roth jao mujh se ,
Aesa kabi na karna
Main ek nazar ko tarsun
Aesa kabi na karna
Mai poch poch haron
Soo soo sawal ? kar k
Tum kuch jawab ! na do
Aesakabi na karna
Mujh sehi mil k hasna
Mujh sehi mil k roona
Mujh sebi char k jee loo
Aesa kabi na karna
Tum chand ban ke rehna
Mai dekhta hi rahon ga
Kisi rooz tum na aao
Aesa kabi na karna
Tum chale jao jab b
To dekhon tumara rasta
Tum lout k na aao
Aesa kabi na karna....

Tu Apne fun se meri chahat ko aazma k dikha

Mery wajud mien wafa ki roshni utar day,
phir itna pyar day k mujy chahton mien mar day,
bohat udas tha so uth k tery pas aa gia,
kuch esi bat kar jo dil ko chen day qrar day,
suna hy teri ik nazar sanwarti hy zindgi
,jo ho saky to aaj meri zindgi sanwar day.......

..........

Tu apne fun se meri chahat ko aazma k dikha,
Main toot'ta hun tu phir se mujhe bana k dikha,
Tere badan main lahu bun k dorrta hon main,
Tujhe Ana ki qasam hai mujhe bhula k dikha,
Main itne dard main bhi Qehqhe lagata hon,
Tu aik dukh main mujhe sirf muskura k dikha,
Tujhe to maine hamesha manaya hai,"
Main aj rooth chala hun mje tu mana k dikha..

..

Nahi koi mudham ishara saaf keh do na,
Kahan tak sath doge tum hamara saaf keh do na,
Judai ki tarha darya bhi apne sath chalta hai,
Nahi milta kinare se kinara saaf keh do na,
Bahane apni majburi k kyun aa kr sunate ho,
Kasoor us me nahi koi tumhara saaf keh do na,
Hamen tanhai k taane to na do ghair k aage,
K hum bhi dhoond len koi sahara saaf keh do na,
Hamare haath ki aksar lakiren milti julti hain,
Magar milta nahi apna sitara saaf keh do na.........

............

Hum kash k unsy keh dety
Wo bat jo dil me rakhty thy
Is ishq me kya kya kch na kia
Hr dard saha
Hr zeher peya
Koi aur jo hota
Mar jata
Bs hum thy jis ny dukh jhela
Jab bat wfa ki nikly gi
To ankh me anso ain gy
Ab socha hy is duniya me
Hum kb tk g behlain gy
Dil khoon k anso rota hy
Kya jevan yunhi hota hy?
Hum pas b un k
Dour b humHum ruswa b
Majbor b hum
Koi leher nahi
Koi shoor nahi
Kya darya yunhi behta hy?
...........
Log bus mohabbat ko panay ki baat kartay hain,
Hum to usay nibhanay ki baat kartay hain,
Log chahtay nahi 'CHAHAT' ko chahat samajh ker,
Hum 'CHAHAT' ko chahat say chahnay ki baat kartay hain,
Log mohabbat k samandar chahtay hain paar karna,
Hum to bus doob janay ki baat kartay hain..!!

.........

Mujy bekhudi ki hy aarzo,mujy qurbaton ka khumar dy.
mere ang ang mai yun utar k muj main khud ko utaar dy.
tu jo poor poor mai bus gaya to hy dooryon ka jawaz kya?
meri zindgi mere pass aa,meri bekali ko nikhaar de.
meri zindgi pe muheet han,wohi wehshatain wohi dooriyan.
mai khizan raseeda si sham hon,
mujy apny rukh ki bahar dymeri bebasi hy baja mgar,
mery shok ka b hisab kar,mai siyah naseeb jo hon agar,
tu mera naseeb sanwaar dy..!

.........

Suno kismat se larne ki
kbi koshish nai krte
muqadar jb mukhalif ho
duaen beasar jaen
sbhi manzar bikhr jae
n tou aise main baghawat ki
kbi koshish nai krte
ksi ek shakhs ki khatir
sbhi se door ho jana
kahan ki ye mhbt hai
mohbt ye nai hoti
mohbt dil m hoti hai
mohbt aks hai RAB ka
kbi ye mar nai skti
hmesha sath rehti hai
mily jo hamsafar tm ko
usi k sath chalna tm
usay dil mai bsana tm
usay dharkan bna lena,
or qismat se larne ki
kbi koshish nai krna......

..........

Wo Jazbon Ki Tajarat Thi

Wo Jazbon Ki Tajarat Thi,
Ye Dil Kuch Aur Sumjha Tha,
Use Hansne Ki Adat Thi
Ye Dil Kuch Aur Sumjha Tha,
Mujhe Usne Kaha Ao Naei Duniya Bsate Hain,
Use Sujhi Shrarat Thi,Ye Dil Kuch Aur Sumjha Tha,
Hamesha Uski Ankhon Main Dhanak Ke Rang Hote The,
Ye Uski Ame Halt Thi Ye Dil Kuch Aur Sumjha Tha,
Wo Mere Pass Bethe Dair Tak Ghuzlain Meri Sunta Tha,
Use Khud Se Muhabat Thi Ye Dil Kuch Aur Sumjha Tha,,,

Tere Siwa..

Tere Siwa..

mere hum-safar,
mere hum nasheen,
mene rab se manga to kuch b nahi,
mene jab b mangi koi dua!
nahi manga kuch b ''TERE SIWA''

ye talab kia k mere khuda,
sabhi rahtein,
sabhi chahtein,
wo atta kare tuje manzilein,
ye talab kiya k mere Khuda,
tujhe bakht de,
tujhe takht de,
tujhe taaj de,

Mere hum-safar
mere chara-gar,
yeh dosti ka kathin safar,
mere sath chalna zara soch kar,
zara daikh to mera hosla,
mere pass jo b hai wo hai tera,
nahi or kuch b ''TERE SIWA''

meri dosti,
meri zindagi,
meri khamoshi,
meri be basi,
mera ilm b,
mera naam b,
k meri subha,
meri shaam b,
k jo mil sakiien,
mere daam b,
wo sab kuch tujhe atta kare,
mere charra-gar tu yakeen to kar..!
mujhe magna to na a saka,
mene mangi phir b yehi dua,
k guwahi de ga mera Khuda,
mene jab b us se talab,
nahi manga kuch b,
'' TERE SIWA''

Zaruri kam

zaruri kam hai lakin rozana bhol jata hon,
muje tum se mohabbat hai batana bhol jata hon,
teri galiyon main phirna itna acha nahi lagta,
main rasta yaad rakhta hon thikana bhol jata hon,
bus itni baat par main logon ko acha nahi lagta,
main naiki kar to daita ho jatana bhol jata hon,
shararat le kar ankhon main wo us ka dekhna tauba,
main nazron pe jami nazrain jhukana bhol jata hon,
mohabbat kab hui saab yaad hai kyun k,
main mohabbat kar to leta ho bhulana bhol jata hon..

zaruri kam

zaruri kam hai lakin rozana bhol jata hon,
muje tum se mohabbat hai batana bhol jata hon,
teri galiyon main phirna itna acha nahi lagta,
main rasta yaad rakhta hon thikana bhol jata hon,
bus itni baat par main logon ko acha nahi lagta,
main naiki kar to daita ho jatana bhol jata hon,
shararat le kar ankhon main wo us ka dekhna tauba,
main nazron pe jami nazrain jhukana bhol jata hon,
mohabbat kab hui saab yaad hai kyun k,
main mohabbat kar to leta ho bhulana bhol jata hon..

Baat thi mohabbat ki

Baat thi mohabbat ki,
umer bhar ki chahat ki,
bheer main zamane ki,
sath sath chalna tha,
imtehan b aney they,
zindagi k sab he pal,
sath hi bitane they,
jane us ne kia socha,
aik pal main hi us ne bat khatam kar dali,
zindagi jo puri thi,
wo adhuri kar dali,
kon us ko samjyae,
mohabbatian k mausam bhi,
roz to nahi atey,
zindagi main apnon ko,
chor to nahi jatey..

Pat'thron ki basti main

Pat'thron ki basti main karobaar sheeshey ka,
koi b nahi karta aitbar sheeshay ka,
kaanch se baney puttley thori door chaltey hain,
chaar din ka hota hay ye khumaar sheeshey ka,
ban sanwar k harjae aj gher se nikla hai,
janey koun hota hai phir shikaar sheeshey ka,
iss zamaney main aarzi hain sub rishtey ''FARAZ''
hum ne bhi banaya tha ik yaar sheeshey ka...

Tere naaam ki thi jo roshni,

Tere naaam ki thi jo roshni,
usey khud he tu ne bhuja diya,
na jala saki jise dhoop bhi,
usey chandni ne jala diya,
main hun gardishon main gira howa,
muje aap apni khabar nahi,
wo jo shakhs tha mera rehnuma,
usey raaston ne gunwa diya,
jo teri nazar main ajeeb tha,
wohi shakhs tera habib tha,
tere hath ki wo lakeer tha,
usey hath se he mita diya,
mujhe ishq hai k junoon hai,
abhi faisla nahi ho saka,
mera naam zeenat-e-dasht tha,
mujhe aandhiyon ne mita diya...

Muje bus itna kehna hai

Muje bus itna kehna hai,
kabhi main yaad aon to,
kabhi tanhai ki raatien,
tumhain zayda sataen to,
kabhi jo dost sathi b tum se roth jaen to,
kabhi kuch kehna chahao,
aur koi sun na paye to,
apni ankhon ko band karna,
muje awaz de lena,
mere kandhay pe sar rakh kar,
tum jitna chaho ro lena,
muje bus itna kehna hai,
kabi b dukh ya khushyion main,
humain dil se pukaro ge,
muje tum sath pao ge,
Muje Bus Itna Kehna Hai..!!

Kuch rah-e-ishq ki masti thi

Kuch rah-e-ishq ki masti thi,
kuch log they hum dewane se,
jab shehar tera chor diya,
dil khon laga verane se,

jo jaan se b pyaret they,
wo log nazar se door howe,
ek tais c dil main uth ti hai,
ab yadon ko dohrane se,

ae maut tu thehar zara,
aakhir main unko daikh to loun,
baat faqat ik pal ki hai,
inkar nahi mar janey se...

Ae bad-e-saba

Ae bad-e-saba...

us nagar main ja.....

usey itna bata...

ek dost tera...

kehta hai sada...

mujhe apna bana....

chahat ko jaga...

ae jaan-e-ghazal,

teri baat ajal,,,

meri Aankh hai num,,,

Ae jaan-e-wafa,,,

khud tu hi bata,,,?

kab tera siwa,,

Mujhe
Chain
Mila............

Tum pocho or main na bataon aise to halat nahi

Tum pocho or main na bataon aise to halat nahi,
1 zara sa dil toota hai or to koi baat nahi,
kis ko khabar thi sanwlay badal bin barse urr jatey hain,
sawan aya lakin apni qismat main barsaat nahi,
tot gya jab yeh dil to phir yeh sans ka naghma kia mani,
gonj rahi hai kyu shehnai jab koi baraat nahi,
ghum k andhyaray main tuj ko apna sathi kyu samjo,
tu phir tu hai, mera to saya b mery sath nahi,
mana jeevan main oarat 1 bar mohabbat karti hai,
lakin muj ko ye to bata day kia tu orat zaat nahi,
khaatam howa mera afsana ab yeh anso ponch b lo,
jis main koi tara chamke aj ki raat wo raat nahi,
meray gamgeen honay par ahbaab hain q hairaan kateel,
jaise main pathar hon meray seenay main jazbaat nahi..............

Barson Baad

Yaadon ka ek jhonka aya
hum se milney barson baad...
pehley itna roya na they
jitna roye barson baad...
lamha lamha gher ujra hai
mushkil sa ehsas howa hai....
pathar aaye barson pehley
sheeshay tootey barson baad...
aj hamari khaak pe dunya
ronay dhonay baithi hai...
phool hue hain janey kaise,
itne sastay barson baad....
dastak ki umeed lagaye
kab tak jeetay hum.....
kal ka vada karne waley,
milnay aye barson baad...

Muje Acha Lagta Hai

Muje Acha Lagta Hai,

tumhare sung sung chalna
wafa ki aag main jalna
tumhe naraz kar dena
kabhi khud rooth b jana
tumhari berukhi par b
tumari aarzu karna
khud apne dil ki dharkan se
tumhari guftugu karna

Muje acha lagta hai

bohat acha lagta hai
tumhi ko daikhte rehna
tumhi ko sochte rehna
bohat gehre khayalon main
jawabon main
sawalon main
dosti k hawalon main
tumhara naam aa jana

Muje Acha Lagta Hai..!!

Hum nazuk nazuk dil waley

Hum nazuk nazuk dil waley,
bus aise he hotey hain,
kabhi mehfil mehfil phirte hain,
kabi dil main khawab prote hain,
kabi chup ki mohar sajate hain,
kabi geet labon par hotey hain,
kabi sab ka dil behlatey hain,
kabi zaat main tanha hotey hain,
kabi shab bhar jagte rehte hain,
kabi lambi taan k sotey hain,
hum nazuk nazuk dil waley.
bus aise he to hotey hain..
bus apne ap main rehte hain,
hum koun kisi k hotey hain??
hum nazuk nazuk dil waley

ghazals5

Uski nigah main itna asar tha ''M ''

kahreed li usne ik nazar main zindagi hamari...

...........

Jab wo mera naam......
apne hathon ki lakeeron main.........
talash kar kar k thak gaye....
to dhere se sir jhukiaya...
aur muskra k kaha!
lakeeren jhot bolti hain....

.........

Meri ankhon pe marta tha,
meri baton pe hansta tha,
najaney shakhs kaisa tha,
muje khoney se darta tha,
muje jab b wo milta tha,
yehi har bat kehta tha,
suno! main bhol jaon to,
agar main rooth jaon to,
kabi wapis na aon to,
bhula pao ge yeh sab kuch,
yunhi hanste raho ge kia,
yunhi sajte raho ge kia,
yehi batien hain bus uski,
yehi yadien hain bus uski,
muje maloom hai itna,
muje wo pyar karta tha,
muje khoney se darta tha...
........

Muje chand teri talab nahi,
teri roshni bari door hai,
mujhe jis chiraag se pyar tha,
mera gher usi ne jala diya...
...........

Peenay ko to pi jaaon zehar b ''M ''

shart yeh hai k wo baahon main sambhale mujhko..!
................

Kiun rakhon main apne qalam main siyahi,
jab koi armaan dil main machalta he nahi,
na jane kyun sabhi shak karte hain muj par,
jab koi sukha phol meri kitab se nikalta he nahi,
kashish to bohat hai mere pyar main magar kia karo,
koi pathar dil pighalta he nahi,
agar khuda miley to us se apna yaad mang lon,
par suna hai k wo marne se pehle kisi se milta he nahi....
...........

Aye mere jawaa'n marg ! teri kabar pe aa kar,
gul paashi k aur shamien jalaney k ye din they?
..........

Main janta hon meri khudariyaan tujhe kho dain gi,
magar main kia karon mujhe magne se nafrat hai.....
3.........

Main us k bina kuch b nahi usey keh do,
main uska tha,usi ka hon,usi ka rahon ga...
.........

MAin ne pocha wafa se kyun milti nahi wafa,
kisi ko pyar main,

to wafa ne kaha befwafa jo milte hain,
wafa ki Aar main,

Aankhon se pocha kyun behti ho kisi k intezar main,

to ankhon ne kaha bus kisi ko daikhne ki Aas hai,

Dil se pocha kyun tarapta hai kisi ki yad main,

to dil ne kaha toot jo chuka hoon kisi k pyar main...
3..........
Related Posts with Thumbnails